Mere NABI ﷺ Ka Power - Ikhtiyar e Mustafa ﷺ
✔Hadees No. 1
" Aqba Ibne Aamir se marawi hai ki Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki main Apne Houz ko is waqt Dekh raha hu, aur Mujh ko tamam Roo e Zameen ke Khazano ki Kunjiya Di Gai Hai "
✏ Sahih Bukhari ji. 1 Safa 179
✏Sahih Muslim JI. 2 safa 250
↪Is Hadees Shareef me Huzoor ﷺ ne Houze Kouser ko Apna Houz Farmaya goya aap iske Malik hai aur saari Roo e Zameen ke khazano ki kunjiya Khuda e Ta'ala ne aap ko ata farmayi hai yaani Aap dono jahan me Malik wa Mukhtar hai .
Dono Aalam ke Khazane Kar Diye Haq Ne Ataa
Do jahan ke Maaliko Mukhtar Par Lakhon Salaam
✔Hadees No. 2
" Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنه Ne Logo ko khitab karte hue farmaya ki Huzoorﷺ ko maine ye farmate hue suna hai ki Allah Ta'ala Jis se bhalai ka irada farmata hai usko deen me samajh Ataa farmata bai aur Beshaq Main Bantne Wala hu aur Allah Ta'ala Dene wala"
✏ Sahih Bukhari jild 1 Safa 16
↪ Is Hadees shareef ko padh kar khub Roshan ho gaya ki jo kuch jis ko Allah Ta'ala Ataa Farmata hai wo Sab Huzoor ﷺ Taqseem farmate hai aur wo aap ki chokhat se milta hai.
👉Jo log Huzoor ﷺ ki shaan ghatate, unhone is Hadees me ye baat paida ki hai ki choonki Ye Hadees Ilm ke bayan me hai isse Maloom hota hai ki Huzoor ﷺ sirf Ilm Bantte hai aur Kuch Nahi. To Aise logo se ye Maloom kiya jaye ki kya Woh ye kahne ki Zurrat karenge ki Khuda E Ta'ala bhi Mazz'Allah Sirf Ilm Ata Farmane Par Qudrat Rakhta hai aur kisi par nahi. Kyunki is Hadees me Huzoor ﷺ Ko Bantne Wala aur Allah Ta'ala ko ataa farmane wala kaha gaya hai to agar Huzoor ﷺ ko bantne me sirf Ilm Par ikhtiyar hai to Allah Ta'ala.ko bhi Maaz'Allah Sirf Ilm dene Wala Kahna padega .
MAAZ'ALLAHI RABBUL AALAMEEN.
✔Hadees Shareef ke mana yahi hai ki jo kuch jis kisi ko Allah Ta'ala ataa farmata hai is sab ke taqseem karne wale ﷺ hai aur aap Ata-E-Ilahi ka waseela hai .↪Bukhari shareef hi me dusri jagah isi mafhoom wali ek hadees is tarah marwi hai Rasoolullahﷺ ne irshad farmaya , "Main bantne wala hu , Khazanchi Hu aur Allah ta'ala Ataa Farmane Wala hai "
✏ Bukhari Jild 1 safa 439
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat-ti Hai Qaunain me Ne'amat Rasoolullah ﷺ ki
✔ Hadees No. 3
Hazrate Abu Moosa Ash'ari رضي الله عنه se Riwayat hai ki Abu Talib Maldaar Quraish ke Humraah mulqe Shaam ki taraf chale Nabi-E-Kareem ﷺ bhi Aap ke sath the . Jab raahib ke paas Pahoche to Abu Talib Utare aur logo ne bhi Apne Kajawe Khol Diye . Rahib unki taraf Aaya aur Halanki Isse pahle wo log is Raste Se guzarte the lekin wo Inke Paas Nahi aata tha aur Na Inki taraf Mutawajjeh Hota tha .Rawi kahte hai ki log Abhi kajawe Khol hi rahe the ki Inke Darmiyan chalne Laga yahan tak ki Rasoolullah ﷺ ke kareeb aaya aur Huzoor ﷺ ka daste Mubarak Pakad kar kahne laga ki Ye Saari Kaynaat ke Sardar hai . Ye Rabbul Aalameen ke Rasool Hai Inko Khuda-E-Ta'ala ne saari Makhlooq ke liye Rahmat banaya hai. Rausaa e Quraish ne pucha Tumne ye Baate kaise jaani woh bola Jab tum Is Ghaati se Samne Aa Rahe The to Maine Dekha Ki Har Ped Aur Patthar Inko Sajdah Kar Raha tha .(▶Kajawe = oont ke pith pe lakdi ke aisa bana huwa hissa hota hai jis pe sawar aasani se baith jaye use kajawa kahte hain )
✏ Tirmizi Jild 2 Safa 202
✏ Mishqaat Safa 540.
Suraj Ulte Panv Palte Chand Ishare Se Ho chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasoolullah ﷺKi
✔ Hadees No. 4
" Hazrate Ali رضي الله عنه Se Marwi hai ki Main Makke Me Huzoor ﷺ ke humraah tha to Hum aiteraf Shahar ki taraf Nikle to Maine Dekha ki jo darakht aur pahad Huzoorﷺ ke saamne aata hai wo kahta ( Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasoolullah ﷺ , Aye Allah Ke Rasool Aap par Salaam ho )
✏ Tirmizi Jild 2 Safa 203
↪Is Hadees Se Maloom hua ki Rasoolullah ﷺ Saari kaynat ke Sardar wa maliko mukhtar hai yahan Tak ki bejaan makhlooq Patthar aur ped wagairah Aap ko Mante pahchante aur salaam karte hai Kyun ki Sab Par Aap ki Baadshahat hai ..
Sarwar Kahu ke Maliko Moula Kahu Tujhe
Baage Khaleel ka Gule Zeba Kahu Tujhe
✔ Hadees No. 5
" Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه Farmate Hai ki Maine Rasoolullah ﷺ ki khidmat me Arz kiya ki main Aap se Bahot Saari Hadeese Sunta hu lekin Bhool jata hu Aap ﷺ Ne Farmaya Apni Chadar Failao .. Maine Apni Chadar Bicha di .Aap ﷺ ne dono hatho se Lap Bana Kar Chadar me kuch Daal diya Aur Farmaya is ko lapet lo. Maine Chadar ko lapet liya aur iske baad Main kabhi Koi baat nahi bhoola "
✏ Bukhari Jild 1 Safa 22
Is Hadees Ko Dekhiye Kaise Roohani Ikhtiyarat hai . Aur Kaisi Khudada Qudrat(khuda ki janib se atayi qudrat) hai. Huzoor ﷺ khali chadar me ba zahir khali lap daalte hai aur kaisi be-misaal yaad-dasht ataa kar Farmate hai Aur Huzoor ﷺ ki ataa wa bakhshish ka nateeja hai ki Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se jitni Ahadees Riwayat ki Gai Hai wo aur kisi Sahabi se nahi.
✔Hadees No. 6
Hazrate Abu Huraira رضي الله عنه se Marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya Ki Main Qayamat ke din saare Insano ka Sardar Rahunga.
✏ Bukhari Safa 470
✏ Muslim Jild 1 Safa 111
Is Hadees Shareef Se maloom hua ki Huzoor ﷺ ki Hukumat wa Badshahat wa Sardari aur Saltanat sirf duniya me hi nahi Balki Qayamat ke din bhi Aap Hi ka sikka Chalega Isiliye Aap ko Sarkare Do Aalam Aur Sarware Kounain kaha jata hai .
Mere Raza Ne Khatme Sukhan Ispe Kar diya
Khaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahu Tujhe
✔Hadees No. 7
"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya Baroze Qayamat sab se pehle Main Niklunga jab Log wafd(chota ka qafla) banege to Main Aage rahunga. Jab Log Khamosh honge to Main hi khitaab karunga . Jab log roke jayenge to Main hi Shafa'at Karunga . Jab log Mayoos honge to Main unhe khushkhabari Sunaunga. Izzat dena mere Ikhtiyar me hoga aur khair ki Saari kunjiya mere hath me hongi .
Mishkat Safa 514
➡ Is Hadees me Huzoor ﷺ ka ye farmana ki Izzat wa karamat ki Saari kunjiya mere hath me hongi ye bata raha hai ki Baroze Qayamat Mukhtare kul honge aur Aap ko Saare Ikhtiyarat Hasil honge kyun ki Kunjiya Mukhtaar ke paas hoti hai majbur ke paas nahi .
✔Hadees No. 8
Hazrate Abdullah Ibne Ateeq farmate رضي الله عنه hai ki fir maine Rasoolullah ﷺ se ( Abu Raafe Yahudi ko Qatl Karne aur pair Tutne ka kissa bayan kiya ) to Huzoor ﷺ ne irshad Farmaya apna toota hua pair bichao to Huzoor ﷺ ne is par Hath fera to wo jaisa pahle tha bilkul waisa hi ho gaya jaise usme kabhi kuch kami aayi hi na thi .
Bukhari Jild 2 Safa 577
Miskat safa 532
Jahan Baani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De
Nabi Mukhtare kul Hai Jisko Jo Chahe Ata Kar De
✔Hadees No. 9
▶Hazrate Jaabir رضي الله عنه Farmate hai ki mere walid fout ho gaye aur Unke upar qarz tha to main ne Nabi-e-Kareem ﷺ ki Khidmat me Hazir hokar Arz ki mere Walid ne qarza choda hai aur mere paas dene ke liye Siwa Khujuron ke darakhton ke kuch nahi hai Aur inki paidawaar se kayi saal me qarz pura na hoga. Aap mere sath tashreef le chale take qarz khwah sakhti wa bad goi se pesh na aaye. Fir Huzoor ﷺ Khujuron ke dher ke ird gird phire aur Dua ki aur Dusre dher ke ird gird phire phir aap Ek dher par baith gaye aur farmaya qarz khwahon ko naap kar dete jao Yahan tak ki sab qarz khwahon ka sara qarz ada ho gaya aur utni hi khujure bach bhi gai .
Bukhari sharif safa 506,580,322
✔Hadees No. 10
▶Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Farmate hain Ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki main Baroze Qayamat sab Insano ka Sardar Rahunga aur sabse awwal Qabre Anwar se Bahar tashreef launga aur sab se pehle Shafa'at farmane wala aur Pehla Shafa'at qubool kiya hua main hi hu
Tirmiji Jild 2 abwabul manakib safa 202
Ibne maaja Baab Zikrush-shafa'at Safa 329
➡Is Hadees Ki Sharah me Imame Azal Nauwi Farmate hai Huzoor ﷺ Duniya wa Aakhirat dono jahan me Saare Insano ke sardar hai Lekin Hadees me sirf Qayamat ka zikr isliye hai ki Qayamat ke din Aap ki Sardari wa Badshahat sab par zaahir farma di jayegi aur koi Inkari na rahega...
Faqat Itna Sabab Hai Bazme In''eqad E Mehshar Ka
Ke Unki Shaane Mahboobi Dikhayi Jaane Waali Hai
✔Hadees No. 11
"Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Sayyeda Zainab se Nikah ke Nausha the to meri Walida Umme Sulaim ne Khajoor , Ghee aur Paneer ka Halwa banaya aur Ek Bartan me Kar ke Mujhse kaha ki Anas isko Huzoor ﷺ ki khidmat me le jao aur Arz karo Yaa Rasoolullah ﷺ ye meri maa ne aap ki khidmat me thoda sa Hadiya bheja hai aur Unhone Aap ko Salam arz kiya hai chunanche main gaya aur maine ye arz ki . Huzoor ﷺ ne irshad Farmaya ise Rakh do aur jao . Hamare paas fala(n) fala(n) ko Bula lao, JIska Huzoor ﷺ ne naam liya aur unhe bhi jo tumko mile yahan tak ki jab main wapas lauta to Huzoor ﷺ ka ghar bhar chuka tha. Hazrat e Anas رضي الله عنه sa pucha gaya ki kitni taadad thi to unhone farmaya takreeban 300 log the . Fir maine Huzoor ﷺ ko dekha Aap ne Halwe par Dast E Paak Rakh kar kuch padha jo Allah Ta'ala Ne chaha , Fir Huzoor ﷺ Das-Das ko bulane lage wo isme se khane lage. Huzoor ﷺ Inse farmate the Allah Ta'ala ka naam lo aur har shaksh apne samne se khaye. Jab sab ne kha liya to Huzoor ﷺ ne mujhse farmaya Aye Anas isko uthao . Jab maine dekha to Mujhko maloom nahi ki jab Rakha tha tab Zyada tha ya jab uthaya tab zyada tha..
Bukhari Jild 2 Kitabun Nikah
Mishkat Baab fil Mo'jezaat Safa 538
Muslim Jild 1 Safa 461
➡ Is Hadees Shareef me Huzoor ﷺ ne Halwe ko Samne Rakh kar Kuch padha aur zaahir si baat hai Allah Ta'ala ki Hamd'o Sana hi Padhi hogi. Aur Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Wale Bhi To Khana Samne Rakhkar ALLAH PAAK Ka kalam Padhte Hain, Fir Ye Wahabi Ahl E Khabees Bad Aqeeda Kyu Humpe Bid'at Aur Shirk Ka Fatwa Lagate Hain ???
➡ Aur Is Hadith Se Ye Bhi Pata Chalta Hai Ki Khane Par kalaam, Yani Fatiha Padhne Se Usme Barkat Ho Jati Hai
Khaate Hai Sunni Halwa Sarkaar Ke Karam Se
Dekho to Najdiyo(n) ko Kawwo pe Pyaar Aaye..
✔Hadees No. 12
Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه Farmate hai Fir Huzoor ﷺ ne jab mere dil me Paida hone wale waswase Jaan liye to mere Seene par Daste Aqdas maara jis se main paseena paseena ho gaya aur haalat ye thi goya ko Main Khuda E Ta'ala ko dekh raha hu fir wo kaifiyat jaeel ho gai .
Muslim Jild 1 Safa 273
➡ Kya Shaane Ikhtiyar hai Hazrate Ubai Ibne Ka'ab رضي الله عنه ke dil me Quraane Kareem ki chand qiraat ke mut'alliq waswasa paida ho gaya tha. Huzoor ﷺ ne Dil ke is waswase ko fauran jaan liya aur apni Khudadaad Qudrat se seene par Daste Aqdas maar kar Jalwa e Ilahi Dikha Diya aur Shuquq wa waswase ki daldal se nikal kar Imaan se Dil bhar Diya aur wo kaifiyat Jaeel farma di .
✔Hadees No. 13
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضي الله عنها se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya--Aye Ayesha Agar main chahu to mere Sath sone ke pahaad chala kare.
Mishkat Safa 521
✔Hadees No. 14
Hazrat e Anas رضي الله عنه Se Marwi hai ki Hazrate Jibrail علیہ السلام Huzoor ﷺ ki Khidmat me Hazir hue aur Aap ﷺ gamgeen the Ahle Makkah ki izaa rasaani ki wajah se Aap ka jism lahu luhaan tha. Hazrate Jibrail علیہ السلام ne kaha Ya Rasoolullah ﷺ kya Aap chahte hai ki Aap ko ek Nishani Dikhau ? Farmaya. Haan unhone Aap ﷺ ke piche ek ped ki taraf dekha aur Arz kiya is ko bulaiye . Huzoor ﷺ ne Bulaya wo ped aaya aur Aap ﷺ ki Khidmat me khada ho gaya. Arz Kiya is Ko huqm dijiye ki laut jaye Aap ﷺne Huqm diya wo Laut gaya . Huzoor ﷺ ne Farmaya mujhe kaafi hai.
Mishkat Baabul Mojezaat Safa 541
➡ Yaani Hazrat Jibrail علیہ السلام ne Huzoor ﷺ ko tawajjoh dilayi ki aap malool khatir na ho Aap ﷺ ko Allah Ta'ala ne Qaynaate Aalam me mutasarrif wa mukhtar banaya hai. Darakht bhi Aap ﷺ ke ishare par chalte hai .
Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Kar De
Zamee(n) Ko Aasmaa(n) Kar De Surayya ko Saraa Kar De
✔Hadees No. 15
Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se marvi hai Ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki main so raha tha ki Zameen ke khazano ki kunjiya meri Khidmat me pesh ki gai aur mere hath me de di gai.
Muslim Kitabul Masajid. Jild 1 Safa 199
✔Hadees No. 16
Hazrate Anas رضي الله عنه Farmate hai ki Huzoor ﷺ Makame Joura'a me the ki Aapﷺ ki khidmat me ek Bartan me paani laya gaya to Aap ﷺ ne Apna Hath Bartan me Daal diya to Aap ﷺ ki Ungliyo ke Darmiyan se Paani foot pada yahan tak ki puri qaum ne is se wuzu kar liye . Hazrate Anas رضي الله عنه se katada ne pucha ki Aap kitne log the To unhone farmaya 300 ya 300 ke kareeb .
Bukhari Jild 1 Safa 504
Muslim Jild 2 safa 245
Yaa Rab Sa'at Me Dhul Jaaye Siyaah kaaro Ke Jurm
Josh Par Aa Jaye Ab Rahemat Rasoolullah ﷺ Ki
✔Hadees No. 17
Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه se marvi hai ki Hum Huzoor ﷺ ke sath ek safar me the ki ek dehaati saamne aaya..to Jab wo kareeb hua to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya ki kya Tu gawahi deta hai ki Allah Ta'ala ke alawa koi maabud nahi wo tanha hai uska koi shareeq nahi aur Muhammed ﷺ uske bande wa Rasool hai . wo bola Aap jo keh rahe hai iski gawahi kaun deta hai ? Farmaya wo kaantedaar darakht...aur us darakht ko Huzoor ﷺ ne bulaya wo jungle ke kinare par tha. Zameen chirta hua khidmat me haazir ho gaya . Huzoor ﷺ ne is darakht se 3 baar gawahi li. isne teeno baar gawahi di aur fir apni jhaadi ki taraf laut gaya .
Mishkaat babaul moujazaat safa 541
✔ Hadees No. 18
Makke walo ne Rasoolullah ﷺ se kaha Aap koi mojeza dikhaye to Huzoor ﷺ ne inhe chand ke do tukde kar ke dikhaye yahan tak ki unhone Hira pahad ko chand ke do tukdo ke darmiyan dekha.
Bukhari Jild 1 Safa 546
➡ Is Hadees se maloom hua ki Allah Ta'ala ne apne mehboob ko aasmani duniya par tasarruf farmane ka ikhtiyar diya hai . Chand ke tukde karne se zaahir hai ki Aap ﷺ ke ikhtiyarat aur Khudadaad qudrat tasarrufat ka andaza lagana mushkil hai aur waqayi Aap mukhtare kul hai.
Chaand Ke Tukde Kiye Pedo(n) Ne Sajde Kiye
Suraj Palat Aa Gaya Ye Mojaze Aap Ke
Saari Duniya Par Aaqa ﷺ Qabza Tumhara
✔Hadees No. 19
Hazrate Jaabir Farmate hai ki Hudaibiya ke Roz log pyaas se dochar hue aur Rasoolullahﷺ ke paas ek bartan tha jisse wuzu farma rahe the. Jab log Huzoor ﷺ ki khidmat me haazir hue to Aap ﷺ ne pucha kya maamla hai ? Logo ne arz ki Yaa Rasoolullahﷺ hamare paas wuzu karne aur pine ke liye Paani nahi hai . bas yahi tha jo Huzoorﷺ ki khidmat me pesh kar diya gaya . Raawi ka bayaan hai ki Aap ﷺ ne bartan me Apna Dast e Mubarak daal diye to Aap ﷺ ki Ungliyon se Chashme ki tarah Paani fut nikla to humne piya aur wuzu kiya. Raawi kehta hai maine Hazrate Jaabir se pucha ki tum Log kitne the to unhone farmaya agar 100 Hazaar bhi hote to wo paani kaafi ho jata lekin hum 1500 the.
Bukhari Jild 2 Safa 598
Ungliya(n) Hain Faiz Par Toote Hain Pyase Jhoom Kar
Nadiya(n) Panjab E Rehmat Ki Hain Jaari Wah Wah
✔Hadees No. 20
Hazrate Bara'a Farmate hai ki mere ek Mamu jinka naam Abu Darda tha unhone Eid ki Namaz se pehle Qurbani kar di to Unse Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Tumhari wo Qurbani to gosht ho gai. ( Yaani Qurbani ka sawab nahi milega ) to unhone ne Arz kiya Yaa Rasoolullah ﷺ mere paas ek palaa hua 6 Maah ka bakri ka baccha hai uski Qurbani kar du ? Huzoor ﷺ ne irshad farmaya iski Qurbani kar do . Lekin ye Ijazat sirf Tumhare liye hai . Tumhare Alawa kisi aur ke liye 6 Maah ka Bakri ka baccha kaafi nahi hai .
Bukhari Jild 2 Safa 833
➡ Yani Huzoor ﷺ ne apne Khudadad Ikhtiyarat se janab Abu Darda ke liye sirf 6 maah ke bakri ke bache ki Qurbani jayaz farma di. Lehaza Manna padega ki Beshaq Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Mukhtar bana kar bheja hai majboor nahi .
▶ Isse Ye bhi pata chalta hai ki Rasoolullah ﷺ sirf Kanoon Janne wale nahi Balqi Kanoon Banane wale bhi hai ...
Bakhuda Khuda ka yahi hai dar nahi aur koi Mafar Maqar
Jo wahaan se ho yahin aake ho jo yahan nahi to wahan nahi.
No comments:
Post a Comment