Mukhtar E Qul
Pesh E Nazar
Tamam Taarif ALLAH Taala K Liye,Hum Chahe Jitni Hi Hamd Bayan Kare Tamam K Tamam Kam Hai,Alhamdulillah
Tamheed
Hadees Shareef Me Aata Hai NABI ﷺ Ne Farmaya Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Ummat 71 Firqo Me Bati Aur Hazrat Esa Alaihissalam Ki Ummat 72 Firqo Aur Meri Ummat 73 Firqo Me Batjayegi Aur Is Hadees E Paaak Per Tamam Firqo Ka Manna Hai Yeh Hai Sahi Hadees Hai,Isme Koi Shak O Shuba Nai,Ab Yeh Alag Alag Firqe Kaise Wajud Me Aaye,Is Per Ullema E Kram Ne Bahut Se Kitabein Likhi Hai Aur Haqeeqat B Yahi Hai In Sabke Aqeede Haq Se Juda Hogaye Aur Inhone Apna Alag Firqa Bana Liya,Baqaul Hadees Mubarak K Haq Jamat Ahle Sunnat Wal Jamaat Hai Aur Yehi Sawad E Azam Hai.Ab Infirqo Me Ek Yeh Aqeeda B Gadliya K NABI ﷺ Kisi Chiz Ka Ikhtiyar Nai Rakhte.
Taqwiyatul Imaan Safa 51 Per Ismail Dehlvi Likhta Hai “Jiska Naam Mohammad Ya Ali Hai Who Kisi Chiz K Mukhtar Nai” Isi Tarah Wahbi Jamat B Munkir Hai Per Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda Hai “ALLAH Taala Ne Aapko Mukhtar E Qul Banaya Hai” Aur Alhamdulillah Is Per Hum Dalail Pesh Karege Aur Deobandi Wahbi Ka Radd B,In Sha ALLAH Taala.
Zahen Is Mauzu Per Banana K Liye Ek Missal Dena Chahta Hu , Jaise K Aap K Jism Me Jitney Aazah Hai,Aur Usper Apka Ikhtiyar ,Haqeeqat Toh Yahi Hai K ALLAH Taala K Hukm K Bina Ek Patta Nai Hilta Toh Aap Apne Jism Me Apni Marzi Se Kya Harkat Karoge Magar ALLAH Taala Ki Ataa Se Aapka Apne Jism Per Pura Ikthiyar Hai,Uthna Baithna Chalna ,Khana Khaana,Sona,Jaagna ,Chahe Jis Tarah Ki Harkat Aap Dena Chahe Aap De Sakte Hai Aur Yeh Qul Ikhtiyar Aapko ALLAH Taala Ne Ataa Kiya Hai,Ab Ikhtiyar Dediya Toh Marte Dum Tak Aap Apne Jism Per Purey Ikhtiyar Rakhte Ho,Bilkul Isi Tarah ALLAH Taala Ki Ataa Se Ambiya E Kram Ko Hum Aam Insaan Se Zyada Ka Ikhtiyar Diya,Aaye Quran O Hadees Ki Roshni Me Dalail Pesh Karte Hai.
Daleel
Quran Shareef
Ayat # 1
Surah Nisa Aayat # 65
Tarjuma Kanzul Imaan : “Toh Aye Mehboob Tumhare Rab Ki Qasam Wah Musalman Na Hoge Jabtak Apne Apas K Jhagde Me Tumhe Hakim Na Banaye Phir Jo Kuch Tum Hukm Farmado Apne Dilon Me Issey Rukawat Na Paaye Aur Jee Se Maanle”
Jab Sahaba E Kram Me Jhagda Hua Tab Yeh Aayat Ka Nuzul Hua Aur NABI ﷺ Ki Shaan E Azmat B Zahir Hogai K Apas K Jhagde Me Hakim Na Banana Wala Musalman Nai Kya Yeh Ikhtiyar Nai ??
Ayat # 2
Surah Ahzab Ayat # 36
Tarjuma Kanzul Imaan : “Aur Kisi Musalman Mard Na Musalman Aurat Ko Pahuchta Hai K Jab ALLAH Wa Rasul Kuch Hukm Farmade Toh Inhe Apne Muamla Ka Kuch Ikhtiyar Rahe.
Yaani ALLAH Aur NABI ﷺ Ka Hukm Baad Ummat Ka Kuch Ikhtiyar Nai,Issye B Saabit Hai Ikhtiyar E Mustafa ﷺ .
Ayat # 3
Surah Al Araf Ayat # 157
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Suthri Chizen Inke Liye Halal Farmayega Aur Gandi Chizen Inper Haram Karega”
Subhan ALLAH Yeh B Ikhtiyar Hasil K Acchi Chizen Halal Karde Toh Halal Aur Haram Farmade Toh Haram.
Ayat # 4
Surah Tauba Ayat # 29
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Haram Nai Mante Is Chiz Ko Jisko Haram Kiya ALLAH Aur Uske Rasul Ne”
Subhan ALLAH
Is Ayat Se Saaf Wazeh Hogaya Ki Nabi ﷺ K Liye “Haram Qarar Dene” K Ikhtiyar Ko Na Manne Wala Kafir Sifat Hai,Musalman Ki Nai.
Ayat # 5
Surah Tauba Ayat # 74
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Inhe (Yaani Kuffar Aur Munafiq Ko) Kya Bura Yahi Na K ALLAH Aur Uske Rasul Ne Inhe (Yaani Musalman Ko) Apne Fazl Se Gani Kardiya”
Subhan ALLAH, Agar Ikhtiyar Na Hota Toh Gani Kaise Karte.
Ayat # 6
Surah Tauba Ayat # 59
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Kya Accha Hota Agar Wah Isper Razi Hote Jo ALLAH Aur Rasul Ne Inko Diya”
Subhan ALLAH ,Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye , Dene Wala Hai Saccha Humara Nabi ﷺ .
Ayat # 7
Surah Al Ahzab Ayat # 37
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Aye Mehboob Yaad Karo Jab Tum Farmate The Ussey Jisey ALLAH Ne Ne’mat Di Aur Tumne Isey Ne’mat Di”
Subhan ALLAH, NabiﷺALLAH Ki Ataa Se “Gani” “Ataa Karna” “Ina’am Farmane Wala” Per Ikhityar Hai.
Ayat # 8
Surah Al Hahsr Ayat # 7
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur (Jo) Kuch Tumhe Rasul Ataa Farmaye Wah Lelo Jissey Mana Farmaye Baaz Aao”
Subhan ALLAH , Issey Saabit Hua K Nabi ﷺ Jo Kuch Chahe Ataa Farmane Aur Jo Kuch Chahe Mana Farmane Ka Ikhtiyar Rakhte Hai
Ayat # 9
Surah Nisa Ayat # 78
Tarjuma Kanzaul Imaan: “Tum Jaha Kahi Ho Maut Tumhe Aalegi Agarche Mazboot Qilo’n Me Ho”
Is Ayat Se Malum Hua Ki Maut Per Kisi Ka Zor Nai,Koi Jaha Kahi B Chup Jaye Maut Usko Usi K Maqam Per Daboch Legi Aur Jab Maut Ka Waqt Aajaye Toh Phir Lamha Bhar B Taqdeem Wa Taakhir Mumkin Nai.
Ab Is Aayat Ko Zahen Me Rakhe Aur Ikhtiyar E Ambiya Alaihissalam Dekhe .
Hadees
Sahi Muslim Jild 2 Safa 267 Hadees 2372, EnglishBook 43 Hadith 206 &Book 30 Hadith 5851Kitab Al Fazail
وَحَدَّثَنِي مُحَمَّدُ بْنُ رَافِعٍ، وَعَبْدُ بْنُ حُمَيْدٍ، قَالَ عَبْدٌ أَخْبَرَنَا وَقَالَ ابْنُ رَافِعٍ، حَدَّثَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أَخْبَرَنَا مَعْمَرٌ، عَنِ ابْنِ طَاوُسٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ أُرْسِلَ مَلَكُ الْمَوْتِ إِلَى مُوسَى عَلَيْهِ السَّلاَمُ فَلَمَّا جَاءَهُ صَكَّهُ فَفَقَأَ عَيْنَهُ فَرَجَعَ إِلَى رَبِّهِ فَقَالَ أَرْسَلْتَنِي إِلَى عَبْدٍ لاَ يُرِيدُ الْمَوْتَ - قَالَ - فَرَدَّ اللَّهُ إِلَيْهِ عَيْنَهُ وَقَالَ ارْجِعْ إِلَيْهِ فَقُلْ لَهُ يَضَعُ يَدَهُ عَلَى مَتْنِ ثَوْرٍ فَلَهُ بِمَا غَطَّتْ يَدُهُ بِكُلِّ شَعْرَةٍ سَنَةٌ قَالَ أَىْ رَبِّ ثُمَّ مَهْ قَالَ ثُمَّ الْمَوْتُ . قَالَ فَالآنَ فَسَأَلَ اللَّهَ أَنْ يُدْنِيَهُ مِنَ الأَرْضِ الْمُقَدَّسَةِ رَمْيَةً بِحَجَرٍ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم " فَلَوْ كُنْتُ ثَمَّ لأَرَيْتُكُمْ قَبْرَهُ إِلَى جَانِبِ الطَّرِيقِ تَحْتَ الْكَثِيبِ الأَحْمَرِ "
Tarjuma
Hazrat Abu Huraira رضياللهعنه Riwayat Karte Hai K Rasul ALLAH ﷺ Ne Farmaya K Malakul Maut Alaihissalam Musa Alaihissalam K Paas Aaye Aur Unse Kaha K Apne Rab K Paas Chale (Yaani Aapki Rooh Qabz Karne Aaya Hu) ,Hazrat Musa Alaihissalam Ne Malakul Maut Ko Aisa Tamacha Maara K Inki Aankh Nikal Di,Malakul Maut Alaihissalam ALLAH Taala K Paas Laut Gaye Aur Arz Ki Aye Baari Taala Tune Mujhe Apne Aise Bande K Paas Bhejdiya Jo K Maut Ka Toh Rakhta Hi Nai Aur Isne Toh Meri Aankhen B Nikal Di Pas ALLAH Taala Ne Malakul Maut Ki Aankhen Lauta Di Aur Farmaya K Mere Bande K Paas Jao Inse Kahe K Kya Aap Zindagi K Iradah Rakhte Hai ?Pas Aap Zindagi Ka Iradah Rakhte Hai Toh Apna Haath Bail K Pusht Per Rakhe,Jitney Baal Aapke Haath K Niche Aajayege,Utne Saal Aapko Mazeed Zindagi Dedijayegi,Hazrat Musa Alaihissalam Ne Kaha Phir Kya Hoga,Malakul Maut Alaihissalam Ne Arz Ki Phir Akhikar Aapko Maut Ayegi Toh Hazrat Musa Alaihissalam Ne Kaha Phir Toh Ab Qarib Hai(Yaani Apne Maut Ko Isi Waqt Ikhtiyar Karliya) Hazrat Musa Alaihissalam Ne Arz Ki Aye ALLAH Taala Baitul Muqaddas Se Ek Phattar Phenke Jaane K Faasle Ki Mikdaar Per Meri Rooh Qabz Karna ,Rasul ALLAH ﷺ Se Farmaya ALLAH Ki Qasam Agar Me Is Jagah Hota Toh Me Tumko Kasyb Ahmer (Jagah Ka Naam)Paas Raste Ki Ek Janib Me Musa Alaihissalam Ki Qabr Dekhta.
Is Hadees E Paak Se Saaf Zahir Hota Hai K Ambiya E Kram Ko Maut Wa Hayat Per Ikhtiyar Hota Hai.
Ikhtiyar E Musataf ﷺHadees Shareef Se
Hadees # 1
Tarjuma:
" Hazrat Uqba Ibne Aamir Se Marawi Hai Ki Huzoor ﷺNe Irshad Farmaya Ki Main Apne Houz Ko Is Waqt Dekh Raha Hu, Aur Mujh Ko Tamam Roo E Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Di Gai Hai "
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 189 Kitab 23 Hadees 1344, English Book 23 Hadith 428
Sahih Muslim Jild2 Safa 250 Hadees 5874, English Book 30 Hadith 5688
Is Hadees Shareef Me Huzoor ﷺ Ne Houze Kouser Ko Apna Houz Farmaya Goya Aap Iske Malik Hai Aur Saari Roo E Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Khuda E Ta'ala Ne Aap Ko Ata Farmayi Hai Yaani Malik Wa Mukhtar Hai.
Ek Aur Riwayat Me Aata Hai
Hazrat Sauban رضياللهعنه Se Rivayat Hai K Rasool Allah صلىاللهعليهوآلهوسلم Ne Farmaya Aye Logo Allah Ne Jamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak K Maine Jamin K Mashrik Ko Bhi Dekh Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur Allah Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya Ek Surkh Khajana Aur Ek Safed (White) Khajane.
Sahi Muslim Jild 2 Safa 390 Hadees 2889, English Book 24, Hadees 25
Hadees # 2
Tarjuma:
" Hazrat Ameere Muaaviya رضياللهعنهNe Logo Ko Khitab Karte Hue Farmaya Ki Huzoor ﷺ Ko Maine Ye Farmate Hue Suna Hai Ki Allah Ta'ala Jis Se Bhalai Ka Irada Farmata Hai Usko Deen Me Samajh Ataa Farmata Bai Aur Beshaq Main Bantne Wala Hu Aur Allah Ta'ala Dene Wala"
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 16, English Jild 1 Kitab 3 Hadith 71
Is Hadees Se Saaf Wazeh Hogaya,Haqeeqi Dene Wala Beshak ALLAH Taala Hi Hai Aur Baantne Waley Noor E Mustafa ﷺ Hai.Yaani Ta Qayamat Tak Jo B Ummat Me Batega Tamam Ikhtiyar E Mustafa ﷺ K Haath Se Batega.
Hadees # 3
Tarjuma:
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضياللهعنها Se Marvi Hai Ki Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha Agar Main Chahu To Mere Sath Sone Ke Pahaad Chala Kare.
Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa Shamailihi , Hadees : 5586
Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683
Is Hadees Se Saaf Zahir Hai K Aap K Chahne Se Yaani Is Per B Ikhtiyar K Chahe Toh Ya Na Chahe Toh Sone Ke Pahad Saath Chale.
Hadees # 4
Tarjuma:
Hazrate Bara'a Farmate Hai Ki Mere Ek Mamu Jinka Naam Abu Darda Tha Unhone Eid Ki Namaz Se Pehle Qurbani Kar Di To Unse Rasoolullah ﷺ Ne Irshad Farmaya Tumhari Wo Qurbani To Gosht Ho Gai. ( Yaani Qurbani Ka Sawab Nahi Milega ) To Unhone Ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Mere Paas Ek Palaa Hua 6 Maah Ka Bakri Ka Baccha Hai Uski Qurbani Kar Du ? Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Iski Qurbani Kar Do . Lekin Ye Ijazat Sirf Tumhare Liye Hai . Tumhare Alawa Kisi Aur Ke Liye 6 Maah Ka Bakri Ka Baccha Kaafi Nahi Hai .
Bukhari Jild 2 Safa 833 Hadith 75
Yani Huzoor ﷺ Ne Apne Khudadad Ikhtiyarat Se Janab Abu Darda Ke Liye Sirf 6 Maah Ke Bakri Ke Bache Ki Qurbani Jayaz Farma Di. Lehaza Manna Padega Ki Beshaq Allah Ta'ala Ne Apne Rasool ﷺ Ko Mukhtar Bana Kar Bheja Hai.
Hadees # 5
Sahi Muslim Hadees 489, English Book 4 Hadith 256 & 990
حَدَّثَنَاالْحَكَمُبْنُمُوسَىأَبُوصَالِحٍ،حَدَّثَنَاهِقْلُبْنُزِيَادٍ،قَالَسَمِعْتُالأَوْزَاعِيَّ،قَالَحَدَّثَنِييَحْيَىبْنُأَبِيكَثِيرٍ،حَدَّثَنِيأَبُوسَلَمَةَ،حَدَّثَنِيرَبِيعَةُبْنُكَعْبٍالأَسْلَمِيُّ،قَالَكُنْتُأَبِيتُمَعَرَسُولِاللَّهِصلىاللهعليهوسلمفَأَتَيْتُهُبِوَضُوئِهِوَحَاجَتِهِفَقَالَلِي"سَلْ".فَقُلْتُأَسْأَلُكَمُرَافَقَتَكَفِيالْجَنَّةِ.قَالَ"أَوَغَيْرَذَلِكَ".قُلْتُهُوَذَاكَ.قَالَ"فَأَعِنِّيعَلَىنَفْسِكَبِكَثْرَةِالسُّجُودِ".
Tarjuma:
Hazrat E Rabiya Bin Kaab Aslami Raziallahu Anho Kahte Haiń Ke Mai Raat Ko Huzoor ﷺ Ki Khidmat Me Rahta Tha.Mai Huzoor ﷺ Ko Wazu Ke Liye Paani Aur Digar Samaan-E-Zarurat Pesh Karta To Huzoor ﷺ Ne Farmaya "JO CHAHO MANG LO".Maine Arz Kiya "HUZOOR JANNAT MANGTA HU AUR USME AAPKA SATH". Huzoor ﷺ Ne Farmaya "ISKE ALAWA AUR BHI KUCH MANGNA HAI???". Maine Arz Kiya "Huzoor Yahi Chahiye" Farmaya"Zyada Sajdo Se Apne Nafs Ki Islaah Karke Meri Muawinat(Himayat) Karo".
Is Hadees Ki Sharh Me Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Mirqat Jild 2 Me Likhte Hai
Tarjuma:
"ALLAH Ne Apko Quwwat Ata Farmayi Hai Ki Aap Jo
Chahe ALLAH Ke Khazane Me Se De Sakte Hain”
Scan Page:
Is Hadees Per 34 Shawahid Maujud Hai Sahi Muslim Ko Milakar , Shawahid Link:
Http://Library.Islamweb.Net/Hadith/Hadithservices.Php?Type=2&Cid=2682&Sid=2901
Is Hadees Per Hazrat Sheyckh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Iski Sharah Ashat Ul Lamat Jild 1 Safa 106 Chapi Farid Book Stall Me Likhte Hai “NABI ﷺ Jo Chahe Jisko Chahe Jitna Chahe ALLAH K Hukm Se Dede”
Is Hadees Se Saaf Shaffaf Zahir Hua Ki NABI ﷺJo Chahe Jisey Chahe Ataa Karde Yaani Mukhtar E Qul Hai Aur Isme Koi Do Rai Nai.
Hadees # 6
Sunan Abu DawudKitab Al Kharaj,Wal-Fai,Wal Imarah, Hadees 3026,English Book 20 Hadith 99 &Book 19 Hadith 3020
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ سُوَيْدٍ، - يَعْنِي ابْنَ مَنْجُوفٍ - حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ، عَنْ حَمَّادِ بْنِ سَلَمَةَ، عَنْ حُمَيْدٍ، عَنِ الْحَسَنِ، عَنْ عُثْمَانَ بْنِ أَبِي الْعَاصِ، أَنَّ وَفْدَ، ثَقِيفٍ لَمَّا قَدِمُوا عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم أَنْزَلَهُمُ الْمَسْجِدَ لِيَكُونَ أَرَقَّ لِقُلُوبِهِمْ فَاشْتَرَطُوا عَلَيْهِ أَنْ لاَ يُحْشَرُوا وَلاَ يُعْشَرُوا وَلاَ يُجَبُّوا فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم " لَكُمْ أَنْ لاَ تُحْشَرُوا وَلاَ تُعْشَرُوا وَلاَ خَيْرَ فِي دِينٍ لَيْسَ فِيهِ رُكُوعٌ "
Tarjuma:
Mukhtasar Kartau: “Zakat Aur Jihad Tark Karne Ki Shart Per Qabul Islam”
Subhan ALLAH,Nabi ﷺ Ne Qafiley Walo Ki Is Shart Ko Maanliya Aur Apna Ikhtiyar Bataya Aur Unhe Islam Me Dakhil Karwaya.
Hadees # 7
Abu Dawud Shareef Kitab As Salat Jild Safa 67 , Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal Jild 5 Safa 420 Safa 363
Hadees 43.
Mukhtasar Tarjuma: “Rasul ALLAH ﷺNe 3 Namaz Muaf Farmadi”
Subhan ALLAH
Hadees # 8
2 Namaz Ko Ek Waqt Me Jama Karna,Chunke Quran Shareef Me ALLAH Taala Ne Farmaya
Surah Nisa Ayat 103
Tarjuma Kanzul Imaan: “Beshak Namaz Musalmano Per Waqt Bandha Hua Farz Hai”
Yaani Har Namaz Ko Waqt Per Padha Jaye Lekin NABI ﷺ K Ikhitiyar Per Qurban Jaye ,Hadees Me Aata Hai
Sahi Bukhari Jild 1 Safa 227
Tajuma: “Hazrat Abu Ayub Ansari Radia Taala Anhu Riwayat Karte Hai K Janab Rasul ALLAH ﷺ Ne Hujjatul Wada K Mauqa Per Mazdalfa’a Me Magrib Aur Isha Ko Jamaa Karke Padha”
Tahsreeh: Ahnaaf K Nazdeek Siwaye Hajj K Dono Namazo Ko Ek Waqt Me Karke Padhna Haram Hai Kyukay Sarkar ﷺ Ne Rukhsat Sirf Arfaat Aur Madalfa’a Me Di Hai.
Subhan ALLAH.
Hadees # 9
Sahi Muslim Kitab Al Fazail Jild 2 Safa 253 Hadees 2311 , English Book 43 Hadith 76 &Book 30 Hadith 5726 ,
Sahi Bukhari Kitab Al Adab Jild 2 Safa 891 ,Hadees 6034 ,English Book 78 Hadith 64 &Jild 8 Book 73 Hadtih 60.
حَدَّثَنَامُحَمَّدُبْنُكَثِيرٍ،أَخْبَرَنَاسُفْيَانُ،عَنِابْنِالْمُنْكَدِرِ،قَالَسَمِعْتُجَابِرًاـرضىاللهعنهـيَقُولُمَاسُئِلَالنَّبِيُّصلىاللهعليهوسلمعَنْشَىْءٍقَطُّفَقَالَلاَ.
Tarjuma: “Hazrat Jabir Bin Abdullah رضياللهعنه Bayan Karte Hai K Kabhi Aisa Nahi Hua K Rasul ALLAH ﷺ Se Kisi Chiz Ka Sawal Kiya Gaya Ho Aur Apne “Nahi” Farmaya Ho”
Subhan ALLAH
Hadees # 10
Sahi Muslim Kitab Al Jihad Jild 2 Safa 94 Hadees 1765,English Book 32 Hadith 72,Book 19 Hadith 4363
حَدَّثَنَاقُتَيْبَةُبْنُسَعِيدٍ،حَدَّثَنَالَيْثٌ،عَنْسَعِيدِبْنِأَبِيسَعِيدٍ،عَنْأَبِيهِ،عَنْأَبِي،هُرَيْرَةَأَنَّهُقَالَبَيْنَانَحْنُفِيالْمَسْجِدِإِذْخَرَجَإِلَيْنَارَسُولُاللَّهِصلىاللهعليهوسلمفَقَالَ"انْطَلِقُواإِلَىيَهُودَ".فَخَرَجْنَامَعَهُحَتَّىجِئْنَاهُمْفَقَامَرَسُولُاللَّهِصلىاللهعليهوسلمفَنَادَاهُمْفَقَالَ"يَامَعْشَرَيَهُودَأَسْلِمُواتَسْلَمُوا".فَقَالُواقَدْبَلَّغْتَيَاأَبَاالْقَاسِمِ.فَقَالَلَهُمْرَسُولُاللَّهِصلىاللهعليهوسلم"ذَلِكَأُرِيدُأَسْلِمُواتَسْلَمُوا".فَقَالُواقَدْبَلَّغْتَيَاأَبَاالْقَاسِمِ.فَقَالَلَهُمْرَسُولُاللَّهِصلىاللهعليهوسلم"ذَلِكَأُرِيدُ".فَقَالَلَهُمُالثَّالِثَةَفَقَالَ"اعْلَمُواأَنَّمَاالأَرْضُلِلَّهِوَرَسُولِهِوَأَنِّيأُرِيدُأَنْأُجْلِيَكُمْمِنْهَذِهِالأَرْضِفَمَنْوَجَدَمِنْكُمْبِمَالِهِشَيْئًافَلْيَبِعْهُوَإِلاَّفَاعْلَمُواأَنَّالأَرْضَلِلَّهِوَرَسُولِهِ".
Tarjuma Mukhtasar: “Tamam Zameen ALLAH Taala Aur Uske Rasul ﷺ Ki Hai”
Subhan ALLAH, Yaani ALLAH Taala K Hukm Se Nabi ﷺ Jisko Chahe Jo Zameen Se Chahe Dede.
Alhamdulillah,Hum Chahe Toh Issey Kahi Zyada Hadees Bayan Karsakte Hai Ikhtiyar Per Lekin Itni Kaafi Hai Haq Samajne Walo Ko.