Tuesday, 14 July 2020

Eid E Milad Un Nabi ﷺ




Eid E Milad Un Nabi صلى الله عليه وسلم. Ka Saboot Quran O Hadees Se Saath Me Tamam Aiterazat K Jawabat.




(1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke Fazal Aur Usi Ki Rehma...t Aur Usi Par Chahiye KeKhushiyaKare
(Surah Yunus Ayat 58)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Apne Fazal Aur Apni Rahamat Par Khushiya MananeKa Hukum Diya hai

(2). "Or Humne Tumhe Na Bheja Magr Rahmat Sare Jahan K Liye"
(Surah Ambiya Ayat 107)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne Pyare Nabi صلى الله عليه وسلم. Se Farma Raha Hai K Humne Tumhe Sirf 1 Ya2 Aalam K Liye Nahi Balki Sare Aalam K Liye Rahamat Bana Kar Bheja Yaha GourKare Allah Ne صلى الله عليه وسلم. Ko Rahamat Kaha hai Aur Jo Paheli AyatPesh Ki Gai Hai Usme Allah Ne Apni Rahamat Par Khushi karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo Nabi صلى الله عليه وسلم.Ko Apne Liye Allah Ki Rahamat Aur Nemat Nahi Samajhta aur AAKA صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Ki Khushi Se Aitaraz KaregaYani Wo Ghum manayega pyare AAKA صلى الله عليه وسلم.Ki Wiladat par

(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”
(Surah Duha Ayat 11)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukum Diya.Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Azzawjal Ki Subse Badi Aur Azeem Nemat HamareLiye Uske Rasool humare pyare AAKA صلى الله عليه وسلم.Hai Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Mulahiza farmaiye
Allah Azzaajal Farmata Hai:

“Humne Momino per Ahesan kiya, ki jab unme apne صلى الله عليه وسلم. ko bhej diya”
(Sureh Al-Imran, Ayat 164)
Mere Pyare Islami Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah AllahAzzawajal Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ahesan Kiya haiSiwae Apne Maheboob Nabi صلى الله عليه وسلم.Ke, Isse Malum Hua K Allah Ki Subse Badi Nemat Hamare Liye Uske rasool humareAaka صلى الله عليه وسلم. Hain.

Rabi Ul Awwal:

12 Rabi Ul Awwal Par Tamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din do jahan kesultaan pyare aaka Muhammad Mustafa صلى الله عليه وسلم.Sare Alam K liye Rahamat Bankar Duniya Me Tashreef Laye Aur Isi Din Sari DuniyaMe Musalman Apne Nabi Ki Wiladat Ka Jashan Karte Hai
Refrance:

1. Ibn-e-Ishaq (85-151 H): [Ibn Jawzi in al-Wafa, Page 87]

2. Allama Ibn Hisham (213 H): [Ibn Hisham in As-Sirat-un-Nabawiya, Vol. 1, Page158]

3. Imam Ibn Jarir Tabari (224-310 H): [Tarikh al-Umam wa al-Muluk, Vol. 2, Page125]

4. Allama Abu al-Hasan Ali bin Muhammad Al-Mawardi (370-480 H):[Ailam-un-Nabuwwa, Page 192]

5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al-Undalasi (671-734 H): [Aayun al-Asr, Vol. 1,Page 33]

6. Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [Ibn Khaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394]

7. Muhammad As-Sadiq Ibrahim Arjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102]

8. Shaykh Abdul-Haq Muhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij-un-Nabuwwah, Vol. 2,Page 14]

9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]

Milad Kis Kis Ne Manaya............ ?

Huzoorصلى الله عليه وسلم. Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi Me MilaadHuyi Isme Khud Huzoor REHMAT E AALAM صلى الله عليه وسلم.NeApni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.
(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

Hazrat Abu Qatada ( ALLAH AAPSE RAAZI HAI ) Se Riwayat hai ki Rasool-E-Karim صلى الله عليه وسلم. Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me SawalKiya Gaya To Aap صلى الله عليه وسلم. Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui AurIsi Din Mujh par Quran Nazil Hua"
(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162)
(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)

Jab Huzur صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki LaundiSobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab NeApni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha"Pas Jab Abu-Lahab MarGaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To UssePuchha "Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:
Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa'ee Nahi Payi Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani DiyaJata Hai Jis Se Maine Hazrat Muhammad (صلى الله عليه وسلم.) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-LahabKi Londi) Ko Aazad Kiya Tha
(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma nay
MA SABTA MINAS SUNNA main ( Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101Kitabunnikah ) Ki Ye Hadith naqal farmaya hai, Abu Lahab ki londi thee jiskanaam Sobia tha, usnay pyare aaka صلى الله عليه وسلم.ki peda'ish par Abu lahab ko khabar di thee to Aap صلى الله عليه وسلم. ki peda'ish ki khabar sunnay par AbuLahab nay Sobia ko azaad kardiya ...tha. Tou Abu Lahab k marnay k baad kisi nayusay khuwaab main dekha, poocha k 'kaho kia haal hay' to woh bola AAG main hoonalbatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aurisharay say bataya k APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON, aur yeh inayatmujh par is waja say hay k mujhay Sobia nay bhatijay صلى الله عليه وسلم. ki peda'ish ki khabar di thee to isbasharat ki khushi main, mainay usay do ungliyun k isharay say azaad kardi thaaur phir usnay usay doodh pilaya tha.
ispar Allama Jazri Alaih Rehma farmatay hain k jab Abu Lahab jaisay kafir k yehhaal hai ki use huzoor صلى الله عليه وسلم.ki wiladat ki peda'ish ki raat khush honay par dozakh ki aag main bhe badla diajaraha hay to
Rasool Allah صلى الله عليه وسلم. ki ummat main say un logon k haal ka kiapoochna jo aap kipeda'ish k bayan say khush hotay hain aur jis qadar bhe taqathoti hay unki Muhabbat main kharch kartay hain, mujhay apni umar ki qasam! kunki jaza Khuda e Kareem ki taraf say yehi hogi k unko apnay fazal e ameem yanifazl e kamil say jannat un Naeem main daakhil farmaye ga.

Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Aaka صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Par Unhe Nabi صلى الله عليه وسلم. Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan karKhushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata haiJisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad KiyaTha
Hum Musalman To Nabi صلى الله عليه وسلم.Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se KyaKya Inaam Milege Duniya Aur aakhirat Me

Khud ' NABI - E - PAAK ' صلى الله عليه وسلم.Ne Apne Milad Par ' ALLAH ' Ka Shukra Bajaa Lane Ki Talkin Farmayi Aur TargeebDi....!!

Iski Tafseel Yaha Check Kare Hadith Taweel Hai
[ Muslim Sharif, Jild - 2, Safa - 819 ]
[ Nisaai Sharif, Jild - 2, Safa - 147 ]
[ Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286 ]........

Milad Un Nabi Ko Eid Kahena Kaisa?

Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi AgarKoi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega Eid Ise Samjhane KLiye Quran Ki Ek Ayat Mulahiza farma leejiye.
Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! AyeHamare Rab!Hum Par Aasman Ss EkKhuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur PichloKi.
(Surah Maida Ayat 114)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko EidManana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai TabhiTo Hazrat Esa Ne Dua Mangi
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat UtryTo WoUn K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan KLiye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid YaniKhushi Kaise Na Ho?
Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz EEid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai
Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo BarBar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha KoKahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye MukarrarKiya Gaya HaiJis Tarha Nabi Sallallaho Alihe wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke(Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz HarKhushi K Din K Liye Istemal Hone Laga
(MiratUl Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)
Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi YahiFarma rahe hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai. NABIe Mu’ajjam, Sarapa Judo karam Salllaho Aliahe Wasallam ne farmaya ki Juma’a kadin sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH kenazdik Eid ul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAMalaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafatdi.
[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, HadithNo. 1084]
Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai,jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unkazameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAHne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kardiya.
Tou hamare Sarkar e do Jahan صلى الله عليه وسلم. jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unkitashrif aavari parhum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eidkahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur harhafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isirahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi nakare?

Naat E pak padna:

Huzur SallAllaho alaihe wasallm Hazrat Hassan ( ALLAH AAPSE RAAZI HAIO ) k lyeMasjid e Nabvi shareef me Minbar rakhte or Hazrat Hassan us par kharey ho karHuzur  صلى الله عليه وسلم. ki shan e aqdas me naatia ashaar parhtethe or Huzur  صلى الله عليه وسلم.  farmate: jb tak Hassan mere baare me naatia orfakharia ashaar parhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas (Hazrat Jibrailalehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai
(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 HadithNo 5015)
(Sunan Tirmizi,kitab ul adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page 562,561Hadith No 2846)

Ye The Milad Un Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Ko Eid Kahene Ki Dalil Ab AayeDekhte Hai Milad Un Nabi Sallallaho Aalihe wasallam K Mauke Par Kiye Jane WaleMustahab Aamal Hadith Ki Roshni Me
Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah K Nare lagana:
Jab Aaka  صلى الله عليه وسلم. Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To LogonNey Khoob Jashan Manaya
Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me PhirteThey Aur Nara'Aey Risalat Lagate Aur Kehte0 YA RASOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)

Jhande Lagana:

Hazrate Amina farmati hai K Jab Mere ghar MUHAMMAD صلى الله عليه وسلم.  KiWiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail Alaihissalam Ne 3 Jhande Nasab Kiye EkMagrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chatpar
Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni KitabMadarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai

Ab Aaiye Dekhte Hai Tarikh Ki Kitabo Me K Nabi  صلى الله عليه وسلم. Ki Wiladat Par Afsoos Kun Kun Karta Hai

Imam Qastallani (Rahimullah) farmate hain :
“ Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafaصلى الله عليه وسلم. ko Eid ketaur par manaya karo. Allah ApnaFazl aur Ehsan kare unn logo par jo Rabi ul Awwal ki raato’n ko Eid ke taur parmanate hain, kyunki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aurUnn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimarihai.”
(Imam Qastallani, Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)

Shaitan Kaheta Hai Ki Mai Barso Jannat Me Raha, Farishto Ka Sardar Ban Gaya,Magar Jab Ye AADAM (Nabi) Paida Huwa To Mere Liye Badi Musibat Paida Ho Gai,Yaha Tak Ki Mujhe Jannat Se Bhi Nikal Diya Gaya!!! Phir Jab Jab Koi NABI PaidaHota Woh Gumraho Ko Sahi Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata AurTab Tak Ki MeriSari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD  صلى الله عليه وسلم. Paida Huwa Tab To Mai Itna Roya JitnaPahele Jannat Se Nikalne Par RoyaTha, Aur Usne Meri Tamam Mehnat Par Pani PherDiya.

(Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)

Note: AGAR AISI NISHANIYA KISI ME DIKHAI DE TO SAMJHO WOH SHAITAN KI NASIHATLEKAR AAYA HAI

Nisar Teri Chahal Pahal Par Hazar Eiden Rab Ul Awwal
Siwa E Iblees K Jahan Me Sabhi To Kushiya Mana Rahe Hai........




No comments:

Post a Comment