Sunday, 16 August 2020

SAWAD E AZAM - MUSALMANO KI BADI JAMAT - JANNATI FIRQA AHLE SUNNAT WAL JAMA'AT HADEES KI ROSHNI MEIN

 






SAWAD E AZAM AHLE SUNNAT WAL JAMA'AT HADEES KI ROSHNI MEIN

(1) Haadiye Do Aalaam SallAlahu Tabarak Taala Alaihe wassallam Ne Irsad Farmaya Ke Meri Ummat Me Se Ekk Giroh Hamesa Allah K Amr (Deen)Par Qayam Rahega , Jo Shaks Unhe Nuksan Pahuchana Chahega Ya Unki Mukhalefat Karna Chahega to Kuch Nuksan Na Pahuncha Payega Hatta K Mautt Aa Jaye Par Woh HAQQ Par Hi Rahenge.

-Sahi Bukhari 3641

-Sahi Muslim 1923 ...

-Masnade Ahmed 4/101

(2) Noore Mujjasaam Rehmate Do-Jaha Sallalaho Tabarak Taala Alaihe Wassallam Ne Irsad Farmaya K Meri Ummat Me Se Ekk Giroh HAQQ Ki Khateer Ladta Rahega Aur Qayamat Tak Unhe Koii Maqloob Na Kaar Payega

-Sahi Muslim 4871.

(3) Rahmate Qirdagaar Aqa E Kareem Sallalaho Tabarak Taala Alaihe Wassallam Ne Irsad Farmaya K Beshak Allah Tabarak Taala Meri Ummat Ko Gumrahi Par Jama NAHI Karega , Aur Allah Tabarak Taala Ka Haath Jamaat Par Hai , Aur Jo Jamaat Se Alag Hoga Sidha Jahannam Me Jaa Girega.

-Tirmzi 2173

-Jame Ul Usool 2721

-Al Mustadrak 1/115.

(4) Rasoole Maqbool Sallalaho Tabarak Taala Alaihe Wassallam Ne Irsad Farmaya K Tumhe 3 Chizo Se Panah Dee Hai,

1-Tumhara Nabi Tumhare Liye Duwa E Zarrar Nahi Karega Jis Se Tum Halak Ho Jao.

2- Ahle Baatil Ahle Haqq Par Kabhi Galib Nahii Honge.

3- Tum Kabhi Bhi Gumrahii Par Jama Nahi Hoge.

-Abu Dawood 4253

-Jame Ul Usool 2760.

(5) Rasoole Maqbool Sallalaho Tabarak Taala Alaihe Wassallam Ne Irsad Farmaya K Meri Ummat Gumrahii Par Jama Nahii Hogi, Jab Tum Ekhtilaaf Dekho To Sawade Aazam (Bade Jamat)Ke Saath Raho.

-ibne Maaja 3950.

Allahu Akbar Allahu Akbar

Doston!Aj is fitnah bhare daur mein nai nai jma'ataten firqe ki shakal mein wajood mein aa rahi hain aur logon ko dawat e halakat ke zariya apne giroh mein shamil karne ki bharpur koshish karrahi hain.Magar upar ki hadees padhne ke baad pata chalta hai ke unki yeh dawat jahannam mein le jane wali dawat hai.

Is liye doston,Sawad e azam Ahle Sunnat Wal Jama'at se kabhi khud ko alag na karna kiyunki hadees ki roshni mein yahi woh jama'at hai jo maqbool hai.

Allah Tabarak wa Ta'ala hum tamam musalmano ko Sawad e Azam Ahle Sunnat Wal Jama'at yaani Sunni banaye rakhe-Ameen Ya Rabbal Alameen.


No comments:

Post a Comment