https://www.facebook.com/ALIMAULA4/
Shaan E Mustafa (100 Sahih Ahadees)
AQAID E AHLE SUNNAT
AHADEES KI ROSHNI MEIN
(COMPLETE 100 HADEESON KE COLLETION KE SATH)
Chapters :-
2 Huzoor ﷺ Jaisa koi nahi par 15 Hadees
3 Huzoor ﷺ wisaal ke baad bhi zindah hai Par 15 Hadees
4 Ilme Gaib E Mustafa ﷺ Par 25 Hadees
5 Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana Par 6 Hadees
6 Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma Par 6 Hadees
7 Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ Par 8 Hadees
8 Bad-Mazhab Aur Gumrah Firqon Ki Pehchaan Par 5 Hadees
✔ Saari Haddesein Siyah Sittah Ke Hawalo Ke Sath
Hain Jisko Har Maqtaba E Fiqr Ke Log Maante Hain.
Chapter I
IKHTIYAR'ATE MUSTAFA ﷺ
✔Hadees No. 1
" Aqba Ibne Aamir se marawi hai ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki main Apne Houz ko is waqt Dekh raha hu, aur Mujh ko tamam Roo e Zameen ke Khazano ki Kunjiya Di Gai Hai "
✏ Sahih Bukhari ji. 1 Safa 179
✏Sahih Muslim JI. 2 safa 250
↪Is Hadees Shareef me Huzoor ﷺ ne Houze Kouser ko Apna Houz Farmaya goya aap iske Malik hai aur saari Roo e Zameen ke khazano ki kunjiya Khuda e Ta'ala ne aap ko ata farmayi hai yaani Aap dono jahan me Malik wa Mukhtar hai .
Dono Aalam ke Khazane Kar Diye Haq Ne Ataa
Do jahan ke Maaliko Mukhtar Par Lakhon Salaam
✔Hadees No. 2
" Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنه Ne Logo ko khitab karte hue farmaya ki Huzoorﷺ ko maine ye farmate hue suna hai ki Allah Ta'ala Jis se bhalai ka irada farmata hai usko deen me samajh Ataa farmata bai aur Beshaq Main Bantne Wala hu aur Allah Ta'ala Dene wala"
👉Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghatate, unhone is Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai ki Huzoor ﷺ sirf Ilm Bantte hai aur Kuch Nahi. To Aise logo se ye Maloom kiya jaye ki kya Woh ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat Rakhta hai aur kisi par nahi. Kyunki is Hadees me Huzoor ﷺ Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala.ko bhi Maaz'Allah Sirf Ilm dene Wala Kahna padega .
MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN.
✔Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata hai is sab ke taqseem karne wale ﷺ hai aur aap Ata-E-Ilahi ka waseela hai .↪Bukhari shareef hi me dusri jagah isi mafhoom wali ek hadees is tarah marwi hai Rasoolullahﷺ ne irshad farmaya , "Main bantne wala hu , Khazanchi Hu aur Allah ta'ala Ataa Farmane Wala hai "
✏ Bukhari Jild 1 safa 439
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat-ti Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah ﷺ ki
Hazrate Abu Moosa Ash'ari رضي الله عنه se Riwayat hai ki Abu Talib Maldaar Quraish ke Humraah mulqe Shaam ki taraf chale Nabi-E-Kareem ﷺ bhi Aap ke sath the . Jab raahib ke paas Pahoche to Abu Talib Utare aur logo ne bhi Apne Kajawe Khol Diye . Rahib unki taraf Aaya aur Halanki Isse pahle wo log is Raste Se guzarte the lekin wo Inke Paas Nahi aata tha aur Na Inki taraf Mutawajjeh Hota tha .Rawi kahte hai ki log Abhi kajawe Khol hi rahe the ki Inke Darmiyan chalne Laga yahan tak ki Rasoolullah ﷺ ke kareeb aaya aur Huzoor ﷺ ka daste Mubarak Pakad kar kahne laga ki Ye Saari Kaynaat ke Sardar hai . Ye Rabbul Aalameen ke Rasool Hai Inko Khuda-E-Ta'ala ne saari Makhlooq ke liye Rahmat banaya hai. Rausaa e Quraish ne pucha Tumne ye Baate kaise jaani woh bola Jab tum Is Ghaati se Samne Aa Rahe The to Maine Dekha Ki Har Ped Aur Patthar Inko Sajdah Kar Raha tha .(▶Kajawe = oont ke pith pe lakdi ke aisa bana huwa hissa hota hai jis pe sawar aasani se baith jaye use kajawa kahte hain )
✏ Tirmizi Jild 2 Safa 202
✏ Mishqaat Safa 540.
Suraj Ulte Panv Palte Chand Ishare Se Ho chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah ﷺKi
✔ Hadees No. 4
" Hazrate Ali رضي الله عنه Se Marwi hai ki Main Makke Me Huzoor ﷺ ke humraah tha to Hum aiteraf Shahar ki taraf Nikle to Maine Dekha ki jo darakht aur pahad Huzoorﷺ ke saamne aata hai wo kahta ( Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasoolullah ﷺ , Aye Allah Ke Rasool Aap par Salaam ho )
✏ Tirmizi Jild 2 Safa 203
↪Is Hadees Se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ Saari kaynat ke Sardar wa maliko mukhtar hai yahan Tak ki bejaan makhlooq Patthar aur ped wagairah Aap ko Mante pahchante aur salaam karte hai Kyun ki Sab Par Aap ki Baadshahat hai ..
Sarwar Kahu ke Maliko Moula Kahu Tujhe
Baage Khaleel ka Gule Zeba Kahu Tujhe
✔ Hadees No. 5
" Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه Farmate Hai ki Maine Rasoolullah ﷺ ki khidmat me Arz kiya ki main Aap se Bahot Saari Hadeese Sunta hu lekin Bhool jata hu Aap ﷺ Ne Farmaya Apni Chadar Failao .. Maine Apni Chadar Bicha di .Aap ﷺ ne dono hatho se Lap Bana Kar Chadar me kuch Daal diya Aur Farmaya is ko lapet lo. Maine Chadar ko lapet liya aur iske baad Main kabhi Koi baat nahi bhoola "
✏ Bukhari Jild 1 Safa 22
Is Hadees Ko Dekhiye Kaise Roohani Ikhtiyarat hai . Aur Kaisi Khudada Qudrat(khuda ki janib se atayi qudrat) hai. Huzoor ﷺ khali chadar me ba zahir khali lap daalte hai aur kaisi be-misaal yaad-dasht ataa kar Farmate hai Aur Huzoor ﷺ ki ataa wa bakhshish ka nateeja hai ki Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se jitni Ahadees Riwayat ki Gai Hai wo aur kisi Sahabi se nahi.
✔Hadees No. 6
Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se Marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya Ki Main Qayamat ke din saare Insano ka Sardar Rahunga.
✏ Bukhari Safa 470
✏ Muslim Jild 1 Safa 111
Is Hadees Shareef Se maloom hua ki Huzoor ﷺ ki Hukumat wa Badshahat wa Sardari aur Saltanat sirf duniya me hi nahi Balki Qayamat ke din bhi Aap Hi ka sikka Chalega Isiliye Aap ko Sarkare Do Aalam Aur Sarware Kounain kaha jata hai .
Mere Raza Ne Khatme Sukhan Ispe Kar diya
Khaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahu Tujhe
✔Hadees No. 7
"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Baroze Qayamat sab se pehle Main Niklunga jab Log wafd(chota ka qafla) banege to Main Aage rahunga. Jab Log Khamosh honge to Main hi khitaab karunga . Jab log roke jayenge to Main hi Shafa'at Karunga . Jab log Mayoos honge to Main unhe khushkhabari Sunaunga. Izzat dena mere Ikhtiyar me hoga aur khair ki Saari kunjiya mere hath me hongi .
Mishkat Safa 514
➡ Is Hadees me Huzoor ﷺ ka ye farmana ki Izzat wa karamat ki Saari kunjiya mere hath me hongi ye bata raha hai ki Baroze Qayamat Mukhtare kul honge aur Aap ko Saare Ikhtiyarat Hasil honge kyun ki Kunjiya Mukhtaar ke paas hoti hai majbur ke paas nahi .
✔Hadees No. 8
Hazrate Abdullah Ibne Ateeq farmate رضي الله عنه hai ki fir maine Rasoolullah ﷺ se ( Abu Raafe Yahudi ko Qatl Karne aur pair Tutne ka kissa bayan kiya ) to Huzoor ﷺ ne irshad Farmaya apna toota hua pair bichao to Huzoor ﷺ ne is par Hath fera to wo jaisa pahle tha bilkul waisa hi ho gaya jaise usme kabhi kuch kami aayi hi na thi .
Bukhari Jild 2 Safa 577
Miskat safa 532
Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De
Nabi Mukhtare kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Kar De
✔Hadees No. 9
▶Hazrate Jaabir رضي الله عنه Farmate hai ki mere walid fout ho gaye aur Unke upar qarz tha to main ne Nabi-e-Kareem ﷺ ki Khidmat me Hazir hokar Arz ki mere Walid ne qarza choda hai aur mere paas dene ke liye Siwa Khujuron ke darakhton ke kuch nahi hai Aur inki paidawaar se kayi saal me qarz pura na hoga. Aap mere sath tashreef le chale take qarz khwah sakhti wa bad goi se pesh na aaye. Fir Huzoor ﷺ Khujuron ke dher ke ird gird phire aur Dua ki aur Dusre dher ke ird gird phire phir aap Ek dher par baith gaye aur farmaya qarz khwahon ko naap kar dete jao Yahan tak ki sab qarz khwahon ka sara qarz ada ho gaya aur utni hi khujure bach bhi gai .
Bukhari sharif safa 506,580,322
✔Hadees No. 10
▶Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Farmate hain Ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki main Baroze Qayamat sab Insano ka Sardar Rahunga aur sabse awwal Qabre Anwar se Bahar tashreef launga aur sab se pehle Shafa'at farmane wala aur Pehla Shafa'at qubool kiya hua main hi hu
Tirmiji Jild 2 abwabul manakib safa 202
Ibne maaja Baab Zikrush-shafa'at Safa 329
➡Is Hadees Ki Sharah me Imame Azal Nauwi Farmate hai Huzoor ﷺ Duniya wa Aakhirat dono jahan me Saare Insano ke sardar hai Lekin Hadees me sirf Qayamat ka zikr isliye hai ki Qayamat ke din Aap ki Sardari wa Badshahat sab par zaahir farma di jayegi aur koi Inkari na rahega...
Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad E Mehshar Ka
Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane Waali Hai
✔Hadees No. 11
"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Sayyeda Zainab se Nikah ke Nausha the to meri Walida Umme Sulaim ne Khajoor , Ghee aur Paneer ka Halwa banaya aur Ek Bartan me Kar ke Mujhse kaha ki Anas isko Huzoor ﷺ ki khidmat me le jao aur Arz karo Yaa Rasoolullah ﷺ ye meri maa ne aap ki khidmat me thoda sa Hadiya bheja hai aur Unhone Aap ko Salam arz kiya hai chunanche main gaya aur maine ye arz ki . Huzoor ﷺ ne irshad Farmaya ise Rakh do aur jao . Hamare paas fala(n) fala(n) ko Bula lao, JIska Huzoor ﷺ ne naam liya aur unhe bhi jo tumko mile yahan tak ki jab main wapas lauta to Huzoor ﷺ ka ghar bhar chuka tha. Hazrat e Anas رضي الله عنه sa pucha gaya ki kitni taadad thi to unhone farmaya takreeban 300 log the . Fir maine Huzoor ﷺ ko dekha Aap ne Halwe par Dast E Paak Rakh kar kuch padha jo Allah Ta'ala Ne chaha , Fir Huzoor ﷺ Das-Das ko bulane lage wo isme se khane lage. Huzoor ﷺ Inse farmate the Allah Ta'ala ka naam lo aur har shaksh apne samne se khaye. Jab sab ne kha liya to Huzoor ﷺ ne mujhse farmaya Aye Anas isko uthao . Jab maine dekha to Mujhko maloom nahi ki jab Rakha tha tab Zyada tha ya jab uthaya tab zyada tha..
Bukhari Jild 2 Kitabun Nikah
Mishkat Baab fil Mo'jezaat Safa 538
Muslim Jild 1 Safa 461
➡ Is Hadees Shareef me Huzoor ﷺ ne Halwe ko Samne Rakh kar Kuch padha aur zaahir si baat hai Allah Ta'ala ki Hamd'o Sana hi Padhi hogi. Aur Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Wale Bhi To Khana Samne Rakhkar ALLAH PAAK Ka kalam Padhte Hain, Fir Ye Wahabi Ahl E Khabees Bad Aqeeda Kyu Humpe Bid'at Aur Shirk Ka Fatwa Lagate Hain ???
➡ Aur Is Hadith Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ki Khane Par kalaam, Yani Fatiha Padhne Se Usme Barkat Ho Jati Hai
Khaate Hai Sunni Halwa Sarkaar Ke Karam Se
Dekho to Najdiyo(n) ko Kawwo pe Pyaar Aaye..
✔Hadees No. 12
Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه Farmate hai Fir Huzoor ﷺ ne jab mere dil me Paida hone wale waswase Jaan liye to mere Seene par Daste Aqdas maara jis se main paseena paseena ho gaya aur haalat ye thi goya ko Main Khuda E Ta'ala ko dekh raha hu fir wo kaifiyat jaeel ho gai .
Muslim Jild 1 Safa 273
➡ Kya Shaane Ikhtiyar hai Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه ke dil me Quraane Kareem ki chand qiraat ke mut'alliq waswasa paida ho gaya tha. Huzoor ﷺ ne Dil ke is waswase ko fauran jaan liya aur apni Khudadaad Qudrat se seene par Daste Aqdas maar kar Jalwa e Ilahi Dikha Diya aur Shuquq wa waswase ki daldal se nikal kar Imaan se Dil bhar Diya aur wo kaifiyat Jaeel farma di .
✔Hadees No. 13
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha Agar main chahu to mere Sath sone ke pahaad chala kare.
Mishkat Safa 521
✔Hadees No. 14
Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Hazrate Jibrail علیہ السلام Huzoor ﷺ ki Khidmat me Hazir hue aur Aap ﷺ gamgeen the Ahle Makkah ki izaa rasaani ki wajah se Aap ka jism lahu luhaan tha. Hazrate Jibrail علیہ السلام ne kaha Ya Rasoolullah ﷺ kya Aap chahte hai ki Aap ko ek Nishani Dikhau ? Farmaya. Haan unhone Aap ﷺ ke piche ek ped ki taraf dekha aur Arz kiya is ko bulaiye . Huzoor ﷺ ne Bulaya wo ped aaya aur Aap ﷺ ki Khidmat me khada ho gaya. Arz Kiya is Ko huqm dijiye ki laut jaye Aap ﷺne Huqm diya wo Laut gaya . Huzoor ﷺ ne Farmaya mujhe kaafi hai.
Mishkat Baabul Mojezaat Safa 541
➡ Yaani Hazrat Jibrail علیہ السلام ne Huzoor ﷺ ko tawajjoh dilayi ki aap malool khatir na ho Aap ﷺ ko Allah Ta'ala ne Qaynaate Aalam me mutasarrif wa mukhtar banaya hai. Darakht bhi Aap ﷺ ke ishare par chalte hai .
Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Kar De
Zamee(n) Ko Aasmaa(n) Kar De Surayya ko Saraa Kar De
✔Hadees No. 15
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai Ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki main so raha tha ki Zameen ke khazano ki kunjiya meri Khidmat me pesh ki gai aur mere hath me de di gai.
Muslim Kitabul Masajid. Jild 1 Safa 199
✔Hadees No. 16
Hazrate Anas رضي الله عنه Farmate hai ki Huzoor ﷺ Makame Joura'a me the ki Aapﷺ ki khidmat me ek Bartan me paani laya gaya to Aap ﷺ ne Apna Hath Bartan me Daal diya to Aap ﷺ ki Ungliyo ke Darmiyan se Paani foot pada yahan tak ki puri qaum ne is se wuzu kar liye . Hazrate Anas رضي الله عنه se katada ne pucha ki Aap kitne log the To unhone farmaya 300 ya 300 ke kareeb .
Bukhari Jild 1 Safa 504
Muslim Jild 2 safa 245
Yaa Rab Sa'at Me Dhul Jaaye Siyaah kaaro Ke Jurm
Josh Par Aa Jaye Ab Rahemat Rasoolullah ﷺ Ki
✔Hadees No. 17
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki Hum Huzoor ﷺ ke sath ek safar me the ki ek dehaati saamne aaya..to Jab wo kareeb hua to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki kya Tu gawahi deta hai ki Allah Ta'ala ke alawa koi maabud nahi wo tanha hai uska koi shareeq nahi aur Muhammed ﷺ uske bande wa Rasool hai . wo bola Aap jo keh rahe hai iski gawahi kaun deta hai ? Farmaya wo kaantedaar darakht...aur us darakht ko Huzoor ﷺ ne bulaya wo jungle ke kinare par tha. Zameen chirta hua khidmat me haazir ho gaya . Huzoor ﷺ ne is darakht se 3 baar gawahi li. isne teeno baar gawahi di aur fir apni jhaadi ki taraf laut gaya .
Mishkaat babaul moujazaat safa 541
✔ Hadees No. 18
Makke walo ne Rasoolullah ﷺ se kaha Aap koi mojeza dikhaye to Huzoor ﷺ ne inhe chand ke do tukde kar ke dikhaye yahan tak ki unhone Hira pahad ko chand ke do tukdo ke darmiyan dekha.
Bukhari Jild 1 Safa 546
➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne apne mehboob ko aasmani duniya par tasarruf farmane ka ikhtiyar diya hai . Chand ke tukde karne se zaahir hai ki Aap ﷺ ke ikhtiyarat aur Khudadaad qudrat tasarrufat ka andaza lagana mushkil hai aur waqayi Aap mukhtare kul hai.
Chaand Ke Tukde Kiye Pedo(n) Ne Sajde Kiye
Suraj Palat Aa Gaya Ye Mojaze Aap Ke
Saari Duniya Par Aaqa ﷺ Qabza Tumhara
✔Hadees No. 19
Hazrate Jaabir Farmate hai ki Hudaibiya ke Roz log pyaas se dochar hue aur Rasoolullahﷺ ke paas ek bartan tha jisse wuzu farma rahe the. Jab log Huzoor ﷺ ki khidmat me haazir hue to Aap ﷺ ne pucha kya maamla hai ? Logo ne arz ki Yaa Rasoolullahﷺ hamare paas wuzu karne aur pine ke liye Paani nahi hai . bas yahi tha jo Huzoorﷺ ki khidmat me pesh kar diya gaya . Raawi ka bayaan hai ki Aap ﷺ ne bartan me Apna Dast e Mubarak daal diye to Aap ﷺ ki Ungliyon se Chashme ki tarah Paani fut nikla to humne piya aur wuzu kiya. Raawi kehta hai maine Hazrate Jaabir se pucha ki tum Log kitne the to unhone farmaya agar 100 Hazaar bhi hote to wo paani kaafi ho jata lekin hum 1500 the.
Bukhari Jild 2 Safa 598
Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah
✔Hadees No. 20
Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai .
Bukhari Jild 2 Safa 833
➡ Yani Huzoor ﷺ ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi .
▶ Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ﷺ sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hai ...
Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi Mafar Maqar
Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi to wahan nahi.
Chapter II
Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi
Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi
✔ Hadees No.1
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ?? Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai
Bukhari Jild 1 Safa 263
Muslim Jild 1 Safa 351
Mishkaat Safa 175
➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai
Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki Huzoor ﷺ ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu.
Hazrate Ayesha رضي الله عنها Se marvi hadees me hai Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai.
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ki riwayat me hai Huzoor ﷺ ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu.
Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah ﷺ
Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi
Apni Har Khoobi Me Tanha Aap hai
✔ Hadees No.2
Hazrate Ali رضي الله عنه se marvi hai ki maine Rasoolullah ﷺ ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad
Tirmizi jild 2 safa 205
Mishkaat safa 517
✔ Hadees No. 3
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ﷺ khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap ﷺ ke liye Mimbar banaya gaya to Aap ﷺ us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor ﷺ ki judaai me) Oontni ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke Huzoor ﷺ ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya.
Bukhari Jild 1 Safa 504
✔Hadees No. 4
Hazrate Ayesha رضي الله عنها Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota.
Bukhari Jild 1 Safa 504
Mustafa E Zaate Yakta Aap Hai
Yak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai
✔ Hadees No. 5
Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush hote to Aap ﷺ ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap ﷺ ki khushi ko jaaan jate.
Bukhari Jild 1 safa 502
✔ Hadees No. 6
Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah ﷺ ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah
Bukhari Jild 1 Safa 502
➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi Sadqa Hai .
Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil Hai
Jab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga
✔ Hadees No.7
Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ se zyada khoobsurat kisi Cheez Ko naa dekha
Bukhari Jild 1 safa 502
✔Hadees No. 8
Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi Cheez Rasoolullah ﷺ se zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai
Tirmiji Jild 1 Safa 205
Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya hoga
Har Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya Hoga
✔ Hadees No. 9
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Kab se Nabi Hai ? Rasoolullah ﷺ Farmaya Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi .
Tirmiji Jild 2 Safa 201
Mishkaat Safa 513
▶Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai ..
Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli Kiran
Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain
✔ Hadees No. 10
Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem ﷺ unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor ﷺ ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor ﷺ ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor ﷺ ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho .
Mishkaat Safa 517
➡ Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa ﷺ ki Anokhi Shaan hai ki Aap ﷺ ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap ﷺ Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi
Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka Paseena
Maage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool
✔ Hadees No. 11
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena Motiyo(n) ki tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor ﷺ ki tarah mahak aur khushboo na paayi.
Muslim Jild 2 Safa 257
Mishkat Safa 516
✔Hadees No. 12
Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor ﷺ ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah ﷺ ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho .
Mishkat Safa 517
✔ Hadees No. 13
Hazrate Jaabir Bin Samurah رضي الله عنه se Marvi Hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya ki beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha
Muslim Jild 2 Safa 245
Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs Jahan Nahin
Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke Dhuwaan Nahin
✔ Hadees No. 14
Hazrate Abuzar Gifaari رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se arz kiya ki Yaa Rasoolullah ﷺ aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor ﷺ ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge.
Mishkat Safa 515
➡ Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ﷺ ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap ﷺ Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap ﷺ ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ﷺ ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai
➡ Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai
Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar Hai
Jo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai
✔ Hadees No.15
Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah ﷺ ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ﷺ ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor ﷺ ne farmaya kya Allah Ta'ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do
Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669
➡ Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor ﷺ ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor ﷺ ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi.
➡ Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao .
Surah Anfaal Para 9 Ruku 17 Isme Allah Ta'ala ne Apne Naam ke sath Huzoor ﷺ ka Naam Milaya hai
Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a Hai
Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
Chapter III
Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai
Huzoor ﷺ Wisaal Ke Baad Bhi Zinda Hai
✔ Hadees No.1
Hazrate Abu Darda رضي الله عنه Kahte hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ke Jumma ke din mere upar Durood Shareef padha karo...ye haazri ka din hai is din Farishte Haazir hote hai aur jab koi mere upar Durood padhta hai to uska Durood mere upar pesh hote rehta hai jab tak wo padhta rehta hai . Hazrate Abu Darda رضي الله عنه ne Arz kiya Aap ke duniya se rukhsat hone ke baad bhi to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya beshak Allah Ta'ala ne zameen ke liye Haraam kar diya hai ki wo Ambiya Ke Jism ko khaye...Allah Ke Nabi Zinda Rehte hai aur unhe Rizq Diya jata hai .
Ibne Majah Safa 119
Mishkat Safa 121
➡ Ye Hadeese Pak Is aqeede ke liye Bilkul Sahih wa saaf hai ki Rasoolullah ﷺ ki hayate zaahiri aur baad wisaal ke kisi kism ka koi farq nahi hai
Momino Padhte Raho Tum Apne Aaqa par Durood
Hai Farishto (n) Ka Wazeefa Assalato Wassalam
✔Hadees No.2
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها Se marvi hai ki main is hujre jis me Rasoolullahﷺ ki Qabre Anwar hai yun hi nange sar aati jati thi ki ek qabr mere Shauhar ki hai Yani Rasoolullah ﷺ aur dusri qabr mere walid ki hai Yaani Hazrate Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه ki aur jab se isme Hazrate Umar رضي الله عنه dafn kiye gaye hai to main jab kabhi bhi main aati hu to sharm wa haya ki wajah se chadar khoob lapet kar aati hu.
Mishkat Safa 154
➡ Is Hadees Shareef se khoob wazeh ho gaya ki Hazrte Ayesha Siddiqua رضي الله عنها ka Aqeeda yahi tha ki Khuda e Ta'ala ke Makhsus bande baad wisal apni qabro se aise dekh rahe hai jaise zindagi me mulahiza farmate the warna Rasoolullah ﷺ aur Hazrate Abu Bakr رضي الله عنها ki Qabre Anwar par Shohar aur walid hone ki bina par be pardah aana aur Hazrate Umar رضي الله عنه ke wahan dafn hone ke baad parde ke sath aane ka aur kya matlab hai ??
Tu Zinda Hai Wallah,Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme Aalam Se Chhup Jaane Wale
✔ Hadees No.3
Hazrate Abdullah Bin Umar رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya jisne Hajj kiya Aur Meri Qabr ki ziyarat ki to Wo aisa Hi hai jaise Usne Mujhko Duniyawi zindagi me dekha
Mishkat Safa 241
Hogi Shafa'at Uski Jisne Madeena Aa kar
Haan Ek Nazar Bhi Dekha Mere Nabi Ka Rouza
✔ Hadees No.4
Hazrate Abuzar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Meraaj ki shab aasmano me Hazrate Aadam , Hazrate Idrees , Hazrate Ibrahim , Hazrate Moosa , Hazrate Isaa علیہ السلام se Mulakat farmayi aur ye bhi Zikr kiya ke Unhone Hazrate Aadamعلیہ السلام se pahle Aasman Par aur Ibraheem علیہ السلام ko chhate(6th) Aasman par paya to Huzoor ﷺ jab Jibraeel علیہ السلام ke sath Hazrate Idrees علیہ السلام ke paas guzre to Unhone Huzoor ﷺ se farmaya ki mubarak ho safare Meraaj inko jo swaaleh Nabi hai Aur Swaaleh Bhai Hai Fir Huzoor ﷺ Hazrate Moosa علیہ السلام ke paas se guzre to Hazrate Moosa علیہ السلام ne bhi isi tarah mubarak baad di Huzoor ﷺ ne pucha ye koun hai ? to Hazrate Jibraeel علیہ السلا ne arz kiya Huzoor ﷺ ye Moosa علیہ السلام Hai . Rasoolullah ﷺ ne farmaya fir main Hazrate Isaa علیہ السلام ke paas se guzra to unhone bhi isi tarah mubarak baad di Maine kaha ye koun hai ? Bataya gaya ye Isaa علیہ السلام Hai Bete Mariyam ke , Fir main Hazrate Ibraheem علیہ السلام ke paas se guzra to unhone kaha mubarak baadi hai inke liye jo swaaleh Nabi aur Swaaleh Farzand hai maine kaha koun hai bataya gaya Ye Hazrate Ibraheem علیہ السلام hai
Muslim Jild 1 Safa 93
Mishkat Safa 529
Bukhari Jild 1 Safa 471
➡ Is Hadees Shareef ke ye alfaaz Muslim Shareef se naql kiye gaye hai iske alawa is mafhoom ki Hadees yani shabe meraaj Huzoor ﷺ ka Ambiya e kiraam se mulakat dua wa salaam aur baatcheet aur mubarakbaadiya Bukhari aur Muslim Shareef Balqi takreeban sabhi ahadees ki kitabo me mukhtalif muqamaat par mukhtalif alfaz se marvi hai jisse khoob achi tarah sabit hota hai ki Ambiya e Kiraam baade wisaal bhi Apne jismo ke sath Zindah hai aur Zameeno Aasmano me jahan chahte hai rahte hai aate aur jaate hai Balqi is Hadees ke Aakhiri kalamat jo ikhtiyar ke peshe nazar Naql Nahi kiye inme Ye bhi hai ke Hazrate Moosa علیہ السلام ke kehne par Baar Baar Huzoor ﷺ ne Rab Ta'ala se Namaz me aasani chahi aur wo 50 se 5 waqt ki hui . In Ahadees ko padhkar ye kehna ki Ambiya wa Awliya Maaz'Allah mar kar fanah ho gaye ya Bilkul Mit gaye ye Imaan walo Ki Boli Hargiz Nahi hai
Mile The Raah Me Nau Baar Kis LIye Moosa
Ye Deed e Haq Ka Bahana Huzoor Jante Hai
✔ Hadees No.5
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Huzoor ﷺ ke sahaba me se ek sahabi ne ek jagah qabr par khaima laga liya aur unhe khabar na thi ki yahan qabr hai to unhe malum hua ki ye kisi ki qabr hai aur sahibe qabr Surah Mulq ki tilawat kar rahe hai yahan tak ki Unhone puri Surah Tilawat ki ye sahabi Huzoor ﷺ ki Khidat me haazir huye aur Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ maine bhool se ek qabr par khaima lagaya to Maine dekha ki qabr me jo sahab hai wo surah Mulq tilawat kar rahe hai yahan tak unhone puri surah padhi
Tirmiji Jild 2 Safa 112
Mishkat safa 187
➡ Is Hadees Shareef Se malum hua ki Allah Ke Makhsus Bande apni Qabro me Hayaat hai aur wo Apni Qabro me Khuda E Ta'ala ki Ibadat aur Quraane Azeem ki tilawat bhi kar lete hai Yani Inki zindagi Duniya ki tarah hai
Zamee(n) Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota
Muhammed Ke Gulamo Ka Kafan Maila Nahi Hota
✔Hadees No.6
Hazrate Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ arzak ghaati se guzare Farmaya ye kounsi ghaati hai arz kiya gaya Arzak Farmaya goya ke Main Hazrate Moosa عليه السلام ko dekh raha hu jo pahadi se niche utar rahe hai aur buland Awaaz se Izzo Inkesari ke sath Allah Ta'ala ke liye Hajj ki talbiyah padh rahe hai Fir Huzoor ﷺ Harsha pahadi par tashreef laye farmaya ye kounsa pahadi ka raasta hai arz kiya gaya iska Naam Harsha hai to Huzoor ﷺ ne farmaya ke main Mataa ke bete Hazrate Younus عليه لسلام ko ek purgosht surkh Oontni par dekh raha hu wo unka Jubbah pehne hue hai unki oontni ki muhaar khuzoor ki chhaal se bani hui hai aur wo Hajj ke liye talbiyah padh rahe hai
Muslim Jild 1 safa 94
➡ Yaani Jin Ambiya e kiraam ke wisaal ko kayi-kayi Hazaar Saal guzar chuke the inko Huzoor ﷺ ne Hajj ke liye Talbiyah padhte hue yani Hajj karte hue Mulahija Farmaya (Aankh Se dekha
Ambiya Ko Bhi Ajal Aani hai
Magar aisi ki Faqat Aani Hai
Phir Usi Aan Ke Baad Unki Hayaat
Misle Sabiq Wahi Jismani Hai
Ye Hai Hayye Abdi Inko Raza
Sidqe Wada Ki Qaza Mani hai
✔ Hadees No.7
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ke jab Uhad ka maarka darpesh aaya to mere walid ne raat ko mujhe bulaya aur farmaya ki lagta hai ki subah ko jung me shaheed hone wale as'haab me pehla main hunga aur Huzoor ﷺ ko chod kar baaqi logo me mere nazdeek sabse zyada mehboob tum ho Mere upar kuch karz hai isko adaa karna aur apni Behno ke sath nek sulooq karna Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ kehte hai ki jab subah jung hui to sabse pehle mere waalid shaheed hue maine unhe ek dusre ke sath qabr me dafn kar diya fir mujhko naa gawar maloom hua ki mere waalid kisi aur ke sath qabr me dafn ho to maine 6 maah ke baad qabr khod kar unhe nikala to wo aise nikle jaise aaj aur abhi-abhi dafn kiye gaye ho bas zara kaan mut'assir tha
Bukhari Jild 1 Safa 180
Is Hadees se ba-khoob maloom hua ke Hazrate Jaabir رضی اللہ عنہ ke waalid Abdullah 6 Maah guzarne ke baad bhi qabr me sahi wa saalim taro taza the. Lihaza ye kehna durust hai ki Khuda ke khaas bande Mout ke baad bhi zindah hai
Bukhari Jild 1 safa 178
Aashiqe Nabi Hu Main Waarise Ali Hu Main
Maila Hona Payega Hashr Tak Kafan Mera
Ke Main Gulame Khwaja hu Hind Hai Watan Mera 🌴
✔ Hadees No.8
Hazrate Anas رضی اللہ عنہ riwayat karte hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Insaan jab qabr me dafn kar diya jata hai aur log moodne lagte hai to wo in logo ke jooto ki aahat sunta hai
Bukhari Jild 1 safa 178
✔ Hadees No. 9
Hazrate Abu Saeed Khudri رضی اللہ عنہ se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki jab janaza taiyaar ho jata hai aur log use kaandhe par uthate hai agar wo acha hai to kehta hai mujhe jald le chalo agar bura hai to ghar walo se kehta hai mujhko tum kaha liye ja rahe ho. Iski aawaz ko siwa insano ke sab sunte hai agar insaan sun le to behosh ho jaye
Bukhari Jild 1 Safa 176
Main Qabr Andheri Me Ghabraunga Jab Tanha
Imdad Meri Karne Aa Jana Mere Aaqa
Roshan Meri Turbat Ko Aye Noore Khuda Karna
Jab Waqte Naza'a Aaye Deedar Ataa Karna
✔Hadees No.10
Ibne Shahab ne kaha ki ye hai Rasoolullah ﷺ ke Gazwaat (ladaiyya) aur fir Gazwa e Badar ka zikr karte hue bataya ko Badar mein maare gaye kaafiro ki laasho se khitaab karte hue Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya kya tumne wo paa liya jiska tumhare Rab ne tumse saccha waada farmaya tha . Logo ne kaha Yaa Rasoolullah ﷺ kya Aap murdo se kalaam kar rahe hai ? Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya jo kuch main keh raha hu ye tumse zyada meri baat sun rahe hai
Bukhari Jild 2 safa 573
✔Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se riwayat hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se pucha ke jab hum Qabro ki ziyarat kare to kya padhe ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya padho aye Momino aur Musalamano ke ghar walo tum par salaam ho Allah Ta'ala hamare pichle aur pehle walo par Rahem farmaye hum bhi ان شاء الله tumse aakar milne wale hai
Mishkat Jild 1 safa 314
Qabr me Lahrayenge Jis Waqt Jalwe Noor Ke
Hum Padhenge Roohe Poor Anwaar Par Lakhon Salaam
✔Hadees No. 12
Hazrate Bureeda se marvi hai ki jab log qabro ki ziyarat ko jaate to Rasoolullah ﷺ unhe ye alfaz sikha dete
▶ Aye momino aur musalamano ke ghar walo tum par salamati ho In sha Allah hum bhi tum se zaroor milne wale hai Hum Allah Ta'ala se apne aur tumhare liye Aakhirat me azaab se salamati mangte hai
▶ In Ahadees Ko padh kar aap ko lagega ki Huzoor ﷺ ne qabro ki ziyarat ke waqt jo dua taleem farmayi hai uska tareeqa aisa hai jaise zindo se baat chit aur dua wa salaam karte hai aur manna padega ke marne ke baad insaan ek khaas qism ki zindagi ke sath zinda hai
Kaash Mehshar Mein Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unko Shaukat Pe Lakhon Salaam
✔ Hadees No. 13
Hazrate Saeed Bin Abdul Azeez se marvi hai ki ayyame harrah me 3 din Masjide Nabawi shareef mein na Azaan hui aur na takbeer Hazrat Saeed masjid mein hi rahe aur unhe Namaz ke waqt ka pata ek gungunahat ki aawaz se chalta tha jo Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar se har Namaz ke waqt aati thi
Mishkat Babul karamat safa 545
▶ Ye Waqiya harrah 63 hijri ka wo bhayanak haadisah hai ki jab Yazeed paleet ne Muslim Bin Aqba ko ek lashkar dekar Madeene shareef par chadhai karayi aur shahare Rasoolﷺ ko barbaad kiya beshumar mard wa aurat qatl kiye gaye aabru rezi bhi ki gai masjide Nabawi Shareef mein musalsal 3 din tak Azaan wa Jamaat na hui Mash'hoor tabayi Hazrate Saeed deewano ki tarah Masjid Shareef ke ek kone me rehte the Yazeedi fouz ne unhe pagal samajh kar chhor diya tha ye Azaan wa Namaz ke Waqt Rasoolullahﷺ ki qabre Anwar se gungunahat ki aawaz sunte aur usi par Namaz ada Karte
✔ Hadees No.14
Hazrate Ka'ab se riwayat hai ki Har din 70 hazaar farishte utarte hai aur wo Rasoolullahﷺ ki qabre Anwar ko gher lete hai...apne par biccha dete hai aur Rasoolullah ﷺpar Durood shareef padhte rehte hai yahan tak ke jab shaam ho jati hai to wo chadh jaate hai aur inki tarah itne hi farishte aur utarte hai wo bhi isi tarah karte hai yahan tak ke Huzoor ﷺ jab Qabre Anwar se bahar tashreef layenge to 70 Hazaar farishto ke Zurmooth me jalwa farmayenge aur wo Farishte Aap ﷺ ko pahochayenge
Mishkat Babul Karamat safa 546
▶ Is Hadees ke peshe nazar Yaqeenan Rasoolullah ﷺ Qabre Anwar me Ba-kayeda baa hayaat hai isiliye to ye sab ehtamam farmaya jata hai warna jahan mitti ka dher ho waha farishte kyun aayenge
✔ Hadees No.15
Jab Aap ﷺ ke shahzade Hazrate Ibraheem Ka wisaal hua to Huzoor ﷺ ne farmaya unke liye jannat mein ek doodh pilane wali muqarrar kar di gayi hai
Mishkat Safa 568
▶ Bachpan me intiqal karne ki wajah se jinhe Jannat me Doodh pilaya jata hai Unhe murdah kehna musalman ka kaam nahi hai
▶ Tabhi to Mere Aala Hazrat Azeeemaul Barkat Ash Shah Imam Ahmed Raza Farmate hai
Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Meri Chasme Aalam Se Chhup Jane Wale
Chapter IV
Ilme Gaib e Mustafa ﷺ
Har Daur me Ahle Haq Ka ye Aqeeda raha hai ki Allah Ta'ala ne Apne Mahboob Hazrat Muhammed Mustafa ﷺ ko Gaib-da banaya aur Aap ﷺ Dhaki , Chhupi , Guzri aur aayenda qayamat tak hone wali har baat ko Jaante Hai
Hazrate Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek roz hamare darmiyan khade hue to Aap ﷺ ne makhluq ki paidaish ka ibteda se zikr farmana shuru kiya yahan tak ki Jannati Apne maqaam par pahoch gaye aur dozakhi apne maqaam par ise yaad rakha jisne yaad rakha aur bhool gaya jisne bhool gaya
Bukhari Jild 1 safa 354
Muslim Jild 2 safa 390
Haashiye mein hai " Imaam taibi ne farmaya ki is hadees se zaahir hai ki saari makhluq ke saare haalat Huzoor ﷺ ne Sahaba ko bata diye
Jo Ho Chuka Hai Jo Hoga Huzoor Jaante Hai
Teri Ataa Se Khudaya Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No.2
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ suraj dhhal jaane ke baad bahar tashreef laaye fir humko zuhar ki Namaz padhayi. Jab salaam fer diya to Aap ﷺ mimber par jalwa afroz hue aur Qayamat ka zikr Farmaya aur un bade bade umoor ka jo isse pahle hai fir farmaya agar koi mujhse jo kisi cheez ke baare me puchna chahe to puch lo Khuda Ki Kasam Tum mujhse jo puchoge main bata dunga jab tak main is jagah hu. Hazrat Anas ka bayaan hai log Zaaro kataar rone lage aur Rasoolullah ﷺ Baar baar farmate rahe jo chaho mujhse puchlo Hazrate Anas ka bayan hai ek sahab ne khade hokar pucha ki Yaa Rasoolullah ﷺ mera thikana kaha hoga Farmaya Dozakh mein fir Hazrate Abdullah Ibne Huzafa khade hue arz karne lage Yaa Rasoolullah ﷺ Mera Baap Koun hai ? Farmaya Tumhara baap huzafa hai. Raawi ka bayan hai ki fir Aapﷺ baar baar farmate hai ki mujhse pucho mujhse pucho chunache Hazrate Umarرضي الله عنه ghutno ke bal khade ho kar kahne lage
▶ Hum Allah Ke Rab Hone aur Muhammed ﷺ ke Rasool Hone par Raazi hai . Jab Hazrate Umar رضي الله عنه ne ye guzarish ki to Rasoolullah ﷺ khamosh ho gaye. Fir Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya kasam us zaat ki jiske kabze me meri jaan hai Abhi Abhi is deewar ke samne mujh par Jannat aur dozakh pesh ko gai jab ki main Namaz padh raha tha to Aaj ki tarah maine khair aur shar ko nahi dekha
Bukhari Jild 2 safa 1083
Muslim Jild 2 Safa 263
Khuda Hi Jaane Ubaid Unko Hai Pata Kya Kya
Hume Pata Hain Bas Itna Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 3
Hazrate Sayyedna Abu Huraira رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki tum dekhte ho ke mera chehra is taraf hai jab ki Khuda Ki Kasam mujh par tumhara Khushoo ( dil ki kaifiyat) aur Ruku Hargiz poshidah Nahi. Main pith ke piche se bhi dekhta hu
Bukhari Jild 1 Safa 59
✔ Hadees No. 4
Hazrate Anas Ibne Malik رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne hum ko Namaz Padhayi fir mimbar par Tashreef farma hue aur Namaz aur Ruku ka bayan kiya aur farmaya ki main tum ko piche se bhi aise dekhta hu jaise aage se
Bukhari Jild 1 Safa 59
➡ Sharah Bukhari aini mein hai ye sirf Namaz ke Sath nahu balqi Huzoor ﷺ hamesha jis tarah aage dekhte hai waisi hi piche
Munafiqon Ka Aqeeda Wo Gaib daan Nahi
Sahabiyon Ka Aqeeda Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Habsha ke baadshah Nujashi ki mout ki khabar usi din de di jis din Intiqaal hua
Bukhari Jild 1 Safa 167
➡ Habsha Madine Shareef se hazaaro meel par hai jise Aaj kal Ethopiya kahte hai waha ke baadshah Hazrat Najashi ka intiqaal hote hi Huzoor ﷺ ne Madine walo ko is ki khabar de di thi kyun ki Allah Ta'ala ne Huzoor ﷺ ko gaib ka Ilm diya hai
Khabar Bhi hai Ke Khabar Sab Ki Unhe Hai kab Se
Ke Jab Na Ab Tha Na Tab Tha Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 6
Jis waqt mulqe Shaam mein Maqaam Mutooh mein Musalamno aur isaaiyon ke darmiyan jung jaari thi Rasoolullah ﷺ Madeene Paak mein Apne Sahaba mein farma rahe the
▶ Zaid ne Alam ko uthaya to wo Shaheed ho gaye fir Jaafar ibne Abi Talib ne Alam uthaya to wo shaheed ho gaye fir jung ka jhanda Abdullah Ibne Rawaha ne utha liya to wo bhi Shaheed ho gaye Jung ka Manzar bayan karte hue Rasoolullah ﷺ ki Aankhon mein Aansuu jaari ho gaye the Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya ki ab Baghair Sardar banaye Khalid Ibne waleed ne jhanda le liya to Ab Musalmano ko fatah naseeb ho gai
Bukhari Jild 1 safa 167
▶ yeh Mutooh ka maqaam Madeene Shareef se Hazaaro meel ki doori par hai Aur Rasoole Paak ﷺ wahan hone wali Jung Ko Madeena Tayyaba mein rah kar mulahiza farma rahe hai aur Apne As-haab ko jung ke haalaat bhi bata rahe hai aur jaanisaro ki shahadat par Aansuu bhi baha rahe hai
▶Yeh Sab Ilme Gaib Nahi To Aur Kya Hai ??
Aye Ilme Gaib Ke Munqir Khuda Ko Dekha Hai ???
Tujhe Bhi Kahna Padega Huzoor Jante Hai
✔ Hadees No. 7
Junge Badr ki Hadees me Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne maidane jung mein jung se pehle Zameen par apna hath rakh kar farmaya ki Yeh falan kaafir ke marne ki jagah hai aur ye falan ke Raawi kahte hai ki jis ko Rasoolullah ﷺ ne jahan hath rakh kar farmaya tha wahi par wo maara gaya
Sahih Muslim Jild 2 Safa 102
Nasayi Jild 1 Safa 226
▶ Is Hadees Ko padh kar ye andaza lagana mushkil hai ki Allah Ta'ala ne Apne Rasoolﷺ ko kis qadar ilm ata farmaya hai ki abhi jung nahi hui hai aur Aap ﷺ ne ek ek kaafir ke maare jaane ki jagah ki nidhandehi farma di goyaa Aap ﷺ ye bhi jaante the ki koun koun maara jayega aur ye bhi jaante the ki kahan maara jayega
Kahan Marega Abu Jahal o Utba o Sheiba,
Ke jung e Badr ka Naqsha Huzoor Jaante Hain
✔ Hadees No. 8
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ se Aap ki ba'az biwiyo ne ek martaba sawal kiya ki Aap ﷺ ke baad Hum mein se sab se pehle Aapﷺ ke Paas koun aayegi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum mein jis ka haath zyada lamba hoga . Paak biwiyon ne charri hath me le kar hath naapna shuru kar diye to Hazrate Sauda ka haath lamba nikla fir baad mein hum ko maloom hua ki haath ki lambai se muraad sadqa yaani sakhawat hai chunanche wo sab se pehle Huzoor ﷺ se mili aur inhe khairat karna bahot pasand tha
Bukhari Jild 1 Safa 191
➡ Is Hadees ko padhne se chand baate khul kar saamne aati hai
1⃣ Allah Ke Rasool ﷺ ke baare mein Aap ﷺ ki paak biwiyon ka aqeeda tha ki Huzoor ﷺ maloom hai ki kis ko kab mout aayegi ? Isliye to unhone Huzoor ﷺ se dariyaft farmaya ki Aap ﷺ ke baad hum mein se koun Aap se pehle milegi
2⃣ Huzoor ﷺ ka jawab marhamat farma dena ki tum mein lambe hath wali milegi Is baat ki nishandehi hai ki Huzoor ﷺ ne unke is aqeede ki taeed kar di
3⃣ Lambe hath se Huzoor ﷺ
Ki muraad sadqa wa khairat karna tha aur paak biwiyon ne naapna shuru kar diya goyaa hadees ka mafhoom samajhne mein unse bhi chuk hui isse maloom hota hai Hadees shareef ka mafhoom samajhna mushkil kaam hai isiliye olma e kiraam se raabata aur kisi Imaam ki taqleed kar ke muqallid hona chahiye
4⃣ Sadqa Wa khairat Karne wale Huzoor ﷺ se zyada kareeb hai
✔ Hadees No. 9
Hazrate Sauban رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya ki Allah Ta'ala ne mere liye saari roo e zameen ko ikattha farma diya to maine zameen ke saare purab aur saare paschim dekh liye aur mujhko do khazane ata farmaye gaye ek surkh aur dusra safed
Sahih Muslim Jild 2 Safa 390
✔ Hadees No. 10
Hazrate Abu Zar Gifari رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya main wo dekhta hu jo tum nahi dekhte aur main wo sunta hu jo tum nahi sunte
Tirmizi Jild 2 Safa 55
✔ Hadees No. 11
Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها farmati hai ki Rasoolullah ﷺ wo dekhte the jo main nahi dekhti thi
Sahih Bukhari Jild 2 Safa 915
Khuda Ko Dekha Nahi Aur Ek Maan Liya
Ke Jaante The Sahaba Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 12
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek din Rasoolullah ﷺ ne Fajar ki Namaz padhayi aur mimber par Rounaq Afroz hue aur bayan farmaya yahan tak ki Zuhar ka waqt ho gaya to Aap ﷺ ne mimber se utar kar Zuhar ki Namaz padhayi aur fir mimber par Rounaq Afroz ho gaye aur bayan farmaya yahan tak ki Asr ka waqt aa gaya fir Aap ﷺ ne mimber se utar kar Asr ki Namaz padhayi aur fir bayan farmaya yahan tak Suraj Guroob ho gaya to Aap ﷺ ne jo kuch hone wala hai Sab kuch bata diya to Hum mein jisne zyada Yaad rakha wo zyada bada Aalim Hai
Muslim Shareef Safa 390 Kitabul fitan
➡ Is Hadees se khoob acchi tarah ye baat roushan ho gayi ki Allah Ta'ala ne Huzoorﷺ ko Rouze Aafrinash Se Qayamat Tak Hone Wale Tamam Umoor se aagah farma diya hai
Hai Unke Haath Mein Kya Kya Tujhe Khabar Na Mujhe,
Khuda Ne Kitna Nawaza Huzoor Jante Hain.
✔ Hadees No. 13
Hazrate Salma Ibne Aqwa se marvi hai ki Junge Khaibar ke mouqa par Hazrate Ali رضي الله عنه Rasoolullah ﷺ ke sath lashkar mein Aankh dukh jane ki wajah se shareeq na ho sake the to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya ki main Huzoor ﷺ ke sath lashkar mein shaamil hone se rah gaya fir Aap nikle Yahan tak ki Huzoor ﷺ ke sath fouj mein shaamil ho gaye. Raawi kahte hai ke idhar lashkar mein jis subah ko khaibar fatah hona tha isse pehle shaam ko Rasoolullah ﷺ ne apne As-haab mein farmaya ki kal main ye jhanda ek aise shakhs ko dunga Allah Wa Rasool jisko dost rakhte hai ya jo Allah wa Rasool ko dost rakhta hai .Allah Ta'ala uske hath par jung mein fatah naseeb farmayega, farmate hai ki achanak hamari mulaqat Hazrate Ali رضي الله عنه se hui halanqi hume inki aane ki koi ummeed na thi fir Rasoolullah ﷺ ne jhanda inhe ataa farmaya aur Allah Ta'ala ne inke haatho par fatah Naseeb farmayi
Sahih Bukhari Jild 1 safa 525
Sahih Muslim Jild 2 Safa 278
➡ Maloom ye chala ke
1⃣ Huzoor ﷺ ba-ataa e Ilahi jaante the ki sawere ko Qila e Khaibar fatah ho jayega
2⃣ Aap ﷺ ye bhi jaante the ki Hazrate Ali رضي الله عنه jo lashkar mein shaamil hone se rah gaye hai wo aayenge aur ye fatah inhi ke haath par hogi.
Ye Khud Shaheed Hain Bete Nawase Pote Shaheed
Ali Ki Shaan E Yagana Huzoor Jaante Hain
✔ Hadees No. 14
Hazrate Ibne Abbas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ do qabro ke paas se guzre to Aap ﷺ ne farmaya in dono par Azaab ho raha hai lekin kisi bade gunah ki wajah se nahi balqi ek to peshab se ehtiyat nahi karta tha aur dusra chugal khor tha Fir Aap ﷺ ne hari shaakh li aur iske do tukde kar ke ek-ek qabr par rakh diye logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ. Aap ne Aisa kyu kiya ? Farmaya jab tak sukhegi nahi shayad azaab mein aasani ho
Bukhari Shareef Safa 35
➡ Is Hadees Se bakhoobi ye baate maloom ho gai
1⃣ Rasoolullah ﷺ ki nigahe aqdas ke liye qabr ke upar ki mitti waghairah aad nahi hoti aur qabr ke andar upar se hi mulahiza farma lete hai
2⃣ Qabr me Dafn hue logo ki zindagi ke haalaat bhi Aap ﷺ ke peshe nazar rahte hai ki kis ne kya kiya aur kis wajah se is par azaab ho raha hai
Chhupa Rahe Hai Lagataar Wo Mere Aibon Ko
Main Kis Qadar Hoon Kameena Huzoor Jaante Hai
✔ Hadees No. 15
Hazrate Jaabir رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ek safar se wapas tashreef laye Jab Aap ﷺ Madeene Shareef ke kareeb hue to ek hawa aisi chali ki lagta tha ki wo sawaro ko dafn kar degi Rasoolullah ﷺ ne farmaya ye hawa ek munafiq ki mout par bheji gayi hai . Raawi kahte hai ki jab Madeena shareef aaya to waqayi munafiqin ka sardar mar gaya tha
Mishkat Babul Mojezaat Safa 536
Yaani Rasoolullah ﷺ ne raaste mein hi apne As-haab ko bata diya Madeena mein ek munafiq mar gaya hai Ye safar Gazwa e Tubook se wapasi ka tha aur wo munafiq Rifa'a Ibne Duraid Tha
Awwal-O-Aakhir Sab Kuch Jaane Dekhe Ba'eed-O-Qareeb
Gaib Ki Khabare Dene Waala Allah Ka Wo Habeeb
✔ Hadees No.16
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki ek baar Hazrate Umar رضي الله عنه ne jehaad ke liye ek lashkar bheja aur uska Ameer Saariya Naam ke ek sahab ko banaya to jis waqt Hazrat Umar رضي الله عنه Masajide Nabawi Shareef mein khutba de rahe the to Zor Se farmaya Aye Saariya Pahaad ! Fir lashkar se ek kaasid aaya aur usne arz kiya Aye Ameerul Momineen hum jung kar rahe the aur dushman ne hum ko shikast dedi thi ki humne suna koi buland aawaz se keh raha tha Aye Saariya Pahaad ! Fir humne pahad ko apne piche lekar jung ki yahan tak ki dushman ko shikast dedi
Mishkat Babul Karamat Safa 546
➡ Yaani Hazrat Umar رضي الله عنه Madeena Tayyabah mein Masajide Nabawi Shareef ke andar khutba dete hue Hazaaro Meel par waaqe Nahawand mein maidane jung ko mulahiza farma rahe the aur Ye Hazrate Umar رضي الله عنه Huzoor ﷺ ke sahabi hai to jab Huzoor ﷺ ke gulamo ke Ilme Gaib ka ye haal hai to khud Huzoor ﷺ ke Ilme Gaib ka Aalam kya hoga ?
Chahe To Ishaaro Se Apni Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki To Sarkar Ka Aalam Kya Hoga
✔ Hadees No.17
Hazrate Abu Moosa Ash-ari رضي الله عنه farmate hai ki Nabi E Kareem ﷺ ek baag mein daakhil hue aur mujhko baag ke darwaze par dekh bhaal ka huqm diya fir Ek Aadmi ne Aa kar ijazat maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki inhe Andar Aane ki ijazat de do aur Jannat ki Basharat de do Maine Dekha wo Shakhs Hazrate Abu Bakr Siddiqueرضي الله عنه the fir Dusre Shakhs ne Ijazat Maangi to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya inhe andar aane ki ijazat de do aur Jannat Ki Basharat de do maloom hua wo Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه the fir aur ek Shakhs se Ijazat maangi to Huzoor ﷺ thodi der khamosh rahe aur farmaya inhe bhi ijazat dedo aur Jannat ki basharat dedo lekin ek musibat ke sath jo inhe pahochegi to maloom hua ki wo Hazrate Usmane Gani رضي الله عنه hai
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 522
Muslim Jild 2 Safa 277
➡ Is Hadees se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ baag ke andar jalwa farma the aur darwaze par aane wale ko pehchan lete the aur ye bhi irshad farma dete the ki wo Imaan wa hidayat par qayam rahenge yaani Jannat mein jayenge aur Hazrate Usmanرضي الله عنه ke baare mein Aap ﷺ ko ye bhi Ilm tha ki un par ek din musibat aayegi Yaani balwayi unka muhasra kar lenge aur fir Unko Be-rahmi ke sath ghar mein Shaheed kar diya jayega
Wo Daso Jinko Jannat Ka Mujdah Mila
Us Mubarak Jama'at Pe Lakhon Salaam.
✔Hadees No.18
▶ Hazrate Safeena رضي الله عنه se riwayat hai ki maine Rasoolullah ﷺ ko ye farmate suna ki khilafat mere baad 30 saal rahegi fir baadshahat hogi. Raawi E Hadees Hazrate Safeena kehte hai ki Hazrate Abu Bakr رضي الله عنه ki khilafat ko 2 saal shumaar karo , 10 saal Hazrate Umar رضي الله عنه Hazrate Usman e Gani رضي الله عنه ke 12 saal aur 6 Saal Hazrate Ali رضي الله عنه ke shumaar karo
Mishkat Safa 463
Tirmizi Jild 2 Safa 45
➡ Yaani Hazrate Safeena رضي الله عنه ne hadees bayan farmane ke baad ye bhi shumaar kar ke dikha diya ki waqayi khilafat sirf 30 saal rahi aur baad mein baadshahat ho gai aur Huzoor ﷺ ne Apne Ilm 'Maa Kaana Wamaa Yakoon' se jo kuch farmaya wo Durust ho kar raha
Wo Zabaan Jisko Sab Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat Pe Laakhon Salaam
✔ Hadees No. 19
Hazrate Ayesha رضي الله عنها se marvi hai ki Nabi E Paak ﷺ jab Aleel (bimar) hue to Hazrate Fatima رضي الله عنها haazir hui aur Aap ﷺ par jhuk gayi Aap ﷺ ka bosa liya fir sar uthaya aur Ro padi. Fir dobara jhuki aur sar uthaya to hans rahi thi . Hazrate Ayesha رضي الله عنها kahti hai ki maine dil me khayal ki main to Fatima ko Aurato mein sabse zyada Aqlmand samajhti thi magar wo to Aam aurato ki tarah hai Jab Huzoor ﷺka wisaal ho gaya to Maine inse maloom kiya ki batao to sahi ki Jab Aap Nabi E Kareemﷺ par jhunki aur sar uthaya to ro rahi thi fir dobara jhunk kar sar uthaya to hans rahu thi iski kya wajah thi ? Hazrate Fatima رضي الله عنها ne farmaya lo main ye Raaz fash kiye deti hu . Huzoor ﷺ ne mujhko bataya ki mera isi marz se wisaal ho jayega to main ro padi fir bataya ke Ahle Bait mein Tum Sabse pehle mere paas aaogi to main Hans padi
Tirmizi Jild 2 Safa 227
Mishkat Sako ko fa 568
(Yahi Hadees 📕Bukhari aur 📙 Muslim dono mein hai )
➡ Yaani Huzoor ﷺ ne Hazrate Fatima رضي الله عنها ko Apne Wisaal se bhi muttala farma diya ki main is marz mein duniya se chala jaunga aur Hazrate Fatima رضي الله عنهاke wisaal se bhi ki Ahle Bait mein tum sabse pehle mere paas aaogi aur waqayi Hazrate Fatima رضي الله عنها Huzoor ﷺ ke baad sirf 6 Maah Duniya mein rahi
Main Unki Baat Karu Kya Ye Nahi Meri Aukaat
Ke Shaane Fatima Zahra Huzoor Jaante Hai 🌴
✔ Hadees No. 20
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه farmate hai ki Karkara Naam ka ek shakhs Nabi E Kareem ﷺ ke asbaab ki hifazat par mu'ayyan tha Jab uska inteqaal hua to Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya wo jahannami hain log is ki wajah talaash karne lage to uske saaman mein ek Ibaa paayi jo usne maale ganimat se chura ke rakh li thi
Bukhari Jild 1 Safa 432
➡ Yaani Aap ﷺ ne ye bhi jaan liya ki wo Jahannam mein hai aur Ye Bhi ki wo Jahannam mein Kyu hai aur Jo Kapda Usne Maale Ganimat se churaya tha gaib Janne wale Nabi se wo chhupa hua Na tha
Haamir Rab hai Khaliq Par Mustafa hai Maalik
Qismat Me Kya Likha hai Sarkar jante hai
✔ Hadees No.21
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki ek Baar Huzoor ﷺ ne Humko Zuhar ki Namaz padhayi aur sab se picchli saf mein ek aadmi khada tha jis ne thik se Namaaz nahi padhi to jab Huzoor ﷺ salaam fera to us shakhs ko Naam lekar Pukara aur farmaya aye fulañ kya tu Allah Se Nahi Darta ? Ye tu kaise Namaaz Padhta Hain ? Kya tum Log Ye khayal karte ho ki tumhare aamaal mein se mujhse kuch chhupa rehta hai ? Kasam Allah Rabbul Izzat Ki main Jaise Apne Saamne dekhta hu waise hi picche bhi dekhta hu. Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne riwayat kiya
Mishkat Baab Siftis'salat Safa 77
➡ Sabse Picchli Saf mein hone ka matlab hai ki Sarkar ﷺ mein aur usme kaafi faasla tha us zamane mein har Musalman Namazi tha Masajide Nabawi shareef Namaziyon se bhar jaati thi fir Bhi Aap ﷺ ne uski Namaz ki kami ko mulahiza farma liya fir sarahat farma di ki tumhari har halat mere upar roushan hai
Kis Lab Pe Kya Dua Hain Sarkar Jaante Hain
Kiske Dilo Mein Kya Hain Sarkar Jaante Hain
✔ Hadees No. 22
Hazrate Huzaifa رضي الله عنه se riwayat farmate hai ki main nahi jaanta ke mere saathi bhool gaye hai ya bhole ban baithe Allah Ta'ala ki kasam Rasoolullah ﷺ ne duniya se khatm hone tak tamaam fitna garo ko jo 300 ya kuch zyaada hai nahi chhoda magar hum ko unke Naam bata diye. Uska Naam Uske Baap ka Naam aur uske khaandan aur qabeele ka Naam
Mishkat Safa 463
Abu Dawood Safa 582
➡ Yaani Qayamat ke tamaam fitna parwaro , gumrahgaro ka zikr inke naam aur waladiyat aur qabeele ke sath farma diya
Meri Aane Wali Nasale Tere Ishq Hi mein machle
Unhe Nek Tum Banana Madani Madine Wale
✔ Hadees No. 23
Hazrate Abu Saeed Khudari رضي الله عنه ne Masajide Nabawi ki tameer ka zikr farmate hue farmaya ki Hum log ek-ek iint uthate the aur Ammar Ibne Yaasir do-do to Rasoolullah ﷺ ne inhe dekha to Huzoor ﷺ inke jism se mitti jhaadte jaate aur farmate ki Ammar par kada waqt aayega inhe ek baagi giroh Qatl karega aur ye unhe Jannat ki taraf bulate honge aur wo inhe dozakh ki taraf. Abu Saeed ne kaha ki Ammar kaha karte the ki Main fitno se Allah ki panah mangta hu
Bukhari Shareef Jild 1 Safa 24
➡ Is Hadees Se Maloom hua ki Huzoor ﷺ ye bhi jaante the ki Ammar Shaheed kiye jayenge aur ye bhi ki inhe koun shaheed karega
Izaat Se Naa Mar Jaaye Q Naame Muhammed Par
Yun Hi Kisi Din Humne Duniya Se To Jaana Hai
✔ Hadees No. 24
Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai ki Jab Khaibar Fatah hua to Huzoor ﷺ ki khidmat mein zaher mila hua bakri ka gosht pesh kiya gaya Aap ﷺ ne Irshaad farmaya yahan jo yahoodi hai unhe mere Paas laao to unhe jama kar diya gaya Huzoorﷺ unse farmaya Agar Main kuch pucchu to mujhe sach bataoge Unhone kaha Haan Aye Abul Qasim ! Huzoor ﷺ ne puccha tum kiski aulad ho ? Unhone kaha hum falan ki Aulad hai Aap ﷺ ne irshad farmaya tum Jhoot bolte ho tum falan ki Aulad ho to kehne lage Aap sach kehte hai aur accha kehte hai .Fir Huzoor ﷺ ne farmaya agar main tum se kuch puchu to tum sahi bataoge ? Bole Haan agar hum galat bolenge to Aap (Apne Ilme Gaib ) se jaan lenge Jaise hamare baap daada ke baare mein jaan liya. Farmaya Dozakh mein Tum Jaoge ya Hum ? Kehne lage Hum thode din ke liye jayenge fir hamare baad Aap isme rahoge Huzoor ﷺ Farmaya tum hi isme Zaleel hone wale ho aur Hum Isme kabhi tumhari jagah nahi jayenge Fir Aap ﷺ ne irshad farmaya Agar main tumse koi baat pucchu to to Sahi bataoge ? Bole haan. Huzoor ﷺ ne irshad farmaya kya tumne is bakri mein zaher milaya ? Kehne lage haan milaya Aap ﷺ ne farmaya aisa tumne kyu kiya ? Bole humne ye iraada kiya ki agar Aap jhoote Nabi hai to humko Aap se Najaat mil jayegi aur Agar Aap Sacche hai to Ye zehar Aap ko Nuqsan Nahi pahochayega
Bukhari Jild 2 Safa 859
Mishkat Safa 543
➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne Rasoolullah ﷺ ko gaib ka ilm ataa farmaya hai isi liye Aap ﷺ bakri mein zaher ko jaan liya aur in logo ne Aap ﷺ ka imtihaan lene ke liye Apne Baap ka Naam galat bataya to wo bhi Aap ﷺ ne jaan liya Aur sahi Naam bata diya aur In Yahoodiyon ko bhi Aap ﷺ ki Sachai aur Ilme Gaib par yakeen tha isi liye un logon ne kaha ki Agar Hum Jhoot bolnege to Aap jaan jayenge.
Yahoodiyon ko Huzoor ﷺ ke ilme Gaib par itna pakka yaqeen tha lekin Afsos Aaj ke Naam nihaad muslaman bad aqeeda log aitraz karte hai Allah aise Imaan ke lutero se hamari hifazat farmaye
✔ Hadees No. 25
Hazrate Abdullah Ibne Umar Se riwayat hai ki ek din Rasoolullah ﷺ hamare paas tashreef laye. Aap ﷺ ke daste mubarak mein do kitabe thi Aap ﷺ ne irshad farmaya kya tum in dono kitabo ko jaante ho Humne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap ke bataye baghair nahi jaante Aap ﷺ ne dahine hath wali kitab ki taraf ishara kar ke Farmaya Allah Ta'ala ki taraf se ek kitaab hai jisme tamam jannat walo ke naam hai inke baap dada aur khandano ke bhi Naam bhi hai aur Aakhir mein in sab ki meezan hai inme se kabhi bhi kami ya zyadati nahi hogi fir Aap ﷺ Apne baaye hath wali kitab ke baare me farmaya ki isme Jahannamiyon ke baap Dada aur khaandano ke naam hai fir aakhir in sab ka jama (Total) kar diya gaya hai Ab inme kabhi kami ya zyadati nahi hogi
Tirmizi Jild 2 Safa 36
Mishkat Safa 21
➡ Gour karne ka maqaam hai jis zaate girami ko Allah Ta'ala ne aisi kitabe ataa farma di ho ki jisme saare jannat aur jahannami logo ke Naam inki waladiyat aur qabeele ke zikr ke sath likha ho unke Ilm ki kya shaan hogi Aur Aadam عليه السلام se lekar qayamat tak paida hone wale musalamano aur kaafiro mein aisa koun reh gaya Jisko Aap ﷺ nahi jaante ??
➡Tabhi to Aala Hazrat Farmate Hai
Aur Koi Gaib Kya Tum Se Nihaa Ho Bhala
Jab Naa Khuda Hi Chhupa Tum Pe Karoro Durood
Chapter V
Allah Ta'ala Ki Baargah Me Uske Mehboob Bando Ko Waseela Banana.
✔ Hadees No. 1
Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه se marvi hai ki Huzoor Nabi E Kareem ﷺ ne irshad farmaya ki ek aisa zamana aayega jab log fouj dar fouj ho kar jihaad karenge to inse puccha jayega ki tumhare darmiyaan koi aisa shakhs hai Jisne Rasoolullah ﷺ ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawab mein kaha jayega haan to uski barkat aur waseele se jung me fateh hogi fir ek zamana aayega aur log jihaad karenge to inse maloom kiya jayega kya tum mein koi aisa hai jisne Huzoor ﷺ ke sahaba ko dekha ho jawaab hoga haan to iske waseele se jung mein kamiyabi milegi fir ek Zamana Aayega aur log jihaad karenge to unse puccha jayega hai jisne Huzoor ﷺ ke sahaba ki sohbat haasil karne walo ki sohbat ka sharf haasil kiya ho jawaab hoga Haan to inke zariye kamiyabi haasil hogi
Bukhari Jild 1 Safa 406
➡ Ye Hadees Saaf taur par bata rahi hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ka muqaam to Allah hi jaane Aap ﷺ ke gulamo ke gulamo ke gulamo ki shaan ye hai ki inke waseele se jungo mein islami faujo ko fatah haasil hoti hai
➡ Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hain..
Wasl E Moula Chahte Ho To Waseela Dhoond Lo
Be Waseela Najdiyon Hargiz Khuda Milta Nahin
✔Hadees No. 2
Hazrate Usman Bin Hunaif رضي الله عنه se marvi hai ki ek Sahab jo Naabina the Huzoor Nabi E Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hue aur Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere liye Allah Ta'ala se dua kijiye ki meri binayi wapas Aa jaye to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki tum chaho to main dua karu agar chaho to sabr karo aur ye sabr karna zyada accha hai wo sahab farmane lage Huzoor Dua farma dijiye to Rasoolullah ﷺ ne unko huqm diya wo achhi tarah Wuzoo kare aur fir ye dua padhe
➡ Aye Allah Main Tujhse Dua Mangta hu aur tere Taraf teri Nabi Muhammed ﷺ ko waseela banakar mutawajjah hota hu jo Rehmat wale Nabi hai Aur Yaa Rasoolullah ﷺmain Aap ke waseele se Apne Rab se Dua karta hu Taaqi meri ye haajat puri ho aur Aye Allah tu Huzoor ﷺ ki Shafa'at mere haq mein qubool farma
Tirmizi Jild 2 Safa 196
Mishkat Safa 219
➡ Is Hadees mein naabina Sahabi ka Huzoor ﷺ ki khidmat mein Apni haajat barayi ke liye jana waseela hai aur Huzoor ﷺ ne inko jo dua taalim farmayi isme bhi Apne Waseele se dua mangne ka huqm diya Is hadees mein Rasoolullah ﷺ ko waseela banane Aap ki taraf mutawajjah hone balqi Aap ko Haazir ke seege se pukarne ka bhi zikr hai Yani Yaa Rasoolullah ﷺ kehna bhi jayaz hai
Ba-Khuda Khuda ka Yahi Hai Dar Nahi Aur Koi Mafar Maqar
Jo Wahan Se Ho Yahin Aake Ho Jo Yahan Nahin To Wahan Nahin
✔ Hadees No. 3
Hazrate Anas Bin Maalik رضي الله عنه se marvi hai ki jab Madeena Munawwara me sukha padta to Hazrate Umar Farooq رضي الله عنه Hazrate Abbas Ibne Abdul Muttalib ke waseele se baarish ki dua maangte aur kehte the Yaa Allah Hum tere Nabi ke Waseele se Barish maangte the hum par baarish hoti thi ab hum tere Rasool ke chacha ke waseele se baarish maangte hai to Tu Humko Sairab Kar de Hazrate Anas رضي الله عنه kehte hai Hazrate Umar رضي الله عنه ki is dua se Khoob baarish hoti
Bukhari Jild 1 Safa 137
Mishkat Safa 132
Khud Khuda Be Waasta De Ye Hamara Munh Kahan
Waasta Sarkaar Hai Be Waasta Milta Nahi
✔ Hadees No. 4
Hazrate Abu Jauza رضي الله عنه ne farmaya ki ek martaba Madeene munawwara mein sakht sukha pad gaya logo ne Hazrate Aayesha Siddiqua رضي الله عنها se shikayat ki Aap ne farmaya ki Rasoolullah ﷺ ki Qabre Anwar ko dekho aur Iske thik upar Aasman ki jaanib chhat mein surakh kar do yahan tak ke Qabre Anwar aur Aasman ke bich koi pardah na rahe... logo ne aisa hi kiya to aisi zor ki barish hui ki khoob sabza ugaa hariyali chha gayi aur oont mote ho gaye yahan tak ke inki charbi fati jaati thi aur is saal ko khush-hali ka saal kaha jane laga
Mishkat Babul Karamat Safa 545
➡ Is Hadees Se zaahir hai ki baade wisaal Huzoor ﷺ ko aur Huzoor ﷺ Qabre Anwar ko in logo ne baarish maangne ke liye waseela banaya jo sab sahaba aur tabaeen the aur khud Ummul Momineen Hazrate Ayesha Siddiqua رضي الله عنها ne ye tarkib batayi to Zaahir ho gaya ki sahaba kiraam baade wisaal bhi waseele ke Qaeel the.
Jo Khuda Deta Hai Milta Hai Isi Sarkar Se
Kuch Kisi Ko Haq Se Is Dar Ke Siwa Milta Nahin
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Deenar رضي الله عنه se marvi hai ki Hazrate Abdullah Ibne Umarرضي الله عنه jab safar ko nikalte yaa jab safar se wapas aate to Pehle Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar par haazri dete Huzoor ﷺ par durood padhte aur waha dua mangte fir laut jaate
Mu'atta Imaam Malik Baab Qabarin-Nabi'e ﷺ Safa 396
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ka safar se aate aur jaate waqt Qabre Anwar par khade ho kar Durood Shareef Padhna aur dua Mangna yaqeenan Baade wisaal Aapﷺ Ki Qabre Anwar ko aur Baad Wisaal Aap ﷺ ko Waseela banana hai warna Dua har jagah Maangi jaa sakti hai Qabre Anwar par Dua Mangne ka Aakhir aur kya matlab Hai ??
Ustaade Zaman Farmate Hai
Hashr Mein Ek Ek Ka Munh Takte Firte Hai Adu
Aafaton Mein Phans Gaye Unka Sahara Chhor Kar
Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hai
Bas Yahi Sarkaar Hai Jisse Hamesha Paayenge
Dene Wale Dete Hain Kuchh Din Sadaa Milta Nahin
✔ Hadees No. 6
Hazrate Sa'ad Ibne Abi Waqaas رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki tumhari Madad ki jaati hai aur tumhe Rozi Milti hai ye sab tum mein ke kamzor Logo ka waseela hai
Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Saca 405
➡ Yahan Bhi Baat Kaabile Gour hai ki "Jungo mein kamzor aur neko ke waseele se madad chahna " Goyaa Hazrate Imaam Bukhari ke aqeede mein bhi Mehboobane Khuda ko bargahe Khuda mein Waseela Banana yaqeenan pasandeeda hai
Jab Unke Gadaa Bhar Dete Hain Shaaane Zamana Ki Jholi
Mohtaj Ka Jab Ye Aalam Hain To Mukhtar Ka Aalam Kya Hoga
Chahe To Isharo Se Apne Kaaya Hi Palat De Duniya Ki
Ye Shaan Hain Unke Gulamo Ki Sardar Ka Aalam Kya Hoga
Chapter VI
Shafa'ate Ambiya Wa Awliya Wa Ulma
✔Hadees No. 1
Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Har Nabi ko ek maqbool dua mangne ka haq diya gaya jo unhone apni ummat ke liye maang li aur Maine Apni is makhsoos dua ko Baroze Qayamat Apni Ummat ki shafa'at ke liye Bacha Rakha hai
Muslim Jild 1 Safa 112
✔ Hadees No. 2
Sayyedna Usmane Gani رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya baroze Qayamat 3 qism ke log Shafa'at farmayenge pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada
Ibne Maaja Zikre Shafa'at Safa 330
Mishkat Safa 494
✔Hadees No. 3
Hazrate Imran Ibne Haseen رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Meri Shafa'at se kuch log Jahannam se Nikaale Jayenge Aur Jannat mein dakhil honge aur Jannat mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga ( Yani Jahannam se Aane wale )
Bukhari Jild 2 Safa 971
➡ Yaani Log Jahannam Mein dakhil Ho jayenge Iske Baad bhi Shafa'at Jaari Rahegi Yahan Tak ke Aap ﷺ ki Shafa'at Se jo log Jahannam mein jaa chuke honge wo waha se Nikal kar Jannat mein Laaye Jayenge
Hisaab ka Din kathin to hoga Magar Hume Unka Aasara Hain
Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa'at Unko Ataa Hui Hain
✔Hadees No. 4
Qayamat ke din Khuda E Ta'ala farmayega aur Ambiya wa Momineen Shafa'at kar chuke sirf Ar-Rahmur Rahimeen baaqi raha fir Apne Daste Qudrat ki ek Mutthi bhar jahannam se logo ko nikalega
Muslim Jild 1 Safa 103
Mishkat Safa Babul Houze Wash-shafa'at safa 490
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abdullah Ibne Umar Bin Aas Se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Apne Mubarak Hatho ko uthaya aur Arz Kiya Aye Allah Meri Ummat Meri Ummat aur Aap ﷺ rone lage to Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام ko huqm diya mehboob ke paas jao to wo Huzoor ﷺ ki khidmat mein Haazir hue aur pucha Huzoor ﷺ ne rone ka sabab bataya aur Parwar Digaar sab kuch Jaanta hai Allah Ta'ala ne Hazrate Jibraeel عليه السلام se farmaya jao aur Mehboob se keh do Aap ki Ummat ke Mamle mein Aap ko Raazi aur Khush Kar denge aur Aap ko gamgeen Nahi Hone Denge
Muslim Jild 1 Baab Dua Un Nabi ﷺ Li Ummatihi Safa 113
Fiqre Ummat Mein Raato Ko Rote Rahe
Aasiyoñ Ke Gunaho Ko Dhote Rahe
Tum Par Qurbaan Jaañ Aye Mere Mehjabeen
Tum Par Har Dum Karodo Duroodo Salaam
✔Hadees No. 6
Hazrate Abdullah Bin Abijada'a رضي لله عنه se marvi hai ki Maine Rasoolullah ﷺ ko farmate hue suna ki meri Ummat ke ek shaksh ki Shafa'at se itne log Jannat mein Daakhil honge Jinki Taadad Qabeela Bani Tameem ke logo se bhi zyada hogi
Tirmizi Jild 2 safa 67
Mishkat Safa 494
✔ Hadees No. 7
Huzoor ﷺ ne irshad farmaya meri ummat ke kuch log Kayi giroh ki Shafa'at karenge aur kuch kisi khandan ki aur kuch kisi ek shaks ki Shafa'at karenge yahan tak ki log inki Shafa'at se Jannat mein Dakhil Ho Jayenge
Tirmizi Jild 2 Safa 67
➡ Saabit hua ki Huzoor ﷺ ki ummat ke Aap ke Aise gulam bhi honge Jinki Shafa'at se Allah Ta'ala Bahot Saare logo ko Jannat Ataa Farmayega Aur Inme olma aur Shahidaane Islam ka khaas Muqaam hoga
Mere Taaje Shariat Jaa-Nasheene Mufti-E-Aazam
Inhi Ke Sadqe Me Aaqa Hume Jannat Ataa Kar De
Chapter VII
Ishq E Rasool Wa Tazeeme Nabi ﷺ
✔ Hadees No. 1
Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki ek dehaati Aadmi Rasoolullah ﷺ ki khidamte Aqdas mein Haazir hua aur pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Qayamat Kab Aayegi ? Farmaya tere liye kharabi ho tune Qayamat ke liye kya tayyari ki hai ? Arz kiya Huzoor Maine to tayyari nahi ki lekin main Allah Aur Uske Rasool se muhabbat karta hu farmaya to tum Uske sath rahoge jisse muhabbat karte ho Fir Hum logo ne arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ kya ye sab ke liye hai Farmaya haan . Raawi kehte hai is baat se hum behad khush hue
Bukhari Jild 2 Kitabul Aadab Safa 911
Muslim Jild 2 Safa 331
➡ Is Hadees se Achhi tarah se maloom ho gaya ki Sahaba E Kiraam sab ke sab Aashiqane Rasool the isi liye jab unhone ye suna ki jo jisse mohabbat karega wo uske Sath Rahega to wo nihayat khush hue. Ye bhi maloom hua ki wo log muttaqi parhezgaar aur deendar hone ke bawajood Apni nijaat ka zariya mahaz Aamale saaliha ko nahi balqi Mohabbate Khuda wa Rasool ka khayal karte the
➡ Khulasa ye ki jo log deendaar bante hai aur unhe Allah Wa Rasool se muhabbat wa Ishq nahi hai wo galat raaste par hai han wo log bhi dhoke me hai jo khaali Naam ki muhabbat karte hai aur unhe Ahkaame Shariyah ki Qat'an fiqr nahi Haraam wa Halaal mein koi farq nahi Namaz Roza ke paband nahi gunaho me lage rehte hai
Hashr Mein Nidaa Hogi Ye Gulaam Kiska hai
Mujhko Dekh kar Keh De Yaa Shahe Zaman Mera
✔ Hadees No. 2
Hazrate Umar Farooque رضي الله عنه ne dua Farmayi ki Yaa Allah tu Mujhko Apni raah mein Shaheed Hone Ka Sharaf ataa farma aur Mujhko Apne Rasool ke Shahar mein mout ataa farmaa
Bukhari Jild 2 Safa 253
➡ Is Hadees se zaahir hota hai ki Hazrate Sayyadna Umar Farooque رضي الله عنه ka Ishqe Rasool is hadd tak pahoch gaya tha ki shahare Rasool ke alawa kisi aur jagah inko mout bhi pasand na thi aur Khuda E Ta'ala ne inki dono khwahishat puri farma di aur Hazrate Umar Farooqur رضي الله عنه ko Madeene Shareef mein hi shahadat Naseeb hui aur Huzoor ﷺ ke Rouze Mein Dafn hone ka bhi Saharaf haasil hua
Yaa Ilahi Ataa Ho Shahadat Ki Mout Mujhko Madeene Mein
Ameerul Momimeen Hazrate Farooqe Aazam Ke Waste
✔ Hadees No. 3
Hazrate Anas رضي الله عنه farmate hai ki Jab Rasoolullah ﷺ ne sar ke Baal mubarak mundwaye to Aap ﷺ ke Baal Mubarak Haasil karne walon mein Sabse pehle Hazrate Abu Talha the
Bukhari Jild 2 Safa 29
✔ Hadees No. 4
Mash'hoor Taabayi Hazrate Ibne Aseer رضي الله عنه farmate hai ki maine Hazrate Ubaida رضي الله عنه se Arz kiya ki mere Paas Rasoolullah ﷺ ka Ek baal mubarak hai jo Humko Hazrate Anas رضي الله عنه ya unke ghar walo ke zariye haasil hua To Hazrate Ubaida رضي الله عنه ne farmaya ki mere Paas Huzoor ﷺ ka ek Baal Mubarak hona mere liye Duniya Aur Uske Saare Saaz Wa Saaman se zyada mehboob hain
Bukhari Jild 1 Safa 29
➡ Is Hadees Ko Padh kar Andaza lagaiye ki Huzoor ﷺ se Sahaba E Kiraam ko kis darja muhabbat thi ki Aap ﷺ ke Ek Baal Mubarak ko Qayinaat ki Saari Doulato se zyada pyara samajhte
Nabi Gensoo Tarashwate Sahaba Lete Haathon Mein
Zameen Par Girne Kab dete Mere Sarkar Ke Gensoo
✔ Hadees No. 5
Hazrate Abu Huzaifa رضي الله عنه kehte hai ki Dophar ke Waqt Huzoor ﷺ Hamare paas tashreef laaye to Aap ﷺ ke liye wuzoo ka paani laaya gaya Aap ﷺ ne Wuzoo farmaya to log Aap ﷺ ke wuzoo ke paani ko lekar apne Jismo par malne lage Fir Aap ﷺ ne Zuhar Ki 2 Raka'at Namaz Padhi aur Asr ki Bhi 2 Raka'at Namaz Padhi aur Aap ﷺ ke Saamne Neza tha Hazrate Abu Moosa Ash'ari farmate hai ki Rasoolullah ﷺne ek pyaala maanga Jisme paani tha pehle Aap ﷺ ne Apna Munh aur Apne Haatho ko usme Dhoya aur Isme Kulli farmayi aur fir Hum Dono ( Hazrate Abu Moosa Ash'ari aur Hazrate Bilal رضي الله عنهم ) se Farmaya is paani ko piyo aur isko Apne chehro aur seeno par daal do
Bukhari Jild 1 Safa 31
➡ Ye Ek Safar Ka Kissa tha Jisme Huzoor ﷺ Ne Zuhar Aur Asr ki 2 Raka'at bataur Kasar Adaa farmayi thi aur maqaame Ji'arrana mein Aap ﷺ ka qayaam tha aur Bukhari Shareef mein Dusri jagah hain ki jab Wuzoo Ka Dhowan aur kulli kiya hua paani Huzoor ﷺ ne ataa farmaya aur ye dono Hazraat jab is paani ko bataure tabarruk pi rahe the aur apne chehre aur seene par daal rahe the to Ummul Momineen Sayaddena Umme Salma رضي الله عنها jo kheme ke andar se ye mulahija farma rahi thi Unhone farmaya Thoda Apni Maa Yani mere liye bhi bachaye rakho
➡ Hadees ke Alfaz ye hai ki Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ne parde ke pichhe se Aawaz lagayi ki thoda mere liye bhi bachalo to unhone thoda paani unke liye bachaya
Bukhari Jild 2 Safa 620
Jinke Talwo ka Dhowan Hai Aabe Hayaat
Hai Wo Jaane Maseeha Hamara Nabi
✔ Hadees No. 6
Ek aurat ne ek kinare wali chadar Huzoor ﷺ ki khidmate aqdas mein pesh ki aur arz kiya ki ye maine Aap ke liye Apne hath se buni hai to Huzoor ﷺ ne isko qubool farma liya aur Aap ﷺ ko isko zarurat bhi thi Aap ﷺ iska tahband baandh kar hum logo mein tashreef laaye to ek sahab ko wo Nihayat achi maloom hui aur unhone isko Huzoor.ﷺ se maang liya sahaba e kiraam ne usse kaha ki tumne achaa nai kiya Huzoor ﷺ ko aaj kal iski zarurat thi aur tumko maloom hai Huzoor ﷺ maangne walo ko mana nai farmate to wo sahab kehne lage ki maine wo chadar khuda ki qasam pehenne ke liye nahi li hai balqi isliye maangi hai taaqi wo mera kafan ho jaye Hazrate Suhail رضي الله عنه raawi e hadees farmate hai ki wo chadar waqayi un sahab ke kafan mein kaam aayi
Bukhari Jild 1 Safa 170
Tum Khaaqe Madeena Mere Laashe Pe Chidakna
Fir Malna Kafan Par Jo Mile Unka Paseena
Har Dum Ho Mera Wird Madeena Hi Madeena
✔ Hadees No. 7
Hazrate Usman Ibne Abdullah رضي الله عنه se riwayat hai ki mere ghar walo ne mujhko Ummul Momineen Hazrate Umme Salma رضي الله عنها ki khidmat mein ek bartan mein paani lekar bheja aur jab kisi shaksh ko nazar lag jaati ya use koi pareshani ya beemari hoti to Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ka Moo E Mubarak Nikaal kar laati aur wo unke paas ek chaandi ki shishi mein rehta tha fir use paani daalkar hilaya jaata aur wo shaksh us paani ko peeta Hazrate Usman رضي الله عنه kehte hai ke maine us bartan mein jhanka to mujhe chand surkh rang ke baal dikhayi diye
Sahih Bukhari Jild 2 Safa 875
Mishkat Babul Faal safa 391
➡ Hazrate Umme Salma رضي الله عنها Huzoor ﷺ ki zouja e mohtarma (Paak Biwi) Hain jo Huzoor ﷺ Baal ko dhowan Mareezo ko pilati thi aur Mareez sheefa paate the aur ye sahaba ka zamana tha lekin kisi ne ye nahi kaha ki ye Shirq o Bid'at aur Naa jayaz hai
Ghumati Umme Salma Paani Mein Moo E Mubarak ko
Mareezo Ko Sheefa Dete Mere Sarkar Ke Gensuu
✔ Hadees No. 8
Hazrate Abu Ayyub Ansari رضي الله عنه ka bayan hai Rasoolullah ﷺ mere ghar mehman hue aur main balai (upari) manzil mein rehta hu aur Huzoor ﷺ niche wali manzil mein Ek Baar Raat Mein Bedaar hua to ehsas hua ki Main upar chalta hu aur Huzoor ﷺ Niche tashreef farma hai is khayal se ek kone mein baith kar jaagte hue Raat guzari subah ko Huzoor ﷺ khidmat mein Haazir ho kar Arz ki to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki nichli manzil mein hume zyada aaram hai Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ lekin main is chat par kaise reh sakta hu jiske niche Aap ho iske baad Huzoor ﷺUpar ki manzin mein tashreef le gaye aur Abu Ayyub Nichli manzil mein rehne lage Huzoor ﷺ ke liye khana tayyar karte Jab Huzoor ﷺ khana tanawul farma lete baad mein khud khate bache hue khane ke baare mein puchte ki Huzoor ﷺ ne kidhar se khaya hai fir khaas isi jagah se khate
Sahih Muslim Jild 2 Safa 183
➡ Ye us waqt ka qissa hai Jab Huzoor ﷺ Hijrat farma kar Madeena Shareef tahsreef laye aur Shuru mein Aap ka muqaam Hazrate Abu Ayyub Ansari ke makaan mein hua tha
Isse sabaq lena chahiye un logo(Bad Aqeeda ) ko jo sirf Namaz Roza wa ibadat karte hai aur jinko kitabe zindagi me koi Adab wa Tazeeme Nabi ﷺ Nahi hai
Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inayat Naa Sahi
Najdiyo ! Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya
Chapter VIII
Bad-Aqeedah Aur Gumrah Firqo Ki Pehchaan
✔ Hadees No.1
Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Meri Ummat 73 giroh mein bath jayegi Jinme 72 Jahannami Honge aur sirf Ek Jannati Arz Kiya Ki Yaa Rasoolullah ﷺ Jannati Firqe Ki Kya Pehchan hai ? Aap ﷺ ne farmaya jo meri aur mere sahaba ki Seerat Ikhtiyaar karega wo Jannati Hai
Mishkat Safa 30
➡ Isiliye To Aala Hazrat Kya Khoob Farmate Hai
Ahle Sunnat Ka Hai Beda Paar As'haabe Huzoor
Najm Hain Aur Naav Hain Itrat Rasoolullah ﷺ Ki
➡ Najm = Taare ➡ Itrat = Aal Aulad Yaani Ahle Bait
✔ Hadees No. 2
Hazrat Ali رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Akhir Zamane mein kuch Aise log paidah Honge jo Ba-aitebar umr kam honge Aql se paidal honge Inki Baate Sabse behtar hogi Imaan Inke halaq se niche nahi utrega Deen Se Aise Nikle hue Honge jaise teer Kamaan se nikal jaata hai to Tum unhe jahan paoge Qatl karo inke Qatl Karne mein har qatl karne wale ko Qayamat ke Roz Sawaab Milega
Bukhari Jild 2 Safa 1024
➡ Aage ye bhi hai Tum log apni Namazo Rozo ko unke muqabile nihayat Kamtar khayal karoge
✔ Aaj Kal waqayi baatil firqo mein ye nishaniya paayi jaati hai Ba-zaahir bade bhole maloom hote hai aam taur par log kehte hai unhone bahot achhi baate batayi , bahot pabandi se Ibadat karte hai aur ye Saari nishaniya wahabiya devbandiya aur deegar bad-aqeedah Jamaat walo mein poore tareeqe se paayi jati hai
Gulame Raza Inse Dhokha Naa Khana
Aur Raza Ka Ye Paigaam Naa Bhool Jana
Raza Nafs Dushman Hain Dum Mein Naa Aana
Kaha Tumne Dekhe Hain Chandrane Wale
✔ Hadees No.3
Bad-Aqeedah Aur Gumrah logon ki nishaniya batate Hue Huzoor ﷺ Ne ye bhi farmaya Ke Aankhen dhasi Hui Gaalon Ki Haddi uthi hui Peshani ubhari hui Bhaari Dadhi Sar Mundaye hue aur Tehband Upar Ko chadhaye hue Hadees ke Akhir mein Hai Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya is Nasl Ke Log Quraane Kareem ki tilawat to Ro-Ro karenge magar inke galo se nahi utarega Deen se aise nikle hue honge jaise Kamaan se teer Huzoor ﷺ irshad farmaya Agar Main Inka Zamaana Paau to Inhe Qoum Samood Ki tarah Halaaq wa qatl karu Yani unhe Bilkul mita du
Bukhari Jild 2 Safa 633
➡ Unhe Tahbandi paajame aur munde Saro se bhi Bad-Mazhabo ki pehchan ki ja sakti hai halanqi Sar Mundana unche pahanna koi gunah ya Khilafe Shara'a nahi hai balqi Sunnat hai lekin yahan matlab ye hai ki ye log in baato par zyada Zor Denge aur bilkul Farz khayal karenge Yahan Tak ki Shaikh Mohammed Ibne Abdul Wahab Najdi ke baare mein Mash'hoor hai ki agar koi sar na mundaye to wo uska galaa katwa deta tha
Najadi Ke Ganje Sar Par Ek Zor-Daar Thappad
Jaldi Laga Laga Har Ek Yaar Aaye
✔ Hadees No.4
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se riwayat hai ki wo Kharijiyon ko makhlooq mein sabse bura jaante the ki in logon ne Quraane Kareem ki Jo aayate Kaafiron ke Baare Mein hai unhe Musalmano par chaspa kar diya
Bukhari Jild 2 Safa 1024
➡ Kharaji wo log hai Jinhone Hazrate Ali رضي الله عنه par shirq ka fatawa lagaya tha ( Maaz'Allah) Aur Jo Qurane Kareem ki Jo Aayate Kaafiro ke haq mein Naazil hui Hai unko Momineeno ke upar thopte hai
✔ Hadees No.5
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne dua ki aur arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Huzoor ﷺ ne arz kiya Aye Allah Hamare Mulqe Shaam mein barkat de Hamare Yaman mein barkat logo ne Kaha Yaa Rasoolullah ﷺ aur hamare Najd Mein ? Raawi kehte hai ki mera khayal hai ki Teesri baar Mein Aap ﷺ ne farmaya ki Najd Mein Zalzale Aur Fitne Honge aur Shaitan Ka Sing Wahi se niklega
Bukhari Jild 2 Safa 1051
➡ Ye Najd Jiske Baare Mein Huzoor ﷺ ne bajaye Khairo barkat ki dua ke is ilaaqe ko fitne ki Zameen Farmaya ki waha Zalzale aur fitne honge aur shaitan ka sing wahi niklega Isi Zameen se 1115 Hijri Mein Shaikh Mohammed Abdul Wahab Najadi paidah hua jisne wahabiyyat aur Allah ke Rasool ﷺ aur Buzurgane deen ki shaan mein gustakhiyon ki buniyad Daali Aur ye Najadi Bad-Aqeedah Gumrah log Aaj bhi Isi Mishan Par Hain.
Aap Tamam Se Guzarish hai In Ahadees Ko Khoob Aam Karein Apne Pass B Mehfooz Rakhe awr Apne Dost Ahbaab Rishtedaar Jaan Pehchan awr unko B Pohanchane ki Koshish karein Jinhe nahi jante ho Hamara Maqsad yehi hai ke Hamara Koi Bhai Ya Behan Kam Ilmi Wajah se In Badmazhabo Ka Shikar na hojaye.
ALLAH Ta'ala Sabko Kehne Sunne se Ziada Amal Ki Taufeeq Ata Farmae
آمین یا رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين صلى الله عليه وسلم
ALLAH Ta'ala Sabko Kehne Sunne se Ziada Amal Ki Taufeeq Ata Farmae
آمین یا رب العالمين والصلاة والسلام على أشرف الأنبياء والمرسلين صلى الله عليه وسلم
No comments:
Post a Comment