Showing posts with label SAHABI. Show all posts
Showing posts with label SAHABI. Show all posts

Tuesday, 14 July 2020

Ahl e Bait



                 Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم 





Quran Aur Ahle Bait
Ayat E Mubahila

“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”

(Surah Al Imraan Ayat 61)

Ye Aayat E Karima Nazraan k Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat  صلى الله عليه وسلم se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab k Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski  raay k begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte.

Ye Log Asr k wakt Apne Wafd k saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne aaye the.



Allah K Rasool  صلى الله عليه وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم  ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه وسلم   Allah k bheje Rasool صلى الله عليه وسلم  Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye

Hadees 01:

“Hazrat Amir bin Saad Bin Abi Waqqas  رضي الله عنه Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :

“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”

(Surah Al Imraan Ayat 61)”
To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya :
Ya Allah!
Yeh Mere Ahle Bait Hain.”
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220 “English No : 2404”)

(Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 ‘English No : 2999’)

(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 ‘English No : 3724’)

(Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608)
(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 107, Hadees : 8399)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 163, Hadees : 4719)

(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 07, Pg :63, Hadees : 13169,13170)

Imam Haythami ne As Sawaiqe Muharika Pg : 524 par Sahib E Kasshaf k Hawale Se likhte Hai Usse Badkar Chadar Waalo Ki Fazilat Par Koi Kawi Dalil Nahi Woh Hazrat Ali, Hazrat Sayyida Fatima Aur Hasnain Karimain Radi Allaho Anho Azmain Hai.

Kyuki Jab Ye Aayat  E Paak Naazil Huwi to Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Unhe Bulaya Imam Hussain Ko Godh Me Uthaya Aur Iman Hasan Ka Haath Pakda, Hazrat Ali Aur Sayyada Kaynaat Fatima Tuz Zahra aapke piche thi Pas Maloom Hogaya is Aayat se Murad Hazrat Fatima Ki Aulaad Aur Unki Jurriyat Hai Aur Ye baat Muslim Sharif Ki Sahi hadees se saabit hai jo upar bayan ki gayi.


Ahle Bait E Mustafa Ki Pakizgi Ka Bayan
“Aur ALLAH to yehi Chahta Hai Aye Nabi K Ghar Waalo K Tumse Har Napaki Ko Khoob Dur Farmade Aur Tumhe Paak karke Khoob Sutra Farma De”
(Surah Ahzaab Ayat 33)



Hadees 02:
“Hazrat Ayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Subah Key Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Key Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Key Humraah Chaadar Mey Daakhil Ho Gaye Phir Sayyada Fatima RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayi Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Bhi Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya.
Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Unhey Bhi Chaadar Mey Ley Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh Aayatey Mubaraka Parhi :
˝Ahle Bait!
Tum Sey Bari Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”
References  :
(Sahi Muslim, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Ahl E Bait E Nabi Sal Allahu Alaihiwassalam, Hadees : 2424)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 159, Hadees : 4707, 4709)

(Imam Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 02 Pg : 149, Hadees : 2680)

AHLE BAIT K MUTALLIK NABI E KARIM  صلى الله عليه وسلم KI WASIYAT
Hadees 03:
Arabic Matan :
ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏

فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ

Translation :

Hazrat Zaid bin Arqam Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai
“Ek Roz Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina k darmiyan us paani k Makam me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Taala ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Mai ek bashar hoon ankarib mere Rab Ka Qasid aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAIT HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTALLIK ALLAH SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTTALIK ALLAH SE DARATA HOON
References :
(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225  “English No : 2408”)

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 04, Pg : 366, Hadees :19265)

(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg : 145, Hadees : 123)

(Imam Ibn Khuzaymah Sahi ibn Khuzaymah Vol : 04, Pg : 62, Hadees : 2357)
(Imam Lalka’i Itiqad Ahlus Sunnah Vol : 01, Pg : 79, Hadees : 88)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg :148, Hadees : 2679)
(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 03, Pg : 487)
(Mishkal Al Masabih Vol : 01, Pg : 68)
(Zujatul Masabeeh Vol : 05, Pg : 317,318,319)

QURAN ME AHLE BAIT SE MUHABBAT KA HUKM
قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ
“Yah Hai Woh Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye Tuum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karabat Ki Muhabbat”
(42 Surah Shaura Ayat 23)
Quran E Karim Ne bhi Ahle Bait Ki Muhabbat hum pe Farz kardi hai ab koi behuda shaks Ek taraf ye Kahe k wo Ahle hadees Hai aur phir Quran Aur Beshumar Hadees ko Muhabbat E Yazeed me Inkaar karta jaaye to ye bas Munafikat hai.

MUHABBAT E AHLE BAIT KA HUKM BA JABAN E MUSTAFA صلى الله عليه وسلم


Hadees 04:

Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Apni Aulado Ko Teen Baatein Sikhao

i) Apne Nabi Ki Ulfat Wa Muhabbat
ii) Ahle Bait E Athar ki Ulfat Wa Muhabbat
iii)Quran E Karim Ki Qiraat

References :

(Al Jaame Ul Kabeer Vol : 01, Hadees : 924)

(Jaame Ul Ahadees Vol : 01, Hadees :  961)

(Imam Hussamul Hindi Kanjul Ummat Vol : 12, Pg : 560, Hadees :45409)

(Al Fath Ul Kabeer Vol : 01, Pg : 59)
(As Sawaiqe Muharika Pg : 577)

Hadees 05:

“Huzoor  صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”

References :

(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad,  Vol :01, Pg : 168, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)

Hadees 06:
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي
Tum  Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait  Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se”  
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789,  Arabic No : 4158)
(Mishkaat Ul Masabeeh, Vol :  2, Pg : 573)
( Zujajatul Masabeeh, Vol :  5, Pg : 314/315)

Quran Aur Ahle Bait Ko Thamne Waala Gumraah Na Hoga
“Aur Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aapas Me Sab Milkar Aur Aapas Me Fatt (Bhikar) Na Jaana”
(Surah Al Imraan Ayat 103)

Is Ayat k Tahet Imam Zafar Sadiq Radi Allaho Anho Farmate Hai
“Hum Ahle Bait Hi Hublullah Hai”
(As Sawaiqe Muharika Pg : 101)

Hadees 07:
“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chiz Chodta Hoon Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal”
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees : 4634)
(Imam As Sawaiqe Muharika Pg :145-146)

Hazzatul wida me Yaum E Arfa k Din Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Hazaro Sahaba E Kiram K Saamne Apni Oontni (She Camel) Kaswa par Tashreef Hoke Khutba Padh Rahe The.
Hadees 08:
“Hazrat Jaabir bin Abdullah se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT
References :

(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786 ‘Arabic No : 4155’)

(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)

(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)


Hadees 09:
إِنِّي تَارِكٌ فِيكُمْ مَا إِنْ تَمَسَّكْتُمْ بِهِ لَنْ تَضِلُّوا بَعْدِي أَحَدُهُمَا أَعْظَمُ مِنَ الآخَرِ كِتَابُ اللَّهِ حَبْلٌ مَمْدُودٌ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الأَرْضِ وَعِتْرَتِي أَهْلُ بَيْتِي وَلَنْ يَتَفَرَّقَا حَتَّى يَرِدَا عَلَىَّ الْحَوْضَ فَانْظُرُوا كَيْفَ تَخْلُفُونِي فِيهِمَا ‏"‏
‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ
“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akramصلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Mein Tum Mey Aisee Do² Cheezey Chhorey Ja Raha Hoo’n Ke Agar Tum Ney Unhey Mazbooti Sey Thaamey Rakha To Merey Baad Hargiz Gumraah Na Howgey Un Mey Sey Aik Doosri Sey Bari Hey Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Sey Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh  Donon Hargiz Zuda Na Ho’n Gee, Yahan Tak Ke Donon Merey Paas (Ikat’they) Hawzey Kawsar Par Aayegi.
Pas Dekho Ke Tum Merey Baad Un Sey Kya Sulook Kartey Ho?”
References :

(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788, ‘Arabic No : 4157’)

(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 133, Hadees : 30081)

(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 03, Pg : 14, Hadees : 11119)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 118, Hadees : 4546)

(Imam Nasai As Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 45, Hadees :8148)

(Imam Tabrani Al Mujam Al Awsat Vol : 03, Pg : 374, Hadees : 3439)

(Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir Vol : 01, Pg : 276, Hadees : 323)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir  Vol : 03, Pg : 65, Hadees : 2768)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg : 644, Hadees :1553)




Hadees 10:
“Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)



Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Sahi Ul Isnaad.



Yaha Humne Quran E Karim Ki aayat E Mubaraka Se Aur 10 hadees E Sahi Se Saabit Kiya k Muhabbat E Ahle Bait hum par Farz Hai Aur Huzoor Nabi E Karim ne Apni Ummat ko ahle Bait E k baare me Wasiyat ki hai.
Lekin aaj kuch Nasibi Urf Wahabi Jo apni zindagi bas bugz e Ahle Bait E Mustafa Ki tarz pe lage hai lihaja Difa E Yazidiat pe hi khud ki zindgi laga rakhi hai. ALLAH aise Logo ko akal de.
Ab Dusri baat aaj kuch log wo bhi dekhe jaate hai jinke saamne Hubbe E Ahle Bait Ka Zikr Karo to unka nakhsa hazma bigad jaata hai Sunnio Pe Shia hone ka ilzaam lagate hai, Shia to kuch bhi dawa kare lekin Muhabbat e Ahle Bait to hamara haq hai ab shia ye jhoota dawa kare to hum ye Muhabbat Apna Rishta E Talluk unse chod de ? Hargiz Nahi
Dekho to sahi Muhabbat E Ahle Bait ka Hukm to Quran ki nass se saabit hai aur sunni qutoob e Hadees me rivayat hai aur hamara tamam Imamo pe Hubbe Ahle Bait ki wajah se Shia hone ka ilzaam laga. Ahle Sunnat Ka Mazhab ye Hai k Hum Ahle Bait Se Muhabbat karte hai Sahaba Ki Jamaat Se Bhi Muhabbat karte hai Muhabbat E Ahle Bait Ka takaza ye nhi k Ahle Bait Ki kaa naam le aur Sahaba ko gaaliya de ye Mazhab Ibn Saba Urf Yahudi Shiyo ka hai. Allah Taala Inse Bhi Bachaye. Aamin
Ab next part ek mauzooda ahem fitna wahabiyat ka jo Jung E Kastuntunya jiski naa haq tehkeek ki bina par Yazeed ko Jannati Declare karne ki koshish ki jaa rahi hai iska bhi pura khulasa hum agli post me pesh karenge. In Sha ALLAH Taala

Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib


Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib PROOF

Hazrat Ameer muaviya Fazail wa Manaqib


Hazrat Ameer Muaviya Hazrat ibne Abbas ki Nazar mein

Hazrat Ibne Abbas say Pocha Gaya Kay Aap Hazrat  Ameer ul Mominin Ameer Muaviya Kay Baare Mei Kya Raaye  Hai Jab Ki Wo witar KI Ek hi Rakaat Padhtay Hain Hazrat Ibne Abbas Nay Farmaya BE shak Wo Faqeeh Hain

*Bukhari Shareef vol 2 page 436*


Jaame Tirmizi mein Baab ul Manaqib Hazrat Ameer Muaviya

*Huzoor ﷺ Hazrat Ameer Muaviya Kay liye Jannat ki Basharat Farmaye Hain*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107 Bukhari sharif Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pala Bahri Jihad kiya Bukhari sharif vol 2 page 66,67



*Huzoor ﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya Ko Duayen Di Haain

Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye  Dusron Ko Hidayat Ata Farma
 *{kanzul umal vol13 page 349}*



5

Tirmizi Ki Bab ul Manqib Mein Hadees Hai ki”Hazrat Omer Bin KHattab nay Hamas bin Umair bin Sa,ad Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Waali Banaya tu Logon Nay kaha Aap Nay Umair  Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Ameer  Muqarar Farma Diya is per Hazrat Umair Nay Kaha Hazrat AmeerMuaviya Ka zikr Khair say Hi Kiya Karo Kiyun Kay Main Nay Nabi Karim Ko Farmate Suna Ya Allah in {Ameer Muaviya }Kay Zariye Logon ko Hidayat Day [Jame Tirmizi vol 2 page755]





Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain Aye Allah {Hazrat} Ameer Muaviya ؓ Ko Quran Aur Hisab Ki Taleem  Daye Use Zameen Ki Badshahi Ata Farma Aur Use Azab Say Azab Say Bacha

{Al Muajjam ul Kabeer vol 19 page 439}





Nabi Karim ﷺIrshad Farmate Hain “Mere Raaz Muaviya Bin Abu Sufiyan ؓHain Tu Jis Nay in Say Mohabbat Ki Wo Najat Pa Gaya Aur Jis Nay in Say Bugaz Rakha Halak Hogaya”

{Al Riyaz Ul Nazra Page 218}

Is Hadees Ko Imam Ibne Hujar Haitmi Nay Apni Kitab Tathir ul Jinan mEin Bhi Naqal kiye Hain









*Fazai’ Wa Manaqib Hazrat Ameer Muaviya*

 Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain abubakar Meri Ummat Mein Sab Say Bada Naram Dil Aur Meharban Hai Phir Aap Nay Baqiya Manaqib Khulafa e Araba Zikr Farmaye Uskay Bad Sahaba Ki Dusri Jamat Ka Aap Nay Tazkira Farmaya  Aur Aap Nay Hazrat Ameer  Kay Mutaliq Farmaya  Muaviya Bin Abi Sufiyan Meri Ummat Mein Sab Say Ziyada Burdbaar Aur Sakhi Hai

*Al Mukhtar Fi Usol sunnah  page 154)*




Ibne Asakir Riwayat kartay hain

 Ki Arwa bi Roveem say kaha

Ek Airabi Nabi karim ﷺ kay paas aaya aur bola kay mujh say khushti lado Tu ussay Hazrat Ameer Muaviya Radi Allah Anha Nay kaha main Tujh say Khushti Ladta hun tu (isper) Nabi karim ﷺ  Nay irshad Farmaya kay(Hazrat Ameer) Muaviya Kabhi Maglob Na hun gay chunancha Hazrat Ameer muaviya Nay us Airabi Ko pachad diya Jab Jange siffain Ho chuki Tu Hazrat Ali Radi Allah Anah Nay (Arwa say) kaha kay Agar tum is Hadees zikar Kar Detay Tu Main Muavuya radi allah anah say Jang Na karta

*izalatul khulafa vol 4 page 516*




Hazrat Ali ki wafat aur imam Hasan ki khilafat say Daatbardari Kay baad Hazrat Ameer muawiya Kay liye khilafat Bilitefaq Sahih Sabit Hai Kiyun Kay Hazrat Hasan Radiallahuanha Nay khoon Rezi Say Bachaw Ki Maslihat Ko Madden Nazar Rakhtay howe Khilafat Hazrat Ameer Muaviya Kay Sapurd kardi Aur is Tarah Rasool Allah Ki Hazrat Hasan Kay Bare Mein Peshangoi Bhi Sahih Hogai Kay mera ye Beta Sardar Hai Aur Allah iskay  Zariye 2 Jamaton mein Surah Farmaya Day Ga istarah Hazrat Hasan Radiallahuanha Ki Dastbardari Say Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khilafat Tafweez Howi Aur is Saal Ka Naam Hi Aam ul Jamaa ( ijtema wa itefaq wala saal) Mashoor Hogaya Kiyun Kay is saal Tamam Sahaba Kay ikhilafat Kahatam hogaye Aur Sab Nay Hazrat Ameer Muaviya Radiallahuanha ko Khalifa Taslim Kar Liya Kiyun Kay is wafat (Hazrat Ameer Muaviya aur Hazrat imam Hasan Radiallahuanha Kay Alawa ) Koi Teesara Mudai Khilafat Nahi tha

MAZEED Aage Irshad Farmate Hain

*”Ahle sunnat Ka muttafiqa Faisal Hai kay sahaba Kiram Kay Bahami Ikhtelafat per Bahas Wa Mubahisa Na kiya Jaye unki Burai Say Zubane Rok li Jayen unaky Fazail Wa Mahasin Ka izhar Kiya Jaye  jo Waqiyat Aur ikhtelafat Ronuma Howe Uneh Allah Kay Sapurd Kiya Jaaye jaisa kay Hazrat Ali Hazrat Talha Hazrat Zuber Hazrat Aaisha Hazrat Ameer muaviya Radi allah anha wagera kay ikhtelafat ka zikar kiya gaya hai*

*_Ghuniyat ul Talibeen _*

*Note* Sarkar Ghause Azam ki Talim tu ye Hai kay sahaba kay Apasi ikhtelafat mushjirat per Zuban band rakhi jaaye magar Afsos kay baaz log Sahaba kiram ko radi allah anah bhi kehte Hain Aur Unki Zaat per Aitraz Bhi kartay Hain Afos Hai Aise logon per Jamate Ahle sunnat Ki Rawish Say Hat kar Rafziyat Ki Taraf chal pade Hain

Allah Tala Hame Ghause Azam kay Rastay Per Chalne ki Taufiq Ata farmaye.







*Huzoor ﷺ Hazrat jibrael Alehsalam kay Mashware say Hazrat Ameer Muaviya ko Apna katinmb Banaya*
Ibne Kaseer Albadaya Wan Nahaya {Tareekh Ibne kaseer} Mein Riwayat Naqal Farmate Hain

Hazrat Ibne Abbas Bayan farmate hain Kay Jibrael Alehsalam Rasol Allah ﷺ Kay Paas Tashrif Laye Aur kaha Ya Rasool Allah ﷺ Muaviya Radi allah Anhu  Ko Salam Kahiye Aur Uneeh Bhalai Ki Wasiat kijiye Bila Shuba Wo Katib Aur Wahi Per Ameen Hain Aur Bahut Ache Ameen hain

Mazeed Aage Ek Aur Riwayat Ibne Asakir say naqal Karte hain Kay “Rasool Allahﷺ Nay hazrat Amer muaviya Ko Apna Katib Banane Kay Liye Hazrat Jibrael Alehsalam Say Mashwara Kiya Tu Unhaun Nay kaha Uneeh Katib Bana Lijiye

*Tareekh Ibne Kaseer Vol 5 page 158*



Imam ibne hujar makki Likhtay hain

“Hazrat Ameer muaviya  ki khilafat aur  unka musalmano kay umoor ki Nigrani karna aur Khilafat Kay Taqazon Kay Mutabiq  Tasarrif Karna Dusrust Tha Aur Ye sab Batain us Sulah Per Muratib Hoti Hain (Jo imam Hasan radi allah anah Aur Hazrat Ameer muaviya Radialla anah) Pas Us waqat Say Hazrat Ameer Muaviya Ki Khilafat Ka Saboot Ban Gaya Aur iskay Baad wo Imam Bar Haq Aur Sache imam Ban Gaye”

*Al Sawaiq Ul Muharriqa mutarjim page 721*





Imam ul Hind Hazrat Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlvi Rahmatullaha Aleh Riwayat Naqal Farmatay Hain
Hazrat Ali shere Khuda Radi allah anah say Ahle jamal kay Taluk say Sawala kiya gaya

Kaha ki

*kiya wo Mushrik Hain ye log(yani Ahle jamal Hazrat Ameer muaviya aur unki Fauj)?*
Hazrat Ali radi Allah anah nay farmaya Ye log Shirk Say Bhagtay Hain

*Pocha gaya kiya Munafiq Hain Ye Log?*

(Hazrat Maula Ali nay farmaya) Munafiq Allah Ka zikr Nahi Kartay Magar Kam(yaani Ahle jamal tu Allah ka zikr Kasrat say karnay wale hain Munafiq tu zikr kartay hain magar bahut kam kartay hain)

*Pocha gaya Phir Ye Log Kiya Hain?*

Hazrat Ali Shere Khuda Nay irshad Farmaya *Ye Hamare Bhai Hain* unaho nay Hus say Bagawat ki Aur Hazrat Maula Ali nay Farmaya main Umeed Karta Hun Hum Misal Un Logon kay Ho Jaayen Gay jin Kay Bary mein Allah Tala ka farman Hai ونزعنا ما فى صدورهم

Aur jo khuch Unkay Dilon mein Gubar Tha Hum usko Door karen Dain gay ki Sab Bhai Bahi Ki Tarah (Ulfat wa Muhabbat) Say Rahen Gay

*izalatul Khifa Vol 4 page 522*




Imam Rabbani Hazrat Mujaddid Alf e Saani Jin kay Taluk say Dr iqbal nay Kaha tha
Hazir Huwa Main Sheikh-e-Mujadid Ki Lehad Par

Woh Khak Ke Hai Zair-e-Falak Matla-e-Anwar
Iss Khak Ke Zarron Se Hain Sharminda Sitare

Iss Khak Main Poshida Hai Woh Sahib-e-Asrar
Gardan Na Jhuki Jis Ki Jhangeer Ke Agay

Jis Ke Nafs-e-Garamond​ Se Hai Garmi-e-Arhar
Woh Hind Mein Sarmaya-e-Millat Ka Negheban

Allah Ne Barwaqt Kiya Jis Ko Khabardar
Hazrat Mujaddid Alfe Sani likhtay hain

Qazi Ayaz Nay kitab Shifa Mein Likha Hai imam Malik Farmatay Hain kay Jis Shaks Nay Huzoor ﷺ Kay Ashab Mein Say Kisi Ko Yani Hazrat Abubakar Hazrat Omer Hazrat Usman Hazrat Ameer muaviya  aur Hazrat Umroo Bon Aas Razi allah Tala anahum Ko Gali Di kah ki wo kufr Aur Gumrahi Per Thy tu wo Wajib ul Qatal Hai Aur iskay Alawa Aur Koi Sab wa shatam ka lafaz istemal kiya jis Tarah Log Ek dusre Ko kahtay Hain Tu isko Sakht Saza di Jaaye

*maktobat imam Rabbani Daftar Awal Hissa Duam page 188*