Mere NABI ﷺ Jaisa Koi Nahi
Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi ✔ Hadees No.1 Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه Se Marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne baghair kuch khaye piye Roze Se Roze Milakar Rakhne se mana farmaya to ek Sahab ne Arz ki Yaa Rasoolullah ﷺ Aap to Is tarah Roze Rakhte hai to Huzoor ﷺ ne irshad farmaya Tum Me Mere Jaisa Koun Hai ?? Main to Is haal me Guzarta hu ki Mera Rab Mujhe khilata hai , Pilata hai Bukhari Jild 1 Safa 263 Muslim Jild 1 Safa 351 Mishkaat Safa 175 ➡ Ye Hadees Kuch Alfaaz Ki Tabdeeli ke Sath Bukhari Aur Muslim Me Hazrate Ayesha Siddiqua , Hazrate Abdullah Ibne Umar , Hazrate Anas Bin Malik Aur Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنهم In saare Hazraat se marvi hai Hazrate Anas رضي الله عنه Ka bayan hai ki Huzoor ﷺ ne Farmaya ki main tum me se kisi ki tarah nahi hu. Hazrate Ayesha رضي الله عنها Se marvi hadees me hai Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya meri shaan tumhari jaisi nahi hai. Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ki riwayat me hai Huzoor ﷺ ne farmaya Main Tumhare Jaisa nahi hu. Aur Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah ne Farmaya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Jaisa Koi Ho Sakta NahiApni Har Khoobi Me Tanha Aap hai ✔ Hadees No.2 Hazrate Ali رضي الله عنه se marvi hai ki maine Rasoolullah ﷺ ke jaisa na pahle dekha na Aap ke Baad Tirmizi jild 2 safa 205Mishkaat safa 517 ✔ Hadees No. 3 Hazrate Jaabir رضي الله عنه se marvi hai ki Masjide Nabawi ki chhat jab Khuzoor ki shaakho se daali hui thi to Khutba Dete waqt Huzoor ﷺ khuzoor ke Ek Sutoon se tek lagaya karte the Jab Aap ﷺ ke liye Mimbar banaya gaya to Aap ﷺ us Par Jalwa Afroz hue to Maine suna ke is khuzoor ke sutoon se ( Huzoor ﷺ ki judaai me) Oontni ke bilbilane ki Jaisi Aawaz aa rahi hai Yahan Tak ke Huzoor ﷺ ne uske kareeb Jakar us par apna Daste mubarak fera to wo khamosh ho gaya. Bukhari Jild 1 Safa 504 ✔Hadees No. 4 Hazrate Ayesha رضي الله عنها Farmati hai Maine Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap witr ki Namaz Bagair padhe so jate hai to Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Aye Ayesha Meri Aankh soti hai Mera Dil Nahi Sota. Bukhari Jild 1 Safa 504 Mustafa E Zaate Yakta Aap HaiYak ne Jisko Yak Banaya Aap Hai ✔ Hadees No. 5 Hazrate Ka'ab Jung me Shirkat se Apne rah jaane ka kissa bayaan karte huye farmate hai ki Jab Maine Huzoor ﷺ ko Salaam kiya aur Aap Ka chehra khushi se damak Raha tha Aur Rasoolullah ﷺ khush hote to Aap ﷺ ka chehra damakne lagta jaise ke wo chaand ka tukda hai aur isse Hum Aap ﷺ ki khushi ko jaaan jate. Bukhari Jild 1 safa 502 ✔ Hadees No. 6 Hazrate Bara Ibne Aajib se Pucha gaya kya Rasoolullah ﷺ ka chehra Talwaar ki maanind chamakta tha unhone Farmaya Nahi Balqi chand ki tarah Bukhari Jild 1 Safa 502 ➡ Aur Sahaba E Kiraam ka ye chaand se tashbeeh dena bhi sirf isliye tha ke Insaano ki nazar me chaand sabse zyada chamakdar hai warna Rasoolullah ﷺ to chaand se kahi zyada khoobsurat aur Haseen hai is baare me bhi Hadees me Hai. Aur ye bhi kaha ja sakta chaand ki Khoobsurati Huzoor ﷺ ka hi Sadqa Hai . Qadmo Me Jabee (n) ko Rahne Do Chehre Ka Tasawwur Mushkil HaiJab Chaand Se Roshan Edi Hai to Ruqsaar Ka Aalam Kya Hoga ✔ Hadees No.7 Hazrate Bara Ibne Aajib Farmate hai Maine Rasoolullah ﷺ se zyada khoobsurat kisi Cheez Ko naa dekha Bukhari Jild 1 safa 502 ✔Hadees No. 8 Hazrate Abu Hurairah farmate hai Maine Koi Cheez Rasoolullah ﷺ se zyada Khoobsurat Haseen Wa jameel na dekhi. Aisa Lagta tha jaise Aap ke chehre me suraj Gardish kar raha hai Tirmiji Jild 1 Safa 205 Jab Husn Tha Unka Jalwa Nooma Anwaar Ka Aalam Kya hogaHar Koi Fidaa Hai Bin Dekhe To Deedar Ka Aalam Kya Hoga ✔ Hadees No. 9 Hazrate Abu Hurairah رضي الله عنه farmate hai Logo ne Pucha Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Kab se Nabi Hai ? Rasoolullah ﷺ Farmaya Aadam علیہ السلام ke Rooh Aur Jism Abhi Dono Alag Alag the Yani Inke Jisme Me Rooh abhi Aayi bhi na thi . Tirmiji Jild 2 Safa 201Mishkaat Safa 513 ▶Mere Peero Murshid Huzoor Tajush Shariah Farmate hai .. Aabo Gil Mein Noor Ki Pehli KiranJaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hain ✔ Hadees No. 10 Hazrate Umme Sulaim رضي الله عنها Se Marvi Hai ki Nabi E Kareem ﷺ unke yahan Tashreef laate the aur Unke ghar Qailula farmate the ( Dophar me Aaram Farmate ) Huzoor ﷺ ko Paseena Bahot Aata tha to wo Huzoor ﷺ ka paseena Jamaa kar leti thi to Huzoor ﷺ ne farmaya Aye Umme Sulaim Ye kya karti ho ? to Unhone Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Aap Ka paseena jise hum khushboo me daal dete hai aur Ye har Khushboo se umda khushboo hai aur ek Riwayat me hai ki Umme Sulaim رضي الله عنها ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺ Hum Apne Bacho ke liye isse Barkat ki Ummeed Rakhte hai . Huzoor ﷺ ne Irshad Farmaya Tum thik karti ho . Mishkaat Safa 517 ➡ Har Insaan ka Paseena Badbudaar hota hai lekin Allah Ta'ala Ke Mahboob Mustafa ﷺ ki Anokhi Shaan hai ki Aap ﷺ ka Paseena bhi Har khushboo se badhkar khushudaar hai waqai Aap ﷺ Be-misaal hai Aap ka koi jawab nahi Wallah Jo Mil Jaaye Mere Gul Ka PaseenaMaage na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool ✔ Hadees No. 11 Hazrate Anas رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ Chamakdar Rang wale the..Aap ka Paseena Motiyo(n) ki tarah tha...chalte to Aisa lagta jaise Utar Rahe hai aur Aap ki Mubarak Hatheliya(n) mote aur Barik Resham se bhi zyada narm thi Mushq aur Amber mein bhi maine Huzoor ﷺ ki tarah mahak aur khushboo na paayi. Muslim Jild 2 Safa 257Mishkat Safa 516 ✔Hadees No. 12 Hazrate Ammar Bin Yaasir ke pote Hazrate Abu Ubaida se marvi hai ki Maine Rubay'ia binte muabwah Bin Afra'a se guzarish ki ke Huzoor ﷺ ki shaan Bayan kijiye. to Unhone farmaya agar tum Rasoolullah ﷺ ko dekhte to aisa lagta hai jaise tum suraj ko nikalte huye dekh rahe ho . Mishkat Safa 517 ✔ Hadees No. 13 Hazrate Jaabir Bin Samurah رضي الله عنه se Marvi Hai ki Rasoolullah ﷺ ne Irshad Farmaya ki beshaq main Makkah Muazzama me us patthar ko khoob pahchanta hu jo ailane Nubuwwat se Qabl mujh ko salaam karta tha Muslim Jild 2 Safa 245 Wo Kamaal E Husne Huzoor Hai ke Gumaa(n) Ne Naqs Jahan NahinYahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shamma Hai ke Dhuwaan Nahin ✔ Hadees No. 14 Hazrate Abuzar Gifaari رضي الله عنه se marvi hai ki unhone Rasoolullah ﷺ se arz kiya ki Yaa Rasoolullah ﷺ aapne kaise jaana ke Aap Nabi hai Yahan tak ki Aap ko Yaqeen ho gaya to Huzoor ﷺ ne Farmaya ki ek baar Jab main Makkah Muazzama ke ek pathrile Ilaaqe me tha to do farishte aaye ek zameen ki taraf chala gaya aur dusra zameen wa aasmaan ke darmiyan raha to unme se ek ne dusre sathi se kaha kya ye wahi hai usne kaha Haan . inko ek aadmi se tolo main taula gaya pas main hi bhaari tha fir kaha 10 se tolo main 10 se taula gaya tab bhi main bhari tha fir kaha 100 se tolo main taula gaya ab bhi main bhari tha fir kaha 1000 se tolo to main taula gaya ab bhi main hi bhari tha aur main dekh raha hu ki Palla Halka Hone ki wajah se goya wo mere upar gire aa rahe hai to inme se ek farishte ne dusre se kaha agar tum inko inki puri Ummat se tolo tab bhi ye bhari honge. Mishkat Safa 515 ➡ Is Hadees se Malum Hua ki Rasoolullah ﷺ ki Zaahiri bashariyat aur hai Aur Aap ki haqeeqat kuch aur Ba-zahir dekhne me to Aap ﷺ Insano ki tarah qado kaamat aur wazan rakhte hai . aur Aap ﷺ ki Haqeeqat sari ummat par wazan ke aitebaar se bhi bhaari hai aur Aap ﷺ ki ummat kitni badi hai is baare me khud Khuda E Ta'ala ka irshad hai ➡ Humne Aap ko saare insano ki taraf Nabi wa Rasool bana kar bheja hai to jo dekhne me Insan wa Bashar mahsoos hota hai lekin uska wazan saare insano se kahi zyada ho iski haqeeqat ko Allah Ta'ala Ke alawa koun jaan sakta hai Allah Ka Mahboob Ba-Zaahir To Bashar HaiJo Uski Haqeeqat Hai Khuda Hi ko Khabar Hai ✔ Hadees No.15 Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah ﷺ ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ﷺ ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor ﷺ ne farmaya kya Allah Ta'ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669 ➡ Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor ﷺ ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor ﷺ ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi. ➡ Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao . Surah Anfaal Para 9 Ruku 17 Isme Allah Ta'ala ne Apne Naam ke sath Huzoor ﷺ ka Naam Milaya hai Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu'a HaiAslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai
No comments:
Post a Comment