Tuesday, 14 July 2020

WASEELA



TAWASSUL/WASEELA//ISTIGHASA

Alhamdulillah, hum Ahlesunnat wal Jamaat ka aqeeda hai ki beshak ALLAH TA'ALA kisi Waseele ka mohtaj to nahi wo chahe to bagair waseele ke bhi jo kuch chahe ata kar sakta hai. Lekin fir bhi usne Qainat ka jo nizam chalaya wo waseele se chalaya to pata chalta hai ki ALLAH TA'ALA ko waseela pasnd hai, isiliye hum Ahlesunnat wal jamaat apni duaao ke liye ALLAH ki bargah me waseela pesh karte hain..

Misal ke taur pe aaiye dekhte hain ki ALLAH TA'ALA ne H.ADAM alaihe salam ko jab paida kiya, to bagair Maa Baap ke paida kiya aur jab chaha to duniya me bhej diya, to ALLAH ne ye zahir kar diya ki wo kisi Waseele ka mohtaj nahi hai, wo chahe to bagair waseele bagair maa bap ke bhi kisi ko paida farma sakta hai aur usey khila pila sakta hai. haajat rawai kar sakta hai. lekin fir ALLAH ne H.Adam alaihe salam ke baad se kisi ko bhi wagair waseela, bagair maa baap ke duniya me nahi bheja, balki sabko maa baap ke zariye, sari naslo ko H.Adam alaihe salam ke waseele se duniya ka nizam qayem kar dia, taki duniya wale ye bhi dekh len ki ALLAH ko Waseela hi pasand hai.
Aur fir waseele ka hukm to ALLAH ne Quran me bhi diya hai, to fir waseele ka mutlaq inkar karne wala kafir ho jayega,
.
QURAN KI ROSHNI ME:
.



يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَابْتَغُوا إِلَيْهِ الْوَسِيلَةَ وَجَاهِدُوا فِي سَبِيلِهِ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
(Sureh Maidah 35)
Tarjuma: Aye Eiman walo, ALLAH se daro aur uski taraf waseela talash karo aur uski raah me jihad karo, is umid par ki tum falaah paao.

to yahan ALLAH ne khud hi Waseela dhundne ka hukm diya, to kya Quran me bhi kahin shirk ka hukm ho sakta hai?
to baat saaf hai ki waseela shirk to ho hi nahi sakta.
lekin ab sawal ye aata hai ki akhir kiska waseela dhundne ka hukm diya ja raha hai?

Zahir baat hai ki ALLAh ko waseela usi ka pasand hoga jo chiz ALLAH ki bargah me maqbul hogi.
.
Proof#1:Adaab-e-Dua:
Translation: Har Shaks ko Dua me Ambiya aur Salehin ka Waseela lekar dua mangni chahiye.
(Kitab ke akhir me Imam Ibn Jazri rehmatullah alaihe farmate hain)
Dua puri hone ke baad Insan ko apne chehre par hath pher lena chahiye.
[Al Hisnul Hiseen, Page No. 25]
Scan Page: Photo

Proof 2: HADEES: Ummul Momineen H.Maymuna r.a farmati hain, ek roz Huzur sallallaho alaihe wasallam mere sath so rahe the ki wo adhi raat ko Namaz ke liye Wuzu banane ke liye uthe to Wuzu banate waqt maine unhe kehte hue suna [(Labbayka labbayka labbayka) – is Tarah aapne 3 bar kaha, aur fir kaha (Nusirto Nusirto Nusirta),
Jab aap Sallallaho alaihe wasallam fairgh hue to maine apse pucha "YA RASOOLALLAH, maine apko Wuzu ke dauran 3 bar kehte hue suna ki '' 'Mai Hazir hu' aur fir 3 bar suna ki 'Mai madad karta hu',
Kya aap kisi se baaten kar rahe the? "
to aapne jawab diya ki- Wo Banu Ka'b ka ek rajiz tha, Khuza'a ki ek choti Jamat mujhe madad ke liye pukar rahi thi (yastas.rikhunî
) aur mujse zor dekar keh rahi thi ki Quraysh ne Banu Bakr ko unke Khilaf madad ki hai.
Dusre ne Hudaibiya se jung ke waqt Quraysh se apni dosti kar li thi, aur Banu Khuza'a ne Muhammad sallallaho alaihe wasallam ka sath liya, aur wo unhe bachane ke liye Muqarrar the, Banu Bakr ke liye Quraysh ka sath Khuza'a ke khilaf tha, isliye wahan par Muhammad sallallaho alaihe wasallam ke sath Aarzi Sulah ki Hurmat ho gayi thi.
Ye Ittefaq Fateh Makka ki haunsla Afzai ke liye tha.
Bas isi ke baad wo isme Dakhil hue aur Fateh Hasil kar li.
[al-Mu'jam al-Kabir, Imam Tabarani Volume 023, Page 433-4, Hadith Number 1052]
.
Scan Pages#1: al-Mu'jam al-Kabir, Imam Tabarani 2 photo tawasul11.jpg
.
#2: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul12.jpg
.
Is Hadees se 4 baate pata chalti hain,
1: Nabi sallallaho alaihe wasallam ka Waseela liya gaya.
2: Nabi sallallaho alaihe wasallam ko Door se bhi madad ke liye pukarna jaez hai.
3: Nabi alaihe salam door se hi apne chahne walo ki awaz sun bhi lete hain, aur farmaya ki [(Labbayka labbayka labbayka) – yanhi Hazir bhi ho jate hain,
4: Nabi alaihe salam apne ghar se hi sara muamla dekh rahe the, isiliye H. Maymuna r.a ko sab kuch aise hi bata diya. Yani aap door se dekh bhi sakte hain, sun bhi sakte hain, aur Madad ko Hazir bhi ho sakte hain,
SubhanALLAH.
.
HADEES# 3: Yahya Bin Yahya par tehqiq se Imam Ibn Hajar aur Imam Hakim ka Aqeeda hai ki Awliya ki Qabro par jaakar Waseela lena jaez hai:
Ibn Hajar likhte hain ki Imam Hakim ne kahai ki maine Abu Ali Nishapori se suna tha ki ek bar wo bahot zyada sadme me the, tab unhone Nabi sallallaho alaihe wasallam ka khwab me deedar kiya, aur Nabi sallallaho alaihe wasallam ne hukm farmaya ki Yahya Bin Yahya ki Qabr ke paas jaao, aur istighfar karo aur unke Waseele se madad mango,
Abu Ali Nishapori farmate hain ki maine aisa kiya to meri pareshani door ho gayi.
[Ibn Hajr, Tahdhib ut-Tahdhib Volume 004, Page 398]
.
Scan Page: http:Tahdhib ut-Tahdhib - Ibn Hajr Asqalani photo tawasul6.jpg
.
SubhanALLAH, Nabi sallallaho alaihe wasallam Khud hi Awliya ke waseele ka hukm dete hain,
magar ye Wahabi fir bhi inkar karte hain,
ALLAHU AKBAR,
.
Kya aaj ke Wahabi itne zyada qabil ho gaye hain ki Nabi alaihe salam ke hukm ke khilaf apni baat bolen?
.
HADEES#4: Aliyul Murtaza farmate hain,
Maine Nabi sallallaho alaihe wasallam se suna.
.
"Abdaal, Sham me hote hain,
Ye 40 Mard hain,
inme se jab koi ek marta hai to Khuda uski jaga dusra muqarrar kar deta hai,
Inke Wasile se barish hoti hai,
Inke Wasile se Jang me fateh milti hai,
aur inke Wasile se Sham walo par se Azab dafa kiya jata hai."
(Miskaat,J-1, Baab-Yaman-o-Sham)
Scan Page:Photo
.
WISAL KE BAAD WASEELA LENA JAEZ HAI:
.
HADEES#5: H.Abu Ishaq Ash'ari r.a farmate hain, Madina me hamare sath ek admi rehta tha, jab bhi wo Kisi burai ko dekhta aur usey apne hath se rokne ki quwwat na rakhta, tab wo Huzur sallallaho alaihe wasallam ki Qabr ke paas chala jata aur is tarah kehta ki
"Aye Sahib-e-Qabr, Nabi sallallaho alaihe wasallam, Aye Sahaba, Aye hamare madadgar, hamare halaat ko dekhiye"
[Shua'b ul Iman by Imam Bayhaqi, Publish: Maqtabah ar-Rashad, Riyadh/Saudia
Hadith Number 3879]
Scan Page: Photo
.
HADEES#6: H.Abu Harb Hilali r.a farmate hain, Ek martaba ek Arabi Hajj karne aaya, fir Masjid-e-Nabwi me hazir hua, usne apna oont bahar bandh diya, fir Qabr ke pair ki jabi khada hua aur kaha
"Aye Nabi sallallaho alaihe wasallam, Maine Gunah kiye hain, so mai apki bargah me hazir hua hu taki apko apni Duaao me Waseela bana lu, Kyunki ALLAH ne apni Kitab me farmaya hai ki 'Aur Jab ye log apni Jaano per zulm karen to pehle tumhare Huzur hazir ho, fir Allah se apne liye madad chahen, fir jab Rasool bhi unke liye Maghfirat ki dua farma den, tab ye apne Rabo bada maaf karne wala payenge'
(Quran: 4/64)
[Shuab ul Iman Volume 006, Page No. 60 Hadith Number 3879-80]"
.
Ulama ki bahot badi Jamat is Hadees se Ambiya ke wisal ke baad bhi Waseela ke liye istedlal karti hai.
Scan Page: https://m.ak.fbcdn.net/photos-h.ak/hphotos-ak-prn1/75941_355750887873550_1771261824_n.jpg
.
HADEES 7: SAHABA KA AQIDA, RAUZA-E-RASOOL ALAIHE SALAM PE JAKAR APNI MAGHFIRAT TALAB KARTE HAIN:
.
Al-Quran: } وَمَآ أَرْسَلْنَا مِن رَّسُولٍ إِلاَّ لِيُطَاعَ بِإِذْنِ ٱللَّهِ وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوۤاْ أَنْفُسَهُمْ جَآءُوكَ فَٱسْتَغْفَرُواْ ٱللَّهَ وَٱسْتَغْفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّاباً رَّحِيماً {
(Sureh Nisa, Ayat 64)
.
Tarjuma: Aur humne Rasool na bheja, magar isliye ki ALLAH ke hukm se uski ita'at ki jaye, aur Aye Mehbu, jab ye log apni Jaano par zulm karen(Gunah karen) to pehle apke paas hazir ho, fir apne Rab se maghfirat chahen, fir jab Rasool bhi inke liye maghfirat chahen,
tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge.
.
Is Aayat ke tehet Imam Qurtubi r.a likhte hain:
.
Imam Sadiq r.a farmate hain ki H.Ali r.a ne farmaya:
Nabi alaihe salam ke wisal ke 3 din ke baad, ek dehati aaya, aur Nabi alaihe salam ke Rauze par ja gira, Rauze ki kuch mitti uthai, aur apne sar pe mal liya,
aur kaha:
YA RASOOLALLAH!
Aapne farmaya tha aur humne suna tha ki ALLAH TA'ALA ne apse farmaya ki
'Aur jAb ye log apni jaan par zul karen, to pehle Aye Mehbub, pehle ye tumhare paas ayen, aur fir apne Rab se maghfirat talab karen,
aur fir jab Aap bhi inke liye maafi chahen, tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge.'
.
Aur mai unme se ek hu, maine apni Jaan par zulm kiya, to mai apke paas aaya hu, taki aap mere liye Maghfirat ki dua kijiye,
iske baad Rauza-e-Rasool se ye awaz aayi 'Jaao, beshak tumhari maghfirat kar di gayi.'
[Tafsir al-Qurtubi, al-Jami li Ahkam al-Quran Volume 006, Page No. 439, Under the Verse, 4:64]
.
Scan Page: Photo
Sanad: Abdullah Abdul al Muhsin ne kaha: Is Hadees ke raawi Abu Sadiq kehte hain(ra), kya tumhe pata hai ki Jinka naam Abu Sadiq Hai, wo Al Awazi al Kufi (ra) hain, Abdullah bin Najiz ne kaha: Sadduq (bharosemand), aur ye Hadees Mursil (Jayyid) hai.
.
.
Zara ghaur famaiye, is riwayat se 4 baate waazeh hoti hain,
.
1: Nabi alaihe salam ke wisal ke baad us shaks ne pukara,
''Ya Rasoolallah!''
tab Sahaba ne shirk ka fatwa kyu nahi lagaya?
Iska matlab Wisal ke baad bhi ''YA RASOOLALLAH'' kehna jaez hai.
.
2: Rasoolallah alaihe salam, apne wisal ke baad bhi hamari pukar ko sunte hain, aur agar apki marzi ho, to jawab bhi dete hain,
tabhi to us Dehati ko uski maghfiart ki basharat, Qabr se mili..
.
3: Qabr pe jaakar, waseela lena, aur unse kehna ki ''Aap hamare liye Allah se dua kijiye''
aur Allah ki bargah me isteghasa pesh karna bhi jaez hai.
.
Aur ayat ke tehet ye bhi waazeh ho gaya ki Rasoolullah alaihe salam ke chahne se bando ko maghfirat mil jati hai.
Kyunki Allah ne khud farma diya ki
'Aye Mehbub, jab aap bhi inke liye maghfirat chahen, tab ye apne Rab ko bada maaf karne wala payenge'
.
Sub'hanALLAH.

.
Isi Ayat ki tafseer ko ye tamam Ulama naqal farmate hain:
.
1. Bayhaqi in Shu‘ab-ul-Imaan (Volume no: 3, Page no:495-496, Hadith No#4178)

2. Ibn Qudamah in al-Mughni- (Book : Kitab Al Hajj Chapter : Wa Yustahabbu Ziyarat Qabr An NABI SAW Volume : 5 Page : 465)

3. Ibn ‘Asakir in Tahdhīb tarikh Dimashq al-kabir popularly known as Tarikh/Tahdhib Ibn ‘Asakir as quoted by Imam as-Subki in Shifa’-us-siqam fī ziyaat khayr-il-anam (pp. 46-7).



4. Tafsir al-Bahr al-Muheet by Imam Abu Hayyan al-Andalusi (3/282, Dar al Fikr edition) or Book : Tafseer bahr Al Muheet Volume : 3 Page : 269 Under : Sorat An Nisa Ayat number 64


5. Imam al-Mutaqi al-Hindi in Kanz ul Amaal (1/714 #10422) or Book : Tafseer bahr Al Muheet Volume : 3 Page : 269 Under : Sorat An Nisa Ayat number 64

6. Imam al-Nawawi again in his al-Majmu' (8/202-203)



7. Ibn Hajar Haythami in al-Jawhar-ul-munazzam (p. 51).

Aur bhi Ulama ne naqal kiya,lekin kisi bhi Mufassir ne isey shirk ya bidat nahi kaha.

HADEES 8: Ek shaks kayi bar H.Usman Bin Affan r.a ke paas apni hajat rawai ke liye aata, lekin H.Usman r.a ne uspar tawajjoh nahi diya,
tab wo H.Usman Bin Hunaif r.a ke paas gaya aur maamle ki shikayat ki.
To H.Usman Bin Hunaif r.a ne farmaya:
Jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir Masjid me aakar 2 rakat Namaz ada karo, aur fir is tarah kaho,
''Aye ALLAH! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! Ye Waseela qubul farma''
aur fir apni Haajat pesh karo, aur fir mai tumhare sath H.Usman r.a ke paas chalta hu.
.
To us shaks ne waisa hi kiya, jaisa ki use karne ke liye kaha gaya tha,
fir iske baad wo H.Usman r.a ki bargah me hazir hua, Darwaze wale ne is shaks ka hath pakda aur H.Usman r.a ke paas le jaakar bitha diya,
H.Usman r.a ne pucha, 'Tumhe kya chahiye?'
to us Shaks ne apni Hajat pesh kiya, jo kuch use zarurat thi, tab H.Usman r.a ne use ata farma diya.
.
Is Hadees ko Imam Munziri r.a ne SALAT-UL-HAJAT me naqal farmaya hai, aur kaha ki Imam Tabrani ne is Hadees ki Sanad ko SAHIH kaha hai.
Scan Page:  Photo
[At-Targheeb wa Tarheeb, Page No. 129 in the chapter of Salaatal Haajat]
Isnaad: Tabarani related this in al-Mu‘jam-ul-kabir (9:31#8311)
and al-Mu‘jam-us-saghir (1:183-4). there were other scholars and traditionists who narrated this hadith such as
al-Bayhaqi, Dala’il-un-nubuwwah (6:167-8);
Mundhiri, at-Targhib wat-tarhib (1:474-6);
Subki , Shifa’-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam (p.125);
Haythami, Majma‘-uz-zawa’id (2:279);
and Suyuti in al-Khasa’is-ul-kubra (2:201-2).
Mundhiri graded it sahih (sound).
Scan Page: http://i934.photobucket.com/albums/ad190/choopa/2-3.jpg
.
Isi Hadees ko Imam Bayhaqi ne apni Dalailun Nabuwwa me naqal kiya.
[Dala’il un Nubuwwah Volume 006, Page No 167-8, Front Cover, Dala’il un Nubuwwah, Published by Dar al-Kutub al-Ilmiyah, Beirut, Lebanon]
Scan Pages#1: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul19.jpg
#2: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul20.jpg
.
HADEES 9: WISAAL KE BAAD AMBIYA KI QABR SE FAIDA MILTA HAI:
H.AYESHA SIDDIQA R.A KA AQEEDA:
.
Abu-Al-Jawaza Aws Bin Abdullah r.a se Imam Darimi riwayat karte hain ki, Madina ke log ek bar sukha padne ki waja se pareshan ho gaye,
wo H.Ayesha Siddiqa r.a ke pas apni shikayat lekar pahuche,
Aapne farmaya ki Rasoolullah alaihe salam ki Qabr ke paas jaao, aur unke Rauze aur asman ke darmiyan upar ek khdiki khol do, taki Rauza-e-Aqdas aur Asman ke darmiyan koi parda na reh jaye,
raawi farmate hain ki humne aisa kiya to bahot zor se barish shuru ho gayi, hari bhari ghaas nikal aayin, aur hamare oont mote ho gaye, ki lagta tha zyada khane ki waja se phoot padenge.
So is saal ka naam Hariyali wala saal rakha gaya.
(Sunan Darimi Volume 001, Page 227, HadithNumber 093)
Scan Page: Photo
Isnaad: Muhammad bin ‘Alawi al-Maliki farmate hain ki iske raawi achhe hain, so iski Sanas Saheeh hai,aur iske tamam istedlal bharosemand hain.
.
[Shifa’-ul-fu’a d bi-ziyarat khayr--il-‘ibad Page No.153]
c. Ibn-ul-Jawzī in al-Wafā’ bi-ahwāl-il-mus tafā (2:801)
d. Subkī in Shifā’-us-siqām fī ziyārat khayr-il-anām (p.128)
e. Qastallānī in al-Mawāhib-ul-l aduniyyah (4:276);
and Zurqānī in his Commentary(11:1 50)
.
Chain: Abu Numan ne Said Bin Zayd se, unhone Amr Bin Malik an Nukri se aur unhone Abu Al Jawza Aws Bin Abdullah se suna, unse ye riwayat kiya gaya.
.
AHLEHADEESO KE GURU QAZI SHAWKANI LIKHTE HAIN:
.
HADEES 11: H.Usman Bin Hunaif r.a se riwayat hai,ki ek Naa-beena(Andha ) shaks Nabi sallallaho alaihe wasallam ki bargah m hazir hua aur bola,
'Aap mere liye dua kijiye ki ALLAH mujhe shifa ata farmaye,'
to Aap alaihe salam ne farmaya:
'Agar tum sabr karo, to ye tumhare liye zyada behtar hoga, aur agar tum chaho to mai tumhare liye dua karu'
.
To usne kaha 'Aap Dua kijiye,'
Aap alaihe salam ne farmaya:
jaao, achhi tarah wuzu karo, aur fir 2 Rakat namaz padho, aur fir is tarah Dua karo,
"Allahumma lnni as'aluka wa atawajjahu ilaikabimuhamma din nabiyyir-rahma. Ya
Muhammadu inni qad tawajjahtu bika ila rabbi fi hajati hadhihi lituqda.
Allahumma fashaffi’hu fiya.
Tarjuma: Aye ALLAH! mai tujhse sawal karta hu, aur teri taraf rukh karta hu, aur Muahmmed allallaho alaihe wasallam Nabi-e-Rehmat ke waseele se tujhse dua karta hu, Aye Mohammed sallallaho alaihe wasallam, Maine apni hajat ke liye apke Waseele se ALLAH ki taraf rukh kiya, aye ALLAH! Ye Waseela qubul farma'
(Tuhfatuz Zakireen, Pg.138. By Qazi Shawkani)
.Scan Page: Photo

Isi Kitab me Aage likhte hain.

HADEES 12:
.
الحديث أخرجه البزار كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث ابن مسعود رضي الله عنه قال قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا انفلتت دابة أحدكم بأرض فلاة فليناد يا عباد الله احبسوا فإن الله حاضر في الأرض سيحبسه وأخرجه أيضا من حديثه أبو يعلى الموصلي والطبراني وابن السني قال في مجمع الزوائد وفيه معروف بن حسان وهو ضعيف قال النووي في الأذكار بعد أن روى هذا الحديث عنكتاب ابن السني قلت وحكى لي بعض شيوخنا الكبار في العلم أنها انفلتت دابته أظنها بغلة وكان يعرف هذا الحديث فقاله فحبسها الله عليه في الحال وكنت أنا مرة مع جماعة فانفلتت معنا بهيمة فعجزوا عنها فقلته فوقفت في الحال بغير سبب وإن أراد عونا فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا يا عباد الله أعينوا ط الحديث أخرجه الطبراني في الكبير كما قال المصنف رحمه الله وهو من حديث عتبة بن غزوان عن النبي صلى الله عليه وسلم قال إذا ضل على أحدكم شيء وأراد أحدكم عونا وهو بأرض فلاة ليس بهاأحد فليقل يا عباد الله أعينوا يا عباد اللهأعينوا يا عباد الله أعينوا فإن لله عباد لايراهم قال في مجمع الزوائد ورجاله وثقوا على ضعف في بعضهم إلا أن زيد بن علي لم يدرك عتبة وأخرج البزار من حديث ابن عباس رضي الله عنهما أن رسول الله صلى الله عليه وسلمقال إن لله ملائكة في الأرض سوى الحفظة يكتبون ما سقط من ورق الشجر فإذا أصاب أحدكمشيء بأرض فلاة فليناد أعينوني يا عباد الله قال في مجمع الزوائد رجاله ثقات وفي الحديث دليل على جواز الاستعانة بمن لا يراهم الإنسان من عباد الله من الملائكة وصالحي الجن وليس في ذلك بأس كما يجوز للإنسان أن يستعين ببني آدم إذا عثرت دابته أو انفلتت
.
Translation: Aur agar log kisi veeran jaga par ho, aur Madad ki zarurat ho to is Tarah pukare ki "Aye ALLAH ke bando meri madad kijiye"
to Allah ke chhupe hue bande jo nazar nahi aate, wo madad karte hain.
(Tuhfatuz Zakirin, Pg.38. By Qazi Shawkani)
.
Scan Pages: 1.Photo
.
2.Photo

Al-Bazzar ne H.Ibne Abbas r.a se riwayat kiya ki Nabi alaihesalam ne farmaya:
beshak is zameen per ALLAH ke kuch aise nek Bande Chhupe hue hote hain jo har chiz ka moaina karte rehte hain. Yahan tak ki ped se ek patti gire.
To Jab kabhi tum me se kisi ko koi taklif pesh aye,.
To is tarah Pukare "AYE ALLAH KE BANDO AAIYE AUR MERI MADAD KIJIYE".
.
Majmauz Zawaid me kaha gaya ki is Hadee ke sare Raawi Siqah hain, yani bharose mand hain.
Aur ye Hadees Istiaana ke liye Dalil hai. Yani Allah ke kuch bande jinhe hamari aankhe dekh nahi sakti, lekin wo sabkuch dekhte hai,
unse madad mangne ki dalil hai.
Scan Page: https://m.ak.fbcdn.net/photos-h.ak/hphotos-ak-prn1/61724_347057332076239_2069120326_n.jpg
.
SAHABA KA AQEEDA:
.
HADEES 13: Dawood bin Abu Salih se riwayat hai, ek din Marwan aaya aur usne dekha ki ek shaks Rauza-e-Qadas ke paas baitha hua hai aur usne apne muh ko Qabr-e-Anwar se laga diya hai. Ye dekhkar Marwan ne usse kaha
"Tumhe pata hai ye tum kya kar rahe ho??"
ye sunkar jab wo Shaks palte to dekha ki wo Sahabi-e-Rasol H.Abu Ayyub Ansari r.a the, aur unhone jawab diya
"Haan, mai janta hu, aur mai yahan ALLAH ke Rasool alaihe salam ke paas aaya hu, kisi patthar ke paas nahi aaya. Maine Rasool sallallaho alaihe wasallam ko kehte hue suna ki Mazhab par mat rona jabki iske Rehbar Qabil ho, haan Mazhab par aansu bahana jabki iske rehbar qabil na ho."
[Ahmad bin Hambal with a sound chain of transmissionin his Musnad Volume 017, Page No. 42-43,Hadith Number 23476,
Front Cover Musnad Ahmad bin Hambal, Publish: Dar al-Hadith al-Qahira Misr]
.
Scan Pages#1:3 photo tawasul30.jpg
#2:http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul29.jpg
.
Is Hadees ko Khud Imam Ahmed Bin Hanbal ne Sahi sanad ke sath bayan kiya., aur Imam Hakim ne kaha ki Bukhari aur Muslim ki sharto ke mutabiq is Hadees ki tamam Isnaad sahi hain.
Aur Imam Zahbi ne bhi iski Sanad Sahi bayan kiya hai.
.
SubhanALLAH,
1: Is Hadees se Sahaba ka Aqeeda bhi pata chalta hai ki Rasoolullah alaihe salam ki Qabr ke paas Jane ka matlab wo Rasoolullah ke qarib jana hi samajhte hain,
2: H.Abu Ayyub Ansari r.a ne apne muh ko Rauza-e-Aqdas se laga diya tha, yani bosa liya,
3: Qabr-e-Anwar ki Misal kisi patthar ya murti/butt se nahi diya ja sakta, yehi Sahaba ka Aqeeda hai.
.
HADEES14: IMAM BUKHARI KE USTAD IMAM IBN ABI SHAYBA ON TAWASSUL/WASEELA:
.
~~~~~~~~~~~~BILAAL (Radiallahu Ta’ala Anhu) KA KHWAAB~~~~~~~~~~~~
HADEES: Malik Ad-Dar se riwayat hai, Hazrat Umar (Radiallahu Ta’ala Anhu) Ke Ahade Khilafat Me Ek Martaba Kahat Pad Gaya To Hazrat Bilal Bin Haaris Mazni (Radiallahu Ta’ala Anhu) Roza-e-Anwar Par Hazir Huwe Aur Arz Kiye:
YA RASULALLAH!
Aapki Ummat Halaak Ho Rahi Hai, Baarish Nahi Hoti.
Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Unhe Khwaab Me Mile Aur Farmaya:
Ae Bilaal!
Umar Ke Pass Jao.
Use Mera Salam Kaho Aur Kah Do Ki Baarish Ho Jayengi.
Umar Se Yah Bhi Kehna Ki Kuch Narmi Ikhteyaar Kare.(Yaha Huzoor sallallaho alaihe wasallam Ne Isliye Farmaya Ki Hazrat Umar Faaruq (Radiallahu Ta’ala Anhu) Deen Ke Mamle Me Bade Sakht The).
Hazrat Bilal (Radiallahu Ta’ala Anhu) Umar (Radiallahu Ta’ala Anhu) Ki Khidmat Me Haazir
Huwe Aur Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ka Salam Wa Paigaam Pahucha Diya.
Hazrat Umar (Radiallahu Ta’ala Anhu) Yah Salam Aur Paigame Mehboob Paakar Roye aur kaha ''Aye ALLAH, mai apni puri koshish karta hu, jab tak ki mai thak na jaaun''
Aur Fir Barish Khuub Huwi. ~~~~~~
Scan Page: http: 2 photo tawasul22.jpg
.
[al-Musannaf Ibn Abi Shaybah Volume 011,Page No. 118, Hadith Number 32538, Publish by Maqtabah ar-Rashid, Riyadh, Saudia Arabia]
.
1:Ibne Hajr rh.a-Fat'hul Bari 2/269, 2/495,496
2:Imam Baihqi rh.a- Dala'il al Nubuwwah 6/141
3:Ibne Kasir rh.a- Al badaya wa al nihaya 6/90-91, 5/167
4: Hz ibne abd al barr rh.a- Alist'ab2/464
5: ibne kasir rh.a- jamial msanid 1/223
6: Qastlani rh.a- al Mawahib ul ladunya 4/276
7: Hz munziri rh.a- al targhib 2/41-42
8: Hz Haishmi rh.a- Majmae zawaid 3/125
9: musannif ibne abi shaiba 12/31-32 # 31380
10: Hz ibne hajar rh.a - al isaba Fe tamyiz al sahaba 3/484
11: Hz ibne taimya rh.a- fi iqtida as siratil mustaqim 1/373
12: Hz subki rh.a- shifa al siqam 1/130
.
Is hadis ko IBNE TAIMIYA  ne bagair kisi jarah ke aur bagair kisi tardeed ke APNI KITAB IQTIDAUSSIRAATIL MUSTAQEEM me bhi naql kiya he..ab unpe kya fatwa he????
.
Chand mohaddisin rh.a k naam jinhone sanad ko sahih kaha he
1: imam ibne abi shaiba rh.a musannif ibne abi shaiba 12/31-32 # 31380
2: Imam ibne taimya .a Iqtida al sirat il mustaqim #373
3: Imam ibne kasir rh.a Al badaya wa al nihaya 5/167
4: Imam Ibne hajr rh.a Fathul bari 2/495, Al Isbah fi tamyiz al sahaba 3/484
5: Qastlani rh.a Al mawahibul laduniya 4/276
6: Imam Zurqani rh.a commentary 11/150-151
7: Imam Jireh o tadil Zahbi rh.a Mizanul itidal 2/224 me Hz Imam Amash rh.a k bare me frmate he,'' jb wo apne bado misl Ibraheem rh.a, ibne abuwali rh.a, ABI SU'ALEH rh.a, samman rh.a se riwayat kare to hadis muttasil he aur wo siqah he''
aur un tamam muhaddiseen par bhi kya fatwa he jinhone is hadis ko saheeh qarar diya he..!
.
Imam Zahbi R.A apni Kitab TAJRIDAL ASMAA ASSAHABAH jisme unhone sahaba k naam jama kiye he uski JILD:2 PG:51 par MALIK BIN AYAZ (AD DAAR) ka zikr karke farmate he ke unse ABU SALIH SAMMAAN ne rivayat kiya he. (abu salih bukhari k ravi he)
aur isi tarah IMAM TAQIYUDDEEN IBNE FAD AL MAKKI R.A ne bhi apni kitab MUKHTASAR ASMA AS-SAHABA pg:85 par sarahat ki he k MALIK ADDAAR se ABU SALIH SAMMAN ne rivayat ki he...!!
isi tarah IBNE HAJAR ra.likhte he..
"MALIK BIN AYAAZ jise MALIK ALDAAR bhi kaha jaata he unhone nabi s.w ko dekha he .....fir age farmate he....unse ABU SALIH SAMMAAN aur unke (malik aldaar)k 2beto ne rivayat kiya he..!!
dosto ye hadis saaf aur muhaddiseen ki tasreehaat k mutabiq bilkul saheeh he...ab bila waja ispar beja etrazat karna jahalat nahi to aur kya he..????
.
.
Sabit Hua ki Wisal ke baad bhi YA-RASOOL'ALLAH Kehna Sahaba ka Tariqa Hai Or Yehi AHL-E-SUNNAT ka Shi'aar Hai.
.
Malum Huwa Ki Wisaal Shareef Ke Baad Bhi Sahabaye Kiram Mushkil Ke Waqt Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ki Khidmat Me Haazir Hote The.
Har Mushkil Yahi Se Haal Hoti Thi.
Yah Bhi Malum Huwa Ki Hazrat Umar (Radiallahu Ta’ala Anhu) Ki Badi Shaan Thi.
Aap Khalifaye Barhaq The.Is Qadar Khushkismat Hai Ki Wisaal Shareef Ke Baad Bhi Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ke Salam Wa Paigaam Musharaf Hote The.Phir Jise Faruqe Aazam Se Adawat Hongi Wah Huzoor (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) Ko Kyu Na Buri Lagega?
..
IBN TAYMIYYA KA AQEEDA:
. AhleHadeeso ke Sheikh-ul-Hadees Ibn Taymiyya likhte hain:

.HADEES#15: H.Umar Faruq r.a se riwayat hai ki Nabi sallallaho alaihe wasallam ne farmaya,
Jab Aadam alaihe salam se ek khata sarzad ho gayi aur fir unhone ALLAH se is tarah dua ki,
''Aye Allah, mai Muahammed sallallaho alaihewasallam ke waseele se tujhse dua mangta hu, mujhe maaf kar de,''
to Allah Taala ne pucha, 'Tumne Muhammed sallallaho alaihe wasallam ko kaise jaana?'
to H.Aadam alaihe salam ne farmaya: Jab tune mujhe banaya tha tab maine apna sar upar ki taraf uthaya to dekha ki Arsh likha tha,
'LA ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOLULLAH'
tab mai samajh gaya ki inka maqam bahot Aalaha hai,
warna tumne ye naam apne naam ke sath nahi likha hota,
ALLAH TAALA ne farmaya:
''Maine tumhe bakhsh diya, aur wo tumhari hi aulado me se mere Akhri Rasool honge, aur maine unhi ke sadqe tumhe paida farmaya hai.''
.
Dusri Riwayat me hai ki
Jab ALLAH TAALA ne asman-o-zameen ko paida farmaya to
Arsh ke khambo per, Jannat ke darwazo per, Darakhto ki pattiyo par likha tha ki MUHAMMED sallallaho alaihe wasallam akhri Rasool hain,
.
Ye dono Riwayaten Saheeh hain,
[ Fatawa Ibn Taymiyya , vol. 2, page 150; also Ta'rikh Ibn Kathir , chapter on 'Story of Adam']
[Tabarani Mu'jam Al-Ausat Volume 006, Page No. 313-314, Hadith Number 6502]
Scan Page#1: 2-Tabarani Mu'jam al-Ausat photo tawasul38.jpg
#2: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul39.jpg
.
Imam Bulqini also declares this tradition “sound” in his Fatawa. Imam Subki confirms Hakim's authentication in [Shifa-us-siqam fi ziyarat khayr-il-anam Page No. 120-1]
Hafiz Ibn Taymiyya, ke balawa bhi is riwayat ko Dusre Muhaddesin Hafiz Imam Suyuti, al-Bayhaqi aur Tabrani, ne bhi Saheeh sanad ke sath naqal farmaya hai
.
PROOF#16: GHAZALI KA AQEEDA, QABR WALO SE MADAD MANGNA JAEZ HAI:
.
Imam Ghazali r.a farmate hain,
Jab bhi koi shaks kisi musibat me ho, to wo Qabr walo se madad mange, jo Ruhani taqat wale hote hain,
aur isme koi Shak nahi ki unki Qabr ki ziyarat se ruhani madad milti hai,
aur faiz hasil hota hai. Aur bahot bar jab unka Waseela ALLAH ki bargah me pesh kiya jata hai, to Musibato ko khatm kar diya jata hai.
[Tafsir Ruh ul Ma’ani, Volume 30]
.
SubhanALLAH,
Itne bade bade Aimma ne bhi tamam Hadeeso ka muta'ala karne ke baad, Quran ki tamam Aayato per tehqiq karne ke baad yehi masla nikala ki Allah ke nek Bando/Auliya ki qabr se hum sabko madad bhi milti hai, aur faida bhi milta hai.
.
Scan Page: Photo
Kaun Wahabi hai jo ab Imam Ghazali par bhi fatwa lagayega??

.
PROOF#17: MUJADDID OF 7TH CENTURY IMAM IBN AL-HAAJ ON TAWASSUL/WASEELA:
.
Imam Ibn Al-Haaj r.a ne Ziyarat-e-Auliya ke talluq se ek mukammal chapter likha hai, isme likhte hain, Mutallim(Students) ko Auliya aur Saliheen ki Ziyarat-e-Karte rehna chahiye, ki inki ziyarat se Dilo ko zindagi milti hai, logo ke dil khil jate hain, jaise ki Barish se zameen khil jati hai. Inki duayen Allah ki bargah me hamesha maqbul hoti hai, Allah inki duayen aur niyaten kabhi radd nahi karta, aur jo log inki mehfilo me shirkat karte hain aur jo llog inse Muhabbat karte hain, wo isliye ki ALLAH aur RASOOL ke baad ye Auliya rhmat hain. Jo har insan ke liye hain,
to jis kisi me ye khobiya ho to jaldi hi aise shaks se faizyab ho, aur unse barkat hasil karen, jo inse mulaqat karte hain wo Behtarin Ilm aur zehniyat hasil karte hain jise samjhaya nahi ja sakta. Isi maane ke tehet aapne kuch logo ko Ilm aur wajd me Bakhoobi dekha hoga, jo bhi in tabarrukat ki tazim karta hai, wo kabhi inki barkat aur rehmat se door nahi hota. Lekin shart ye hai ki jo inse faizyab hona chahe, wo Sunnato ka paband ho, aur uske amal se sabit ho.
[Imam Abu Abdullah Ibn al-Haaj al-Maliki, Al-Madkhal Volume 002, Page No. 139, Publish: Dar-al-Turath, Qahira]
.
Scan Page: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul14.jpg
,
IMAM IBN HIBBAN KA AQEEDA:
.
PROOF#18: Al-Raza ki qabr par jane aur unke Tawassul ke bare me Imam Ibn Hibban likhte hain ki jab bhi mai kisi Musibat me hota to Ali Bin Musa r.a ki Qabr pe chala jata aur unke waseele se dua karta ALLAH unke Dada per rehem farmaye, aur ALLAH se kehta ki meri pareshani ko door kar de. Is chiz ko maine aksar kiya aur ye asardar paya ” (مات على بن موسى الرضا بطوسمن شربة سقاه إياها المأمون فمات من ساعته وذلك في يوم السبت آخر يوم سنة ثلاث ومائتينوقبره بسناباذ خارج النوقان مشهور يزار بجنب قبر الرشيد، قد زرته مرارا كثيرة وما حلت بي شدة في وقت مقامى بطوس فزرت قبر على بن موسى الرضا صلوات الله على جده وعليه ودعوت الله إزالتها عنى إلا أستجيب لي وزالت عنى تلك الشدة وهذا شيء جربته مرارا فوجدته كذلك أماتنا الله على محبة المصطفى وأهل بيته صلى الله عليه وعليهم أجمعين)
[Ibn Hibban, Kitab uth-Thiqat Volume 008, Page No. 456-7 #14411, PublishBy al-Kutub al-Thamafiyah, Haydarabad Deccan, India]
.
Scan Page: http://i462.photobucket.com/albums/qq349/Riz1112/tawasul4.jpg

No comments:

Post a Comment