Saturday, 18 July 2020
FATIHA EISAL E SAWAB KA SUBOOT
Tuesday, 14 July 2020
SHIRK IMPOSSIBLE
SHIRK IMPOSSIBLE
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Huzoor ﷺ Ko Apni Ummat Pe #Shirk Ka Khauf Nahi Tha
“Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Shuhada E Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baad Is Tareh Namaz Padhi Goya Zindon Aur Murdon Ko Alwida Kah Rahe Hain.
Phir Aap ﷺ Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya :
Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Upar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulakat Kee Jagah Hawz E Kawsar Hai Aur Mein Is Jagah Se Hawz E Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baad) #Shirk Me Mubtila Ho Jao’ge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai.
Hazrat Uqaba ibn Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ)”References :
(Sahih Bukhari, Pg : 993, Kitabul Maghazi, Baab : Ghazwat E Uhud, Hadees : 4042, 4085)
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :5689)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 216, Hadees : 3324)
(Musnad Ahmad ibn Hanbal Vol : 04, Pg : 154, Hadees : 17532)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 17, Pg : 279, Hadees : 768)
(Imam Bayhaqi Sunan Kubra Vol : 04, Pg : 14, Hadees : 6601)Scan Page Front Cover Sahih Bukhari
Hadees 02:
Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Krte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Beshak Mein Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’n.
Beshak Khuda Kee Qasam!
Mein Apne Hawz (Kawsar) Ko Is Waqt Bhi Dekh Raha Hoo’n Aur Beshak Mujhe Zameen Ke Khazaanon Kee Kunjiya’n (Ya Farmaya : ) Zmaeen Kee Kunjiya’n Ata Kar Dee Gayi Hain Aur Khuda Kee Qasam!
Mujhe Dar Nahin Ki Mere Baad Tum #Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Dar Is Baat Ka Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Mubtila Ho Jaoge.”
References :
(Sahih Bukhari, Pg : Kitab Al Manakib, Baab : Alamat E Nabuwat Fi Islamihi, Hadees : 3596)
(Sahih Bukhari,Kitab Ar Riqaak, Hadees : 6426, 6590)(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :2296)
Scan Page Sahih Bukhari
Hadees 03 :
“Hazrat Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baad #Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Giraftar Ho Jaawoge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Huwe.
Hazrat Uqba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya).”
References :
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab : Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 (B))(Imam Tabarani Mujam Ul Kabeer, Vol : 17, Pg : 279 , Hadees : 769)
Scan Page & Front Cover Sahih Muslim
Ye Upar humne 03 Sahih Mustanad Muttafaque Alaih Rivayatein Siha Sitta Se Bayan ki wo bhi un kitab se Bukhari Wa Muslim jiska naam sabse zyada liya jaata hai par awaam ko ye batayi nahi jaati jaante hai bayan hogayi to Saudi Riyal Petrol band hojayga .In hadeeso se kayi baat maloom huwi
01) Jisme Rasoolullah ﷺ ALLAH Taa’la ki kasam khaa kay farma rahe hai Mujhe Meri Ummat me #Shirk Ka Koi Khatra nahi hai bas dunya talabi me aapas me ek dusre se lad jaane ka khatra hai.
02) Jo Baat Nabi E Karim ﷺ Allah Taa’la ki kasam khaa kay kahe to samajh sakte hai usme kitni mazbooti hai lekin daur e Hazir me mukhalifeen ki janib se is hadh tak shadeed #Shirk kay hamle horhe hai kay baat baat pe banda mushrik declare kiya jaa raha hai.
Hadh to ye hai Kay Mukhalifeen kay Hindustan Me Bahot Bade peshwa Shaykh Ismail Dahelvi ne apni kitab Tazkiratul Ikhwaan me Eid Ki Sawayi Khana #Shirk likh diya hai.
Aur Deobandi Firqe kay bade Mujadid Ashraf Ali Thanvi Sahab ne apni kitab Behasti Zevar Me Dulhe Ka Nikaah Kay Waqt Sahra pahen na #Shirk Aur Kufr kay baab me daal diya hai.
03) Is se Rasool E Akram ﷺ Ka Ilm E Ghaib ki jahir hai kay Huzoor ﷺ Apni Ummat kay aane waale halaat ki bhi khabar de rahe hai kay #Shirk kabarpasti buthparasti wala to nahi karoge lekin aapas me ladoge aaj ummat e muslimah kaa haal hamare saamne hai.
04) Nigaah E Nabuwat Kaa Aalam Dekhe kya hai Mauzood Huzoor ﷺ Makam E Uhad me hai par saamne apna Hauz E Kausar Dekh rahe hai lekin kuch log kahte hai Deewar kay piche ka Ilm Huzoor Ko nahi Huzoor ﷺ Deewar kay piche nahi dekh sakte.
Aap Andaza Laga Sakte hai kay Jis Firqe kay yahan Allah kay Masoom Nabi Hazrat Aadam Alaihsalam ko #Shirk karne waala likh kay baqayda us se result natiza nikala jaata ho wo kya badi baat kay aam musalman ko Mushrik naa kahe aur jab Sawayin khana Dulhe ka Sahra pahen na sab #Shirk hai to samjha jaa sakt hai kay inke yahan kya #Shirk kay fatwo ki Machinery tez hai aur aaj ka padha likha musalman SAUDI jhubbe kay chakkar me mutassir hojata hai.
ALLAH SUNNI MUSALMANO KO INSE MEHFOOZ RAKHE.
Hissa 02 : Wahabiyo Kay Kuch Ahmakana Dalail
Jab In Hadeeso ko pesh kiya gaya to kuch wahabi Hazraat Ne Isko ye kahke raddh kar diya kay yahan khitab sirf Sahaba Kay liye hai naaki isme Puri ummat murad hai.
Al Jawab : Chalo bil farz maanle’n Sahaba Murad Hai to bhi isme Hamare Aaka Ka Ilm E Ghaib Saabit hai kay Sahaba kay liye bhi #Shirk naa karne ki jamaat de rahe hai.
Khair Yahan Sirf Baqaul Wahabi kay sahaba Murad hai ab hum wo ahadees bataur e dalil pesh karte hai jisme Sahaba Nahi Puri ummat murad hai. Huzoor ﷺ Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay #Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha
Hadees 04 :
Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho
Unhone kaha Ubada suno
Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu,
Mene puchha woh hadees konsi hai
Kaha,
"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the,
Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN ghamgheen kyu hain ?
To Aaqa ﷺ ne farmaya
'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai, (Is wajah se ghamgheen hu )'
Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?
#SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.
Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ?
Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya,
Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI.
(Aye shaddad mene jise #Shirkkaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )
Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi #Shirk hai
Farmaya, haan."
References :
(Hakim Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)
(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)
(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830)
(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)
Scan Page Mustadraq Al Hakim
Imam Hakim Jo Imam Bayhaqi kay ustaad hai farmate hai ye hadees Sahi ul Isnaad hai.
Is hadees se wajahat huwi kay Huzoor ﷺ ko Apni ummat pe 02 Chiz ka khatra sabse zyada tha wo ek #SHIRK dusra Shahwat E Khafiya yaani nafsani khwaish.
Yahan issi hadees me #SHIRK ki wajahat bhi ki gayi Ummat Naa to Patthar Pujegi naa chand naa suraj wagairah balki jis chiz ko Shirk kaha gaya wo RIYAKARI hai DIKHAWE Ka amal jisko Shirk E Asgar Kaha jaata hai is amal se banda Mushrik Kaafir nahi hota lekin Sakht gunahgaar jarur hota hai.
Mumkin ho yahan ye kahde wahabi #Shirk toh #Shirk hai banda mushrik hojayga to yahan hum ek aur hadees pesh karte hai jo inke is dalil ka raddh karti hai.
Ye ek nuqta yaad rakhe jab aage #Shirk e khafi akbar jali wagairah lafz aaynge to pareshani naa ho.
#SHIRK E JALI = #SHIRK E AKBAR (yaani Khula #Shirk jisme Buth, Chand, Suraj Makhlook ki ibadat karna jis amal se banda MUSHRIK hojata hai Islam Se kharij hojata hai)
Ye Is ummat ki bimari nahi hai Ye Ummat E Muslimah #Shirk E JALI #SHIRK E AKBAR me mullawis nahi hogi ek do aadmi to khuda hone ka Nabi Hone ka dawa bhi kar dete hai lekin puri ummat isme mulawwis ho aisa nahi hoga.
#SHIRK E KHAFI = #SHIRK E ASGAR (Yaani Wo Amal Jo Banda Dusre bande ko dikhane kay liye karta hai misal kay taur pe ek banda namaz padhte ho aur niyat ye ho kay mujhe log namaz padhta dekhe issi tarah se dusre amal roza hajj zakat wagairah banda amal ALLAH Taala Kay liye nahi balki Makhlook ko dikhane kay liye kare isko kahte hai #SHIRK E KHAFI jiska Huzoor Nabi E Karim Ko Ummat pe sabse zyada khatra tha is se banda kaafir naa hoga lekin wo sakht gunahgaar jarur hoga.
Iski Dalil me ek hadees e paak padhe
Hadees 05 :
Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai
“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim ﷺ Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?
Humne Kaha Haan Rasool Allah ﷺ
Farmaya CHHUPA #SHIRK (Hidden #Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”
References :
(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)
(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)
Scan Page & Front Cover Sunan Ibn Majah
Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko #Shirk E Khafi Kaha gaya hai.
Shahwat e khafiya aur #Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen.
Hadees 06 :
Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen ﷺ Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par #Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.
Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.
Aur #Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.References :
(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)
Scan Page Tabarani Al Mujam Ul Kabeer
Hadees 07 :
وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ - رضى الله عنه - قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ - صلى الله عليه وسلم -{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ
أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ
Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai #SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai.
References :
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)
Scan Page & Front Cover Balagh Ul Maram Ibn Hajar Asqalani
Aage Ibn Hajar Farmate Hai isko rivayat kiya Imam Ahmad Ne Hasan Sanad Se.
Imam Bayhaqi ne bhi Is rivayat ko Hasan kaha.
Upar humne 07 hadees e paak se wajahat ki hai aur bhi hai par jo haq parast hai unke liye itna kaafi hai aur jo sirf takfeeri hai unke liye hazaro dalail bhi kam hai.
01) Is Ummat E Muslimah Me kabhi bhi Izmai Taur Pe #SHIRK E AKBAR nahi aayega jaisa kay Rasoolullah Ne farmaya hai #SHIRK Ka khatra nahi hai.
02) Dusri rivayato me jisko #SHIRK kaha gaya wo khud hadees me mauzood hai #SHIRK E ASGAR hai jisko Dikhawe ka amal kaha jaata hai RIYAKARI wo is ummat ka asal marz hai aur har maktaba e fiqr iski jadh hai dikhawe ka amal ummat e muslimah me ab bahot zyada hai.
ALLAH Taala Hum Sabko RIYAKARI SE MEHFOOZ RAKHE
Ab kuch aise bhi hai jo phir bhi baat baat pe #shirk #shirk ka fatwa dete hai ek hadees unke liye bhi pesh e khidmat hai mulahiza kare.
Jo #Shirk Ka Fatwa Dega Wo Khud Hi Mushrik Hoga
Hadees 08 :
أن حذيفة يعني ابن اليمان رضي الله عنه حدثه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلّم إن مما أتخوف عليكم رجل قرأ القرآن حتى إذا رؤيت بهجته عليه وكان رداؤه الإسلام اعتراه إلى ما شاء الله انسلخ منه ونبذه وراء ظهره وسعى على جاره بالسيف ورماه بالشرك» قال قلت يانبي الله أيهما أولى بالشرك المرمي أو الرامي ؟ قال «بل الرامي»
إسناد جيد
Hazrat Huzaifa ibn Al Yaman Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mujhe us shakhs ka Khauf hai jo Quran padhega aur us par Quran ki Raunaq Dekhi Jaegi aur Usne Islam ki chadar odh li hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko le Jayga ,woh Islam ki chadar se nikal jaega Aur Apne (Musalman) padosi par Talwar chalaega or us par #SHIRK KI TOHMAT LAGAEGA"
"Sahabi ne pucha dono mein se Mushrik kaun hoga"? Farmaya;"#SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA" References : (Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg :281/82, Hadees : 81) Albani Ne Isko Hasan Likha (Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 245, Surah Aaraf Ayat : 175)
Ibn Kathir Ne Kaha Iski Sanad Jay’yad Hai Imam Yaha Ibn Moin Aur Imam Ahmad Ibn Hambal Ne iski tahkeek ki aur Kaha Iske raavi tamam Siqah Hai.
(Imam Bukhari Fi Tarikh ul Kabir, Vol : 04, Pg : 301, Hadees : 2907)
(Wahabiyo Ka Muhadis E Azam Saudi Arabia Albani Ne Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol : 07, pg : 605, Hadees : 3201)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Imam Tahawi Mushkil Al Aath’ar Vol :02, Pg : 324, Hadees : 865)
(Kashful Irshad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Musnad Al Shameen Vol : 02, Pg : 254, Hadees : 1291)
(Imam Tabrani Maj’ma Ul Kabeer Vol : 20, Pg : 88, Hadees : 169)
Imam Tabrani Ye Hadees ko Hazrat Maa’z bin Jabal Radi Allahu Anhu Se Nakl Kiya Hai.
Scan Page & Front Cover Sahih Ibn Hibban
Is tamam Rivayat Se ye saabit hai Kay Rasoolullah ﷺ Ki Ummat #Shirk E Akbar Me Mullawis nahi hogi aur jo kaum e wahabiya khwarij baat baat pe #shirk ka fatwa dete hai dar asal ye khud hi #Shirk kay haqdar hai.
Mazaar ko chumna kaisa
Mazaar ko chumna / bosa lena kaisa?
*Islam Ke Pehle Muazzin Hazrat Syyedina Bilal Radi'Allah'Anhu Ka Aqeeda Dekhe*
_Hazrat Bilal Jab Syria Shaam Se Wapis Madine Sharif Aate Aur Huzoor ﷺ Ke Roze Par Hazir Hokar Rone Lagte Aur Rasool Allah ﷺ Ki Qabr-E-Anwar Par Apna Chehra Mubarak Rakhte Aur Más Karte Yani Bosa Lete Chomte_
*Aur Aaj Jab Koi Musalman Sarkar Ki Jaliyon Ko Sirf Touch Karne Ki Koshish Karta Hai Ya Diwar Mubarak Ko Touch Kare Toh American 🇦🇺Dog's 🐕 Saudi Najdi Mulla's Kehta Hai Shirk Haram Bidd'at*
MUSALMANO KI QABR KO TODNA KAISA
HADEES KE SAHI MAENE : “Hazrat Abu Hayaaj Asdi رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki mujh se Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه ne kaha. Kya mein tumhe us kaam ke liye na bheju jis kaam ke liye mujhe Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne bheja tha ki mein har tasweer ko mita du aur har unchi Qabr ko (zameen ke) barabar kar du.
[● SAHIH MUSLIM, KITAB UL JANAIZ, JILD 1, PG NO 677]
JIN QABRON KO GIRANE KA HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه KO HUKM DIYA THA WO KUFFAR KI QUBUR THI, NA KE MUSALMANO KI.
● ISKI CHAND WAJA HAIN:
AWWAL TO YE KI HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه NE YE FARMAYA KI JIS KAAM KE LIYE HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE MUJHE BHEJA THA USI KE LIYE MAIN TUMHE BHEJHTA HUN, HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ZAMANE ME JIN QUBOOR KO MOULA ALI رضي الله تعالى عنه NE GIRAYA WO MUSALMANO KI NAHI HO SAKTI KYU KI HAR SAHABI KE DAFAN ME HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ SHIRKAT FARMATE THE. LIHAZA JIS QADR QUBOOR BANI YAA TO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI MOUJUDGI ME YAA AAPKI IJAZAT SE. AB YE KAISE MUMKIN HAI KI JO QABRE KHUD HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI MAUJOODGI MEIN BANI WOH QABRE GALAT BANI HO AUR KHUD HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ UNHI QABRO KO GIRANE KA HUKM DE.
DUSRA YE KI JIN QUBOOR KO GIRANE KA HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE HUKM DIYA WO MUSHRIKEEN HI KI QUBOOR THI KYU KI ISI HADEES ME TASWEER KA BHI ZIKAR HAI TO WO KAUN SE MUSALMAN THE JIN KI QABRON PE TASVEER HUWA KARTI THI?
PATA CHALA KI JIN QABRO KO GIRANE KA HUKM DIYA GAYA THA WOH MUSALMAANO KI NAHI BALKI MUSHRIKEEN KI QABRE THI JIS PAR SHIRK HOTA THA.
● AB RAHA SAWAAL QABR KO PUKHTA BANANE KA:
Baaz log ye samajhte hai ki jo upar uncha cemented bana huwa hota hai woh Qabr hai. Qabr isko nahi kehte. Isko taweez kehte hai. Yaani Qabr ka nishaan. Qabr Arbi zabaan mein haqeeqat mein woh jagah hai zameen khodne ke baad jaha mayyit ko rakha jata hai. Khwa neeche gada khod kar khwa neeche daaye taraf jise band karte hai eeto se. Eeto ko band karne ke neeche jo zameen ka hissa hai Ulema e Arab kehte hai ki qabr woh hai. Upar to alaamat hai nishan pehchan ke liye hai ki yeh qabr hai. To jis mein mayyat rakhi jati hai woh qabr hai. Woh har koi kaccha rakhta hai aur hukm uska hai ki woh kacchi rehni chahiye. Baaki upar jo nishaan hai taweez ka ye uski pechaan ke liye alaamat ke liye hai ki baaz gar mit jaati hi. Is liye ye mubah hai. Gunah nahi. Jo Gunah ka amal hai woh ye ki jo neeche zameen ke jo khodi jati hai woh pakki na ho andar. Usko cemented na kiya jaye jism jahan rakha ja raha hai usko pakka na kare.
Aap Iraq jaye tamam mazarat isi tarah hai. Ahle Iraq ka bhi aqeeda yahi hai. Sham mein bhi tamam mazarat isi tarah hai. Yaani Ahle Syria ka aqeeda yahi hai. Ahle Misr ka aqeeda bhi yahi hai. Turkey mein bhi tamam mazarat isi tarah hai. Sara alam e Arab ka aqeeda yahi hai. Saudi Arab mein taqreeban pechle 90 saal ka ye taza aqeeda hai ki sahaba aur aam musalmano ki qabro ko mismaar kiya gaya hai.warna 90 saal qabl Saudi Arab mein bhi unchi mazarat aur gumbad hote the 1400 saal se. Hazrat fatima Zahra, Hazrat Usman, Halima Sadiya ki mazar par gumbad tha. Ahle Bait ke mazaro par bhi gumbad the. Hazrat Amina ki mazar par bhi gumbad tha. Yeh tamam mazarat aur gumbad giraye hai maazallah. 1925 mein jab Aale Saud aur Aale Shaikh iktedaar mein aaye tab yeh tamam mazarat buldoz kiye gaye to yeh saudi ka 70 saal wala aqeeda durust hai ya 1400 saal purana aqeeda?
● IN TAMAAM SAHIH AHAADITH SE PATA CHALTA HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AUR SAHABA KI QABRE ZAMEEN SE UNCHI THI.
HADITH:
Hazrat Sufyaan Tamaar رضي الله تعالى عنه se marwi hain ki unhoone bayaan kiya ki Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar ko dekha hain ki woh Kuhaan numa hain (yaani onchi- zameen se upar – elavated – convex).
[● Sahih Bukhari, kitab ul Janaiz]
Hazrat Imam Ebrahim Nakhie ne farmaya jiss shakhs ne Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Sahibain ki Qabre dekhi hain uss ne mujhe khabar di hain ki woh sab zameen se ubhri huwi hai. Un par safeed sange marmar hain.
HADITH:
Hazrat Khaarja bin Zaid رضي الله تعالى عنه farmate hain Maine apne aap ko is haal mein dekha ki jawaan tha. “AEHAD E USMAAN رضي الله تعالى عنه MEIN WOH SHAKS SAB SE ZYADA CHALAANGE LAGANE WALA SAMJHA JATA THA JO USMAAN BIN MAZ’OON KI QABR FALAANG JATA.”
[ ● SAHIH BUKHARI, KITAB UL JANAIZ, JILD 1, PG 517]
BUKHARI KI SAHIH HADITH SE YE PATA CHALA KI KHUD HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI AUR SAHABA E KIRAM KI QABRE ZAMEEN SE UNCHI HOTI THI.
● Imam Shamsuddin Sakhawi (902 H) Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke chacha Hazrat Hamza bin Abdul Muttalib رضي الله تعالى عنه ke tarjma mein likhte hai:
“UN KI QABR E MUBARAK PAR ‘QUBBA’ BANAYA GAYA, US KI ZIYARAT KI JAATI HAI AUR US SE BARKAT HASIL KI JAATI HAI.”
[● SHAMSUDEEN SAKHAWI, AL TAHFATUL LATIFA FI TAARIKHUL MADINA AL SHARIFA, JILD 1, PG 307]
AAJ BHI IRAQ, SHAAM, LEBONAN, PHILIPINES, LIBYA, IRAN, YAMEN, MISR AUR DUNIYA KE HAR KOONE MEIN AMBIYA AUR AWLIYA KI UNCHI MAZAARAAT HAI AUR UN PAR GUMBAD BANE HUWE HAI JO 1400 SAAL SE AAJ TAK QAYAM HAI AUR SAB SE BAA BARKAT MAZAAR E AQDAS AUR GUMBAD HUMARE AAQA WA MAULA HUZOOR NABI E KAREEM MUHAMMAD MUSTAFA صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KA MADINA MUNAWWARA MEIN HAI JO SABSE BADI ISLAM KI NISHAANI AUR AHLE SUNNAT KI DALEEL HAI.
FATIHA ISAL E SAWAB
@01
#Ta'arruf#
"Fatiha, Esaal e Sawab Ka Name He Aur Momin Ke Amal e Naik Ka Ek Sawab Uski Niyyat Karte Hi Haasil Ho Jata He Aur Amal Karne Par Dus Gunaa Milta He,
Khaana Saamne Na Ho To Sawab Na Puhnche Ga, Ye Gumaan Galat He
Sirf Baargah e Ilahi Me Dua Karna Ke Wo Sawab Mayyit Ko Puhnchaye"
(Al Hujja tul Fatiha LitTayyibit Ta'ayyuni Wal Fatiha P#14)
"Apni Zindagi Me Khud Apne Lye Esaal e Sawab Kar Sakta He"
(Malfuzat e Alahazrat P#48)
Esaal e Sawaab
@02
"Aye Hamarey Rabb Mujhey Baksh Dey Aur Merey Maa Baap Ko Aur Sab Muslmanon Ko Jis Din Hisaab Qaaim Hoga"
(Sura Ibrahim Ayat#41, P#13)
Esaal e Sawaab
@03
"Aur Woh InKe Baad Aaye,
Arz Karte Hen:
Aye Rabb Hamen Bakhsh Dey Aur Hamarey Bhaiyyon Ko Jo Hum Se
Pehle Imaan Laaye,
Aur Hamarey Dil Me Imaan Walon Ki Taraf Se Keena Na Rakh,
Aye Hamarey Rabb
Tu Hi Nihayat Mehrbaan Reham Wala Hey"
(Sura e Hashar Ayat#10, P#28)
Esaal e Sawaab
@04
Raawi:
Hazrat Abu Huraira
Farman e Rasoolullah:
"Insan Jab Mar Jaata He To Us Ke A'maal Khatam Hojatey Hen
Magar Teen Cheezen Baaqi Reh Jaati Hen
@Sadqa Jariya
@Ilm Jis Se Logg Faida Uthaen
@Neik Aulad Jo Waldain Ke Lye Dua e Khair Karey
(Muslim V#2, P#41)
(Abu Dawood V#2, P#298)
Esaal e Sawaab
@05
Khatam Sharif Me 3 Cheezen Hoti Hen
@Sadqa
@Quran Ki Tilawat
@Dua e Khair
Teenon A'mal Ko Ayenda
Insha ALLAH
Qur'an Ki Roshni Me Parhye
Esaal e Sawaab
@06
#Sadqa#
"Aur ALLAH Ki Raah Me Kharch Karo Aur Apney Hathoun Halakat Me Na Paro
Aur Bhalai Waley Hojao, Beshak Bhalai Waley ALLAH Ke Mehboob Hen"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#195)
"Aur Tum Se Puchtey Hen
Kya Kharch Karen,
Tum Farmao Jo Faazil Bachey"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#129)
Esaal e Sawaab
@07
#Tilawat#
"Aur Jab Qur'an Parha Jaye To Isey Kaan Laga Kar Suno
Aur Khamosh Raho Ke Tum Par Reham Ho"
(Sura e A'araf P#9, Ayat#204)
Esaal e Sawaab
@08
#Tilawat#
"Aur Beshak Hum Ne Qur'an Ko Yaad Karne Ke Lye Aasaan Farma Dya,
Tu He Koi Yaad Karne Wala"
(Sura e Qamar P#27, Ayat#32)
Esaal e Sawaab
@09
#Dua e Khair#
"Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bandey Puchen,
Tu Me Nazdeek Hun,
Dua Qubool Karta Hun Pukarne Waley Ki,
Jab Mujhe Pukaren
Tu Inhey Chahiye Mera Hukum Maanen
Aur Mujh Par Imaan Laayen Ke Kahin Raah Payen"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#186)
Esaal e Sawaab
@10
#Dua e Ibrahim Alehissalam#
"Aye Rab Mujhe Bukhsh Dey Aur Mere Maa Baap Ko Or Sabko Jis Din Hisaab Qaim Ho"
(Sura e Ibrahim P#13, Ayat#41)
Esaal e Sawaab
@11
Hazrat Saad;
"Meri Walda Fout Hogayi,
Agar Me Inki Taraf Se Sadqa Karun Tu Unhe Nafaa Puhnchey Ga?"
Farmaya;
"Haan"
(Bukhari V1, P#286)
{Abou Daud:pg422,Tirmizi,jd:2,Pg:85}
Esaal e Sawaab
@12
Raawi;
Abdullah Bin Umar RadiyALLAHu Anhu
"Jab Koi Nafli Sadqa Karey Aur Isey Apne Waldein Ki Taraf Se Karde
To Uska Apne Waldein Ko Ajar Milta He Aur Iske Ajar Me Koi Kami Nahi Hoti"
(Sharahus Sudoor Syouti)
(Tibrani Ausat)
(Kunzul Ammal)
(Tarikh e Damishq)
(Jamiyul Sagheer Syouti)
Esaal e Sawaab
@13
Raawi;
Uqba Bin Amir RadiyALLAHu Anhu
"Beshak Sadqa Qabar Walon Se Quboor Ki Aatish (Aag) Bujha Deta He"
(Tibrani)
(SharahusSudoor)
Esaal e Sawaab
@14
"Murde Apni Qabron Me 7 Din Aazmayish Me Hote Hen Sahaba In Dino Murde Ki
Taraf Se Khana Khilane Ko Mustahib Jantey"
(SharahusSudoor P#132)
Esaal e Sawaab
@15
Nawab Siddiqe Bhopali Wahabi;
"Murde 7 Din Aazmaish Me Daley Jate Hen, In 7 Dino Me Unki Taraf Se Khana Khilaya Jaye"
(Bazlul Hayaat P#29)
Esaal e Sawaab
@16
Raawi;
Ibne Abbas RadiyALLAHu Anhu
"Jab Eid, Jummah Ya Aashoora Ka Din Hota He, Ya Shabe Bar'at Hoti He To Amwaat Ki Roohein Apne Gharon Ke Darwazey Par Khari Kahti Hen,
He Koi Hamen Yaad Karey,
Hum Par Taras Khaye? "
(Khazain ur Riwayaat
Daqaiq ul Akhbaar P#123 - Imam Ghazali)
Esaal e Sawaab
@17
Raawi;
Hazrat Ali RadiyALLAHu Anhu
"Jo Shakhs Qabrastan Se Guzrey Aur 21 Martaba Surah e Ikhlas Parh Kar Qabar Walo Ko Bukhshe,
Jitne Logg Wahan Dafan Honge Unki Ta'daad Ke Barabar Usey Sawaab Miley Ga"
(Kanzul Ammal)
(Firdous ul Akhbaar)
(Tafseer e Mazhari)
(Tafseer Rooh ul Bayaan)
Esaal e Sawaab
@18
"ALLAH Ta'ala Naik Bande Ke Darjaat Jannat Mein Buland Farmata Hey Tu Banda Arz Karta Hey;
Aye Rub!!
Mujhey Ye Darja Kesey Mila?
Jawab Milta He;
Tere Bachey Ke Tere Lye Dua e Magfirat Karne Ki Wajah Se.."
(Mishkat P#206)
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja P#268)
(Tibrani Osat J5 P#349)
Esaal e Sawaab
@19
Qayamat Me Jab Gunahgaar Apni Nekiyan Paharoun Ki Tarah Dekhey Ga To Baargah e Khudawandi Me Arz Kare Ga;
Ye Kahan Se Ayin?
Jawab Milega Ke Ye Teri Aulad Ki Bakhshish Mangne Se Hen
(Mishkat P#198)
(SharahusSudoor P#127)
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja P#268)
(Tibrani Osat J5 P#349)
Esaal e Sawaab
@20
#Duaa#
"Beshak ALLAH Farmata He;
Me Apne Bande Ke Guman Ke Sath Hun Jab Wo Mujhse Dua Karey"
(Muslim V2 P#343)
(Bukhari V2 P#121)
Esaal e Sawaab
@21
"Jo ALLAH Se Dua Na Kare Ga ALLAH Us Par Ghazab Farmaye Ga"
(Ibne Maja V2 P#280)
(Musnad Ahmed V2 P#443)
(Kanzul Ammal)
(Durr e Mansoor)
Esaal e Sawaab
@22
#Ijtemayi Duaa#
"Ek Jaga Jama Hokar Log Dua Karen Ke Koi Dua Kare Aur Sab Aameen Kahen To Sabki Dua Qubool Hoti He"
(Mustadrik Lil Haakim)
Esaal e Sawaab
@23
#Khana Saamne Rakh Kr Dua#
"Jab Mousam Ka Naya Phal Aata To Sarkar Yun Dua Farmatey;
Aye ALLAH Hamare Shehar Ko Hamare Lye Barkat Bana Aur Hamarey Phooloun Men, Hamarey Naap Toul Men Barkat Hi Barkat Farma.
Phir Un Men Sab Se Kam Umar Hota Us Men Taqseem Kartey"
(Muslim)
(Ibne Majaa)
Esaal e Sawaab
@24
Sanaullah Amritsri Wahabi;
"Qur'an Parh Kar Ya Sadqa Khairat Karke Mayyat Ke Lye Astagfar Karna Ahsan Tareeqa He"
(Fatawa Sanaiyya V2 P#34)
Esaal e Sawaab
@25
Nawab Siqqidue Hassan Bhopali Wahabi;
"Pehle Do Rak'at Namaz Parhey,
Har Rak'at Mei Surah e Ikhlaas 11 Baar Phir Baad Me Salam Aur 111 Baar Durood Parhey.Phir Sheerni Par Fatiha Parh Kar Sheikh Abdul Qadir Jilani RadiyALLAHu Anhu Dum Kar Ke Taqseem Karey"
(Aldha Walidwah P#154)
Esaal e Sawaab
@26
Ismail Dehalwi Wahabi;
"Pas Har Wo Ibadat Jo Muslaman Ada Karey,
Iska Sawab Guzre Hue Ki Rooh Ko Puhnchaye, Uske Lye Dua Karey To Ye Buhat Behtar He,
Aur Rusoom Me Fatiha Karey,Urs Karey,
Murdoun Ki Nazar O Niyaz Karne Ki Rasmoun Ki Khobi Me Shakk o Shuba Nahi"
(Sirat e Mustaqim P#55)
Esaal e Sawaab
@27
Ismail Wahabi
@Sirat e Mustaqim;
"Jab Mayyat Ko Nafa Puhnchana Maqsood Ho To Khane Pr Mouquf Na Kare, Agar Mayassar Na Ho To Sura e Fatiha Aur Sura e Ikhlaas Behtreen Sawaab He"
(P#89)
"Ba Wuzu Namaz Ki Tarah Betho,
Khuwaja Ka Name Lo
Fatiha Parho,
Phir Waseeley Se Dua Karo"
(P#221)
Esaal e Sawaab
@28
Haji Imdadullah Muhajir Makki Jo Deobandio Ke Peer O Murshid Hen
Ye Sahihul Aqida They
Farmate Hen;
"Kashaf Quboor Ke Wastey Zikar Aur Pehle Qabar Ke Paas Beth Kar Mayyat Par Fatiha Parhey"
(Kulliyat e Imdadiya P#45)
Aaj Kal Inko Manne Waley Deobandi Wahabi Ye Baatein Bhool Gaye
Esaal e Sawaab
@29
Deoband Ke Haji Imdadullah Makki;
"Nazar O Niyaz Qadim Zamane Se Jari He Lekin Is Zamaney Ke Log Inkaar Krtey Hen"
(Imdaadul Mushtaq P#92)
AshrafAli Thanvi;
"Har Shakhs Ko Ikhtiyar He Ke Apne Amal Ka Sawab Murda Ya Zinda Ko Dey,
Jis Tarah Murda Ko Sawab Bheja Jaata He, Zinda Ko Bhi Jaata He"
(Attazakur V3 P#95)
Rasheed Gangohi;
Ahadees Se Faida Punhchana Tehqeeq Se Saabit,
Jamhur Sahaba o Ayimma Ka Mazhab He
(Tazkira e Rashid P#26)
Esaal e Sawaab
@30
Q.Murdey Ko Sadqaat Ka Sawaab Bakhsha To Usey Sawab Puhanchta He Ya Nahi?
A.Puhanchta He
(Ahsanul Fataawa V4 P#206
- Rasheed Gangohi)
Esaal e Sawaab
@31
#Aayaat Ka Galat Tarjuma#
Tarajim e Wahabiya:
"Har Wo Cheez Jis Par ALLAH Ke Siwa Dusron Ka Name Pukara Gaya, Haram He"
Surah Baqarah Ayat#173
Surah Maida Ayat#3
Surah An'am Ayat#145
Surah Nahal Ayat#115
Ye Zameen Ek Cheez He Isey PAKISTAN
Kehte Hen Aur Pakistan ALLAH Ka Name Nahi To
Sarey Wahabro Ko Chahye Is Zameen Sey Chale Jayen
Ke Unke Nazarye Ke Mutabiq ALLAH Ke Siwa Kisi Ka Naam Aa Gaya To Rehna Haraam Ho Gaya
GO Wahabi GO
Esaal e Sawaab
@32
Taaj ush Shariah Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Farmatey Hen;
"Jis Khane Par Bismillah Parhi Jaye Usey Shaitaan Hath Nahi Lagata,
Aur Jis Khane Par Fatiha Parhi Jaye Usey Bara Shaitaan Ya'ni Wahabi Deobandi Haath Nahi Lagaata"
Esaal e Sawaab
@33
#Tariqa#
Baa Wuzu Qibla Rukh Hokar Do Zaanu Beth Kar Niaz Saamne Rakhen
Aur Ye Parhen:
3 Martaba Durood
Ta'awwuz Aur Bismillah Sharif
Chaar Qul Sharif
Sura e Ikhlas 3 Martaba
Phir Sura e Fatiha
Aur Sura e Baqarah Ki Ek Ruku
Phr Ayat e Durud
3 Martaba Durood e Paak
Agar Silsila Ka Shajra Yaad Ho To Parhen Phir
Tamam Parhe Ko ALLAH Ki Bargah Me Hazir Karke Dua Maangen
Aur Phir Sab Se Pehle Nabi Paak Sallallahu Alahi Wasallam Ko Iska Sawab Paish Karen
Phir Anbya, Sahaba Ko Darja Ba Darja Paish Karke
Kul Mo'minin Mo'minaat Ko Puhncha Kr Jiske Esaal e Sawab Ki Mehfil He Usey Hadya Krden
Esaal e Sawaab
@34
Esaal e Sawaab
Alhumdulillah Sarkar Aur Sahaba Ki Sunnat o Tareeqa He,
Jo Kehte Hen Ye Biddat Hai Aise Logoun Ko ALLAH Hidayat Ata Farmaye